Uttho meri duniya ke garibon ko jaga dokhak-e-umara ke dar-o-divar hila dogarmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin sekunjishk-e-phiromaya ko shahin se lada dosultani-e-jamahur ka aata hai zamanajo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aaye mita dojis khet se dahaqan ko mayassar nahi rozius khet ke har khosha-e-gundam ko jala dokyon khaliq-o-makhaluq mein hayal rahen pardepiran-e-kalisa ko kalisa se hata domain nakhush-o-bezar hun marmar ke silon semere liye matti ka haram aur bana dotahazib-e-navin kargah-e-shishagaran haiaadab-e-junun shayar-e-mashriq ko sikha do

Karam Hai Ki Tum Ne Bulaaya Hai Hum KoKaleyzey Se Apney Lagayaa Hai Hum KoTumhain Jaankar Bhi Nahi Jaanta ThaShub-O-Roz Jalwa Dikhayaa Hai Hum KoJahannum Waheen Hai Jahaan Tum Nahi HoTarannum Mein Pariyon Ney Gaayaa Hai Tum KoTumhara Kaheen Bhi Muqaabil Nahi HaiKhuda Ney Alug Sey Banaayaa Hai Tum KoYe Gunchey Ye Rungeeniyan: Kuchh Naheen HainShafuq Ney Bahut Aazmaayaa Hai Tum KoTalaashaa Thaa Katme-E-Adum Mein Bhi MaineyMagar Mulq-E-Fanee Mein Paayaa Hai Tum KoTumhain Hur Dahur Mein Pukara Hai Mainey‘Abd’ Har Lumhey Gungunayaa Hai Tum Ko

Bilaakhir Yeh Haseen Manzar Mita Dena Hi Padta HaiKisike Sar Ko Shaane Se Hata Dena Hi Padta HaiKisi Der Ashna Ko Juthe Sache Kuchh Hawalon SeTaarruf Ke Liye Sab Se Mila Dena Hi Padta HaiJo Saanson Mein Mehekte Hai Jo Aankhon Mein Damakte HaiAchanak Ek Din Unko Bhoola Dena Hi Padta HaiDiye Jo Hum Jalate Hai Nihayat Shauq Se Har ShabUnhe Khud Apni Phoonkhon Se Bujha Dena Hi Padta HaiKoi Jab Puchhta Hai Humse Kaisa Haal HaiHamein Mohtaat Ho Kar Muskura Dena Hi Padta HaiChamak Uthte Hai Jab Sitare Uski Palkon ParUse Dil Se Laga Kar Hausla Dena Hi Padta Hai.

Socha nahi acha bura dekha suna kuch bhi nahimanga khuda se raat din tere siva kuch bhi nahidekha tujhe socha tujhe chaha tujhe puja tujhemeri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahijis par hamari aankh ne moti bichaye raat bharbheja wahi kagaz use hum ne likha kuch bhi nahiik sham ke dahaliz par baithe rahe wo der takaankhon se ke baten bahut muh se kaha kuch bhi nahido char din ke baat hai dil khak mein so jayegajab aag par kagaz rakha baki bacha kuch bhi nahiahasas ke khushbu kahan, aavaz ke jugnu kahankhamosh yadon ke siva, ghar mein raha kuch bhi nahi

Larkiya Be Wafa Nhe Hote….Wo To Majboriyo My Lipte Hain,Apny Shidat Bhary Heyalo May,Apny Andr Chupi Ik Aurat May Wo Hmesha Hi Drte Rehte Hain,Na To Jete Hain ,Na To Mrte Hain,Larkiya Be Wafa Nhe Hote…..Pr Hamesha Drte Rehte Hain,Apni Reet Ar Rawajo Sy,Any Waly Naey Azabon Sy,Zardorat May Khily Gulabo Sy,Pyar Krte Hain Aur Chupate Hain,Larkiya Be Wafa Nhe Hote….Kiun K Majboriyo May Lipti Hain,Ar Hr Lamha Drte Rehte Hain,Apny Pyar Sy,Apny Saye Sy,Apny Rishto Sy,Dil Ki Darkan Sy,Apni Khuwaish Say,Apni Khushiyon Say,Larkiya Be Wafa Nahe Hote..

Hum Bhe Is Waqt Main Geetay HainHum Koi Jag Se Niraley Tu NaheHum Bhe Is Waqt Main Geetay HainJahanTitliyaan Khwab Hain Aur Phool Gulab HainShehar Hum Ko Bhe Muqqader Main Mila HaiJis MainDharkanain Band Aur Shehar Main Hoo Ka AalamHum Bhe Is Ghar Ke Maqeen Hain K JahanWaqt Ke Kat Tey He Bujh Jati Hai Is Umar Ki Loo!Is Bey Aaman Gum Naam Irradey Ki TerhaHum Bhe Logon Ki Terha Hain Ke HamainDukh Chupana Hai Aur Hassna Sar-E- Baazar Bhe HaiHum Pe Bhe Ehd-E- Jawaani Ka Aazab Utra HaiHum Ne Bhe Door Kisi Shehar Main Bastey HueyHasstey Huey Kisi Shaks Ko Chaha Hai Bohat

Tumse bichhar ke apni halat ho gayi haiRaton main roj jagne ki aadat ho gayi haiYad aati hai uss bewafa ki har bat mujhkoKi unse mujhko mile muddat ho gayi haiAndhere itne bha gaye dil koUjale se sakht nafrat ho gayi haiAa gaye jo surkhiyon main kalam shaya hue risalon mainUnhi ki jaha main ijjat ho gayi haiSuch kahenge to pathar marenge sine parWarna jhuth ki jamane main shohrat ho gayi haiPadh-Padh kar galib tere gajleMujhe bhi gajal likhne ki chahat ho gayi haijalaye jo chirag-e-ulfat Dost jo jamane se chhup karBas un chiragon pe bhi hawao ki kudrat ho gayi hai.

