yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango apne hi gale k liye talwar na mango gir jaoge tum apne masiha ki nazar se mar kar bhi ilaj-e-dil-e-bimar na mango khul jayega is tarah nigahon ka bharam bi kanton se kabhi phul ki mahkar na mango sach bat pe milta hai sada zahar ka pyala jina hai to phir Jurrat e izhar na mango us chiz ka kya zikr jo mumkin hi nahin hai sehra mein kabhi saya-e-diwar na mango

Your Comment Comment Head Icon

Login