Yaaro ki Mehfil Aise Jamai Jati Hai Kholne se Pehle Botal Hilaayi Jati Hai Fir Awaz Lgayi Jati Hai Aa Jao Tute DiL Walo Yaha Dard-E-DiL Ki Dawa Pil

Yuhi aankhon se ansu bahte nahi,Kisi aur ko hum apna kahte nahi,Ek tum hi ho jo ruk se gaye ho zindagi mein,Varna rukne ke liye hum kisi ko kahte nahi.

taras jaoge tum mehfil-e-wafaa ke liye,kisi se pyaar na karna KHUDAA ke liye,jab lagegi ishq ki adalat ek din,tum hi chune jaaoge ae zaalim SAZAA ke liye..

Kadam yuhi dagmaga gaye raaste me,
Warna sambhlna hum bhi jaanthe the,
Thokar bhi lagi tho us pathar se,
Jise hum apna mante the.

Bina Bataye Usne Na Jaane Kyon Ye Doori Kardi; Bhichhad Ke Usne Mohabbat Hi Adhuri Kardi; Mere Mukaddar Mein Gham Aaye To Kya Hua; Khuda Ne Uski Khwaish To Poori Kardi

Ansuo ko bahut samjhaya tanhai me aaya karo,Mehfil me hamara mazak na udaya karo,iss par ansu tadap kar bole,itne logo me aapko tanha pate hai,is liye chale aate hai..

Agar zindagi me kabhi pyar karna ho
To apne dukho se pyar karna
Kyuki duniya ka dastoor hain
Jise jitna chahoge usko utna hi door paoge

Ek haseen pal ki zaroorat hai hume
Beete hue kal ki zarurat hai hume
Sara jamana ruth gaya humse
jo kabhi na ruthe aise dost ki zarurat hai hume

Behte aashkon ki zubaan nahi hoti
Lafzon mein mohabat bayaan nahi hoti.
Mile jo pyar to kadar karna
Kismat har kisi par maherban nahi hoti…

aaj ki raat mera darde mohabbat sun le,
kap kapaate hue hontho ki shikayat sun le
aaj izhare khayalat ka mouqa de dy
ham tere shahir me aaye hai musafir ki tarah.

Maut Ke Aagosh Mein Sone Ko Jee Karta Hai
Dil To Kho Diya Ab Zindagi Khone Ko Jee Karta Hai
Uski Yaad Aati Hai Jab Bhi Mujhe Na Jane Kyon
Kahin Pe Tanha Baith Ke Rone Ko Jee Karta Hai

Kisi Aur k nam ki mehandi
apne hatho me tho tum saja chuki ho,
sirf rang utar na baki hai,
hamara dil tod k tum hamari jaan lechuki ho,
sirf kafan se chupana baki hai….

Hamari rooh me na samaye hote to bhool jate tumhe
Itna kareeb na aaye hote to bhool jate tumhe.,
Ye kahtey hue ki mera talluk nahin tumse koyi,
Ankhon mein aansu na aaye hote to bhul jate tumhe.

Socha tha nahi karenge mohabbat par,Anjaane mein ek ghaav laga baithe…Kisi shakhs ko paane ke liye hue paagal aur,Anjaane mein apna sab kuchh gwa baithe…Chaha tha zindagi mein jeena pehli baar…Kuchh hi din jee paaye aur,Baaki ki zindagi mein gham-e-bahaar laga baithe…

Dard se khelna sikh gaye hum,Bewafayi ko jhelna sikh gaye ham,kya btayeHame zindagi ne kis kadar saqth bana diya,Ke maut se pehle kafan odna b sikh gaye hum!!——————————————————————–Hamne tho apna dil unke hath me thama tha,Mohabbt karte hai unse ye ehsaas dilaya tha,unhone b kya koob natak nachwaya tha,tod k dil bazar me dande se tookwaya tha!!——————————————————————Legayi sb kuch magar bas kafan rehne dia,Yuhi meri zindgi ka akhri rehnuma rehne dia,Hum gaye they unko loutane k liye,Wo kha k raham rehne diya!!——————————————————————Mili he bahut saja unse Dil lagane ki,Nazar lag gai mere pyar ko zmane ki,Markr b KABAR se Nikle rahe dono hath,Arju rah gai unhe gale Lgane Ki!!——————————————————————Unko Jana Tha bait k Doli me wo Chale Gaye,Hamko rokna Tha magar rok na ruke,Dhono ka safar to shuru hogaya tha,Fark To Sirf Itna Tha,Unko doli me bitaya gaya,aur Hame dole me sulaya gaya!!——————————————————————Kafan na dalo mere Chehre par,mujhe Aadat hai muskuraney ki,aaj ki raat na dafnao mujhe yaroon,aaj umeed hai unke Aane ki!!——————————————————————-Mohabbt me yeh Hum kahan agaye,Gar se nikle the aur Maikane pahunch gaye,ye mohbbt bhi kya cheez hai yaro,jab ek moqaam se nikal gaye,To dusre moqaam pahunch gaye,jab maikane se nikle the,Aaj kabrstan pahunchaye gaye!!——————————————————————–Khuda ki mahobbat fanah kaun karega,Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega,Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna,Warna hamari maut ki dua kaun karega!!!———————————————————————