Todna Hota To Rishta Hum Na Banate; Umeed Nahi Hoti To Sapne Hum Na Sajate; Aitbar Kiya Hai Humne Aapki Wafaon Pe; Bharosa Na Hota To Apne Dil Ka Hissa Na Banate

Aggar Jawaani Mein Khuda Na Pa Saako; Tu Chahat Moola Ki Kabhi Kum Nahi Hoti Toh Ishq Mein Ho Kar Ek Baar Be-Murawat; Insaan Ishq Ki Bandagi Kyun Bhool Jata Hai

Nafrat Na Kabhi Karna Humse; Yeh Hum Seh Nahi Paayenge; Ek Baar Keh Dena Humse Zaroorat Nahi Ab Tumhari; Kasam Khuda Kee Tumhari Duniya Se Hans Kar Chale Jayenge

Falsafe Zindgi Ke Hai Pecheeda ItneKi Chalne Se Pehle Meri Raahein Bikhar Jati HaiHazar Zakmo Ke Baad Aaj Aisa Aalam Hai KeIshq Ke Naam Se Hi Rooh Sihar Jati Hai

Mere Jazbat Meri Pehchan Hai Woh; Meri Justaju Meri Shaan Hai Woh; Log Kehte Hain Bhula Dun Main Use; Par Kaise Bhula Dun Yaaro Is Seene Me Dhadakti Jaan Hai Woh

Main Aapke Pyaar Mein Kuch Aisa Kar Jaunga; Ban Kar Khushbu Hawa Mein Bikhar Jaunga; Bhulna Chaho To Saanson Ko Rok Lena; Saans Loge To Main Dil Mein Utar Jaunga

Dil Toot Jata Hai Par Khanak Nahi Hoti; Har Dhadkan Roti Hai Par Palak Nahi Roti; Mohabbat Naam Hai Khuda Kee Bandagi Ka; Jo Sharton Pe Mile Woh Mohbbat Nahi Hoti

Khwahish Unse Milne Ki Dil Me Subh O Sham AayiTakleef Ye Na Jaane, Kaise Mere Naam AayiMarz E Ishq Me Hue Hum Kuch Aise MubtelaNa Dawa Kaam Aayi, Na Dua Kaam Aayi

Mohabbat Kee Hawa Jism Kee Dawa Ban Gayi; Doori Aapki Meri Chahat Kee Saza Ban Gayi; Kaise Bhulun Aapko Ek Pal Ke Liye; Aapki Yaad Hamare Jeene Kee Wajah Ban Gayi

Saans Lene Se Bhi Teri Yaad Aati Hai; Har Saans Mein Teri Khushboo Bas Jati Hai; Kaise Kahoon Ki Saans Se Main Zinda Hun; Jab Ki Saans Se Pehle Teri Yaad Aati Hai

Chale Gaye Ho Door Kuch Pal Ke Liye; Door Rehkar Bhi Kareeb Ho Har Pal Ke Liye; Kaise Yaad Na Aaye Aapki Ek Pal Ke Liye; Jab Dil Mein Rehte Ho Aap Har Pal Ke Liye

Kudrat ke karishmon mein agar raat na hoti To khwab mein unse mulaqat na hoti Wo wada to kar gaye ki ayenge khwab mein Mare khushi ke neend na aye to kya karen

Chehre Kee Har Muskaan Ban Jaata Hai Koi; Dil Kee Har Dhadkan Ban Jata Hai Koi; Fir Kaise Jiyenge Ye Zindagi Unke Bin; Jab Zindagi Jeene Kee Wajah Ban Jata Hai Koi

Kuch Likh Nahi Paate Kuch Suna Nahi Paate; Haal-e-Dil Zuban Pe La Nahi Paate; Woh Utar Gaye Hain Dil Kee Gehraiyon Mein; Woh Samjh Nahi Paate Hum Samjha Nahi Paate

Khoobsurat Hai Zindagi Khwaab Ki Tarha; Jaane Kab Toot Jaaye Kaanch Ki Tarha; Mujhe Na Bhoolna Kisi Baat Ki Tarha; Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Ki Tarha