Do harf e tasali ke jiss ne bhi kahe uss ko, Afsana suna dala tasweer dikha dali.

Gham ki tashreh bahot mushkil hai, Apni tasveer dikha di hum ne.

Pass e parda bhi takam se garezan rahna, Log awaz se tasweer bana laite hain.

Dil gea tha to ye ankhen bhi koi le jata, Me faqat aik hi tasweer kahan tak daikhon.