hum hi mein thi na koi bat, yaad na tum ko aa saketumne hamen bhula diya, hum na tumhen bhula saketum hi na sun sake agar, qissaegam sunega konkis ke zuban khulegi phir, hum na agar suna sakehosh mein aa chuke the hum josh mein aa chuke the humbazm ka rang dekh kar sar na magar utha sakeshauqevisal hai yahan, lab pe saval hai yahankis ke majal hai yahan, hum se nazar mila sakeraunaqebazm ban gae lab pe hikayaten rahindil mein shikayaten rahin lab na magar hila sakeaisa bhi koi namabar bat pe kan dhar sakesun kar yakin kar sake ja ke unhen suna sakeahalezaban to hain bahut koi nahi hai ahaledilkon teri tarah “hafeez” dard ke geet ga sakePoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Hafeez Jullundhary

Your Comment Comment Head Icon

Login