meri zindagi hai zalim, tere gham se aashkaratera gham hai darhaqiqat mujhe zindagi se pyarawo agar bura na mane to jahanerangobu meinmain sukunedil ke khatir koi dhundh lun saharaye fulak fulak havayen ye jhuki jhuki ghatayenwo nazar bhi kya nazar hai jo samajh na le isharamujhe aa gaya yaqin sa yahi hai meri manzilsarerah jab kisi ne mujhe daffa’atan pukaramain bataun farq nasih, jo hai mujh mein aur tujh meinmeri zindagi talatum, teri zindagi kinaramujhe guftagu se bad kar gameizneguftagu haiwahi baat puchte hain jo na kah sakun dobarakoi aye ‘shakeel’ dekhe, ye junun nahi to kya haike usi ke ho gaye hum jo na ho saka hamaraPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni

Your Comment Comment Head Icon

Login