Aey Sabz Gunbad Waale, Manzuur Du’a Karna Jab Waqt Naza’eye Deedar Ataa Karna Aey NoorEKhuda Aa Kar, Ankhoon Mein Smaa Jaana Yaan Dar Pe Bulaa Lena, Yaan Khwab Mein Aa Jaana Aey Pardah Nashin Dil Ke, Parde Mein Rahaa Karna Jab Waqt Naza’ey Didaar Ataa Karna MahbubEIlaahi Sa Koi Na Hasin Dekha Yeh Shaan Hai Un Ki, Sayah Bhi Nahin Deikha* Allah Ne Saey Ko, Chaha Na Juda Karna Jab Waqt Naza’ey Didar Ataa Karna

Your Comment Comment Head Icon

Login