kyon hijr ke shikave karta hai kyon dard ke rone rota haiab ishq kiya hai to sabr bhi kar is mein to yahi kuch hota haiaagazemusibat hota hai apne hi dil ke shararat seaankhon mein phul khilata hai talavon mein kanten bota haiahabab ka shikwa kya kijiye khud zahir va batin ek nahilab upar upar hanste hain dil andar andar rota haimALLAHon ko ilzam na do tum sahil wale kya janonye tufan kon uthta hai ye kishti kon dubota haikya jane kya ye khoyega kya jane kya ye payegamandir ka pujari jagata hai masjid ka namazi sota haiPoet of the poem/ghazal or Nazam: Hafeez Jullundhri

Your Comment Comment Head Icon

Login