Jab kabhi jee me aaye to aazma Lena Hum ko
Lahoo b dein gay chiraaghon me jalane k liye

Yeh Maja Tha Dillagi Ka, Ke Barabar Aag Lagti
Na Tumhe Karar Hota, Na Hamein Karar Hota

Na Maja Hai Dushmani Mein Na Lutf Hai Dosti Mein
Koi Gair Gair Hota, Koi Yaar Yaar Hota

Ay raat tum to Agosh e Muhbat mein so jaya kro
hamain to Aadat hai sitaron ki rakhwali ki

Judaai ka har lamha kuch yu guzara hai humne
Tum aaoge Tum aane wale ho Tum aa jao shayad

Na Jane Kab Se Ho Gaye Itne Shiddat Pasand Hum
Jab Tak Zakham Na Khaayen Tasalli Nahi Hoti

Kabi ghbra gaya hoga dil jo tanhayi me unki,
Meri tasveer ko sine se laga kr so gayi hogi.

Tanhai Mai Rone Se Bhi Dil Ki Aag Nahi Bhujti
Hairan Ho Jata Hu Mere Ashko Ki Barsaat Kaha

Kuchh Is Tarha Se Saudaa Kiya Mujhse Waqt Ne
Ke Tajurbe De Kar Wo Meri Maasoomiyat Le Gaya

Hamdardi na karo mujh se aye hamdard dosto
Wo bhi bare hamdard the jo dard hazaron dey gye

Ek Mulakaat teri meri sajjna shareaam hove
kaash kite tere bullan te bas mera hi naam hove

Udaasi Tum pe bitegi to Tum bhi jaan jaoge
Koi nazar andaaz karta he to kitna dard hota he

Dhundla Rahey Hein Shehr K Jaltay Howey Charagh
Aey Neend Aa Bhi Jaa, K Boht Raat Ho Chukki

Meri mohhabat ki na sahi salike ki to daad de
Roj tera jikar karta hu bagair tera naam liye

Aaj toh tanhai bhi bol uthi or muskura kar kehne lagi
Tum to mujhse bhi zyda tanha lagty ho