gaye dinon ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya woajeeb manus ajanabi tha mujhe to hairan kar gaya wokhushi ki rut ho ki gham ka mausum nazar use dhundhati hai har damwo buegul tha ki nagmaejan mere to dil mein utar gaya wowo maikade ko jaganevala wo raat ki neend udanevalana jane kya us ki jee mein aayi ki sham hote hi ghar gaya wokuch ab sambhalane lagi hai jan bhi badal chala rang aasman bhijo raat bhari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya woshikastapa rah mein khada hun gaye dinon ko bula raha hunjo qafila mera hamsafar tha mislegardesafar gaya wobas ek manzil hai bulhavas ki hazar raste hain ahaledil kiye hi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya wowo jis ki shane pe hath rakh kar safar kiya tune mannzilon kateri gali se na jane q aj sar jhukaye guzar gaya wowo hijr ki raat ka sitara wo hamnafas hamsukhan hamarasada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya wobas ek moti si chab dikhakar bas ek mithi si dhun suna karsitaraesham ban ki aaya barangekhayalesahar gaya wona ab wo yadon ka chadhata dariya na fursaton ki udas barkhayun hi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gahara tha bhar gaya wowo raat ka benava musafir wo tera shayar wo tera ‘nasir’teri gali tak to hum ne dekha phir na jane kidhar gaya woPoet of the poem/ghazal or Nazam:Nasir Kazmi

Your Comment Comment Head Icon

Login