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana HogaChiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana HogaNa Samjhna K Tumse Bicharh K Khush HainHumain Logon Ki Khaatir Muskuraana HogaPhir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj BhiDil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana HogaWaada Khilaafi Kar K Muskurate Ho AapDekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana HogaLahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh JaoungaThaam K Haath Main Phool Tumko Aana HogaAbhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K AapAbhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina HogaMuddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye SanamUmar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga…!!!

Ham Tere Shahar May Aye Hain Musafir Ki TarahSirf Ek Bar Mulaqat Ka Mauqa De DeMeri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai KahanSubah Tak Tujh Se Bicharakar Mujhe Jana Hai KahanSochane Ke Liye Ek Rat Ka Mauqa De DeApani Ankhon May Chupa Rakhen Hain Juganu Main NeApani Palakon Pe Saja Rakhe Hain Ansu Main NeMeri Ankhon Ko Bhi Barasat Ka Mauqa De DeAj Ki Rat Mera Dard E Muhabbat Sun LeKanp Kanpate Huye Honthon Ki Shikayat Sun LeAj Izhar E Khayalat Ka Mauqa De DeBhulana Tha To Ye Iqarar Kiya Hi Kyun ThaBewafa Tune Mujhe Pyar Kiya Hi Kyun ThaSirf Do Char Sawalat Ka Mauqa De De

6 Rang Ye Spen V Trena Lare Garza,Ka Khog Gabeen V Trena Lare Garza.Pa Zaheri Husan Ye Ma Teroza,6 Mahjabeen V Terna Lare Garza.Da Nazawali Hase Zra Lobave,6 Nazanen V Trena Lare Garza.Dve Pa Khwaga Khwaga K Ohri Sary,Sok Che Sherin V Trena Lare Garza.Pa Bazari Aasono Sala Garze,Har Yo Ta Zeen V Trena Lare Garza.Dve Da Wafa Pa Jaba Na Pohegi,Jafa Ye Deen V Trena Lare Garza.Danana Kaani Garzavi Seno Ke,Zaher Rangen V Trena Lare Garza.Pakha Mewa Zaher Khaista Hkaregi,Danana Khoren V Trena Lare Garza.Ka Zan Khoshala IMDAD KHIYALA Ghware,Sok Che Ghamgeen V Terna Lare Garza.

Ye Kaisi Doori Hain Humare BeechAnchahi Majboori Hain Humare BeechLaakh Koshishon Kei Baad Bhi Naa Aa Sake KareebKaisi Lakhon Meel Kii Doori Hain Hamare BeechDharkano Se Dharkano Ka Gehra Rishta Hai Do Dilon KaaPhir Kyon Do Jismo Ki Doori Hai Humare BeechSaath Samundra Ka Faasla Hai Humare Milan MainKyon Waqt Ki Kami Hai Humare BeechPyar Beshumar Hai Humare Masoom Dilon MainPhir Kaisi Laachaari Hai Humare BeechDo Dilon Main Duri Kaa Door Tak Koi Nishaa NahiPhir Kyon Hoti Hai Aansuo Ki Barsaat Humare BeechYe Kaisi Doori Hain Humare BeechAnchahi Majboori Hain Humare Beech

Badalate waqt ka ik silsila sa lagata haike jab bhi dekho use dusara-sa lagata haitumhara husn kisi aadmi ka husn nahikisi buzurg ke sachi dua sa lagata haiteri nigah ko tamiz rang-o-nur kahanmujhe to khun bhi rang-e-hina sa lagata haidamag-o-dil hon agar mutmain to chaon hai dhupthapeda lu ka bhi thandi hawa sa lagata haiwo chat pe aa gaya betab ho ke aakhirkhuda bhi aj sharik-e-dua sa lagata haitumhara hath jo aaya hai hath mai mereab aitabar ka mausam hara-sa lagata hainikal ke dekho kabhi nafaraton ke pinjare setamam shahar ka “manzar” khula sa lagata hai

Following is the good night shayari in Urdu or Hindi. This Good night shayari in Urdu or Hindi language one of the master peaces and you will definitely enjoy it.Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?Jab Neend Se Ankhain Bojhal Hon,Aur Apne Aankh Se Ojhal Hon,Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?Jab Dil Mein Basne Waale Bhi,Aur Saath Mein Hasnay Walay Bhi,Jab Door Khahin Wo Bastay Hon,Kisi Aur Ke Sath Wo Hanstay Hon,Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?Jab Ghum Ki Raat Andhairi Ho,Aur Us Mein Yaad Bhi TERI Ho,Na Dil Mein Koi Ujala Ho,Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?Phir Neend bhala kab ati ha..?

Iss Subh-E-Zindagii Se Sanaashaa Nahiin Huun MainLagataa Yehii Hai Niind Se Jaagaa Nahiin Huun MainIk Harf-E-Raaygaan Sahii, Yaaro, Mira VajuudKaise