To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay Ittar lagatay huay, choorian pehentay huay To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? Subha ko uthtay huay, shaam ko teheltay huay Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay Kabhi yoonhi kisi dhun ko suntay huay To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay! To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay Kisi onchayi pe tanha sambhal ke chartay huay To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? Kisi gulaab ko tehni se torr kar bhi nahi Kisi darakht ke saaye main baith kar bhi nahi Apnay darwazay pe dastak koyi sunkar bhi nahi Apni Kitab main koi naam dekh kar bhi nahi? Kisi bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahi Kisi bhi aankh ko num dekh kar bhi nahi Kahin lafzon main koi K dekh kar bhi nahi To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aa

Your Comment Comment Head Icon

Login