meri teri nigah mein jo lakh intazar hainjo mere tere tan badan mein lakh dil figar hainjo meri teri ungaliyon ke behisi se sab qalam nazar hainjo mere tere shahar ke har ik gali meinmere tere naqshepa ke benishan mazar hainjo meri teri raat ke sitare zakhm zakhm hainjo meri teri subah ke gulab chak chak hainye zakhm sare bedava ye chak sare berafukisi pe rakh chand ke kisi pe os ka lahuye hain bhi ya nahi bataye hai ki mahaz jal haimere tumhare ankabutevaham ka buna huajo hai to is ka kya karennahi hai to bhi kya karenbata, bata, bata, bataPoet of the poem/ghazal or Nazam: Faiz Ahmed Faiz

Your Comment Comment Head Icon

Login