Maine kaha ke mere liye kuch DUA kiya karo Us ne kaha ke DUA pe na takiya kiya karo Maine kaha ke zahen pe rehta hai bojh sa Us ne kaha ke chhup ke kahin roya karo Maine kaha ke tere khuwaab jaga dete hain Us ne kaha ke raat ko socha na karo Maine kaha ke raat ko neend nahi aati Us ne kaha ke sone ki koshish kiya karo Maine kaha ke dost nahi denge saath mera Us ne kaha ke waqt pe yeh tajarba kiya karo Maine kaha ke Dil main teri yaadein hain Us ne kaha ke Dil ko samjhaya karo Maine kaha ke tere milne ki umeed hai Us ne kaha ke umeed na umeed bhi hoti hai Maine kaha ke tumhari Ankhen meri Ankhen hongi Us ne kaha ke chalo phir meri Ankhon main raha karo

Your Comment Comment Head Icon

Login