Na Mahfileh Azeeb Hai Na Manzar Azeeb Hai; Usne Nigahon Se Jo Chalaya Wo Khanjar Azeeb Hai; Na Dubne Deta Hai Na Nikalne; Uski Nigaho Ka Ye Samandar Azeeb Hai

Jab Kisi Ke Sapne Kisi Ke Armaan Ban Jaye; Jab Kisi Kee Hansi Kisi Kee Muskaan Ban Jaye; Pyaar Hi To Kehte Hain Use; Jab Kisi Kee Saanse Kisi Kee Jaan Ban Jaye

Chaand Sa Yeh Chehra Dekhne Ke Izazat De Do; Mujhe Ye Shaam Sajane Kee Izazat De Do; Mujhe Qaid Kar Lo Apne Ishq Mein Ya Fir; Mujhe Ishq Karne Kee Izazat De Do

Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai Aap karib ho to apnapan hai Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai

Khawabo Ke Ander Zinda Mat Raho; Balki Apne Ander Khwab Ko Zinda Rakho; Mahobbat Uss Se Nahi Hoti Jo Khoobsurat Ho; Khubsoorat Woh Hota Hai Jiss Se Mahobbat Ho

Raah Dekhenge Na Duniya Se Guzarne Wale; Hum To Jaate Hain Thehar Jaye Thehrne Wale; Ek To Husn Bala Us Pe Banawat Aafat; Ghar Bigdenge Hazaron Ke Sanwarne Wale

Mohabbat Karo Itni Ki Hadh Na Rahe; Intezar Karo Itna Ki Waqt Na Rahe; Bharosa Karo Itna Ki Shaq Na Rahe; Nibaho Mohabbat Aise Ki Kisi Aur Ka Us Par Haq Na Rahe

Jab Se Sanam Tum Ko Paya Hai; Tere Har Hukum Ko Sar Aankhon Pe Bithaya Hai; Aur Kya De Sakta Hun Main Tum Ko Sanam; Roshni Tujhe Dene Ke Liye Khud Ko Jalaya Hai

Mohhabat Muqaddar Hai Ek Khawab Nahi; Ye Vo Ada Hai Jisme Sab Kaamyaab Nahi; Jinhe Panaah Mili Unhe Ungliyon Par Gin Lo; Magar Jo Fanaa Hue Unka Koi Hisaab Nahi

Falsafe Zindgi Ke Hai Pecheeda Itne KiChalne Se Pehle Meri Raahe Bikhar Jati HaiHazaar Zakhmo Ke Baad Ab Ye Aalam HaiIshq Ke Naam Se Hi Meri Rooh Sihar Jati Hai

Meri Chahatein Tumse Alag Kab Hain; Dil Kee Baatein Tumse Chupi Kab Hain; Tum Saath Raho Dil Mein Dhadkan Kee Jagah; Phir Zindagi Ko Saanson Kee Zarurat Kab Hai

Aaj Bhi Bahut Sawal Hain Iss Dil Mein; Pyaar Ka Gham Bejuban Hai Iss Dil Mein; Kuch Keh Nahi Paata Yeh Dil Magar; Uss Dil Ke Liye Aaj Bhi Pyaar Hai Iss Dil Mein

Muddat Se Thi Kisi Se Milne Ki Aarzoo; Khwahish-e-Didaar Mein Sab Kuch Gava Diya; Kisi Ne Di Khabar Ki Vo Aayenge Raat Ko; Itna Kiya Ujaala Ke Ghar Tak Jala Diya

Nafrat Kabhi Na Karna Humse; Yeh Hum Seh Nahi Paayenge; Ek Baar Keh Dena Humse Zaroorat Nahi Ab Tumhari; Kasam Khuda Kee Tumhari Duniya Se Hans Kar Chale Jayenge

Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko Aitbaar Ho Jata Hai; Ajnabi Koi Shaks Bhi Yaar Ho Jata Hai; Khoobiyon Se Nahi Hoti Mohabbat Sada; Khamiyon Se Bhi Aksar Pyaar Ho Jata Hai