Ek Ajeeb Dastan Hai Mere Afsaane Kee; Maine Pal Pal Kee Kosish Uske Pass Jaane Kee; Naseeb The Meri Ya Sazish Zamane Kee; Door Hui Mujhse Utni Jitni Umeed Thi Kareeb Aane Kee

Apno Ne Pyar Me Rula Diya,
Kya Hua Jo Kisi Aur Ke Liye Hume Bhula Diya,
Hum To Waise B Akele The,
Kya Hua Jo Aapne Ye Ehsaas Dila Diya…

Mai: Hello bhai kya haal hai
Dost: Mast bhai tu suna
Mai: Yaar ek kaam tha
Dost: Haan to karle baad mei baat kar liyo
kaam jyaada zaroori hai

Duniya main har kisiko mukkamal zahan nahin miltaWafa karke bhi is dil ko kahin panah nahin miltaSaanse ab bhi baki hai is jism mein , is ummeed seKe koi apna nahin to begana hi milta !

Taqdeer ne jaise chaha dhal gaye hum,
bahot sambhal k chale fir bi fisal gaye hum,
hum to kisi ko bhula na sake,
fir bi sabko laga ki badal gaye hum…

Kitna aur dard dega bas itna bata de
Aisa kar maalik ab meri hasti mita de
Yun ghut ghut ke jina maut se badtar hai
Kbhi na khule aankhe tu aisi neend sula de

Dekha Palat Kar Usne Chahat Use Bhi Thi
Duniya Se Meri Tarah Shikayat Use Bhi Thi
Woh Roye The Mujko Pareshan Dekh Kar
Us Din Pata chala Meri Zarurat Use Bhi Thi

Hakikat na puch mere fasane ki,
Tere jate hi badal gayee najar jamaane ki,
Log kahete hai ki khush hu mai,
Lekin meri to aadat hai gum me muskurane ki…

Tujhse Bichad Kar Kya Hun Main Ab Bahar Aakar Dekh; Himmat Hai To Meri Haalat Aankh Mila Kar Dekh; Shaam Hai Gehri Tez Hawa Hai Sar Pe Khadi Hai Raat; Raasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh

Khud ko akelepan ka tana dia na karo,
Yadoan ka gila shikwa bhi na dia karo,
Kya bataye tumko kitna yaad karte hai,
Hissab lagana hai to apni saanse gin liya karo

Karta raha fareb koi saadgi ke saath,
Itna bada mazak meri zindagi ke saath,
Shyad mili saza iis jurm ki mujhe,
Ho gaya tha pyaar mujhe ek ajnaabi ke saath …

Mard to mard hain ek aurat ke dil ko kya samjhenge,Aurat ke dil mein jhaank kar to dekho bas pyaar ke jaam jhalkenge,Is jaam ko agar piloge to nashe mein doob jaoge,Nashe mein doob ke chur chur ho jaoge .

Tanhayi mere dil mein samati chali gayi
Kismat bhi apna khel dikhati chali gayi,
Mehkti fiza ki khusbu me jo deka pyar ko
Bas yaad unki aayi aur rulati chali gayi…

Surat Hamari Dekh Li Lekin Dil Hamara Dekh Na Sake; Khushi Hamari Dekh Li Lekin Dukh Hamare Dekh Na Sake; Pyaar Hum Se Kar Liya Aur Fikar Hamari Kar Na Sake; Hansi Hamari Dekh Li Magar Aansu Hamare Dekh Na Sake

Duniya Hai Patthar Ki Jazbaat Nahi Samajhti
Dil Mein Jo Chhupi Hai Who Baat Nahi Samajhti
Chand Tanha Hai Taaro Ki Baraat Mein
Dard Magar Chand Ke Zalim Raat Nahi Samajhti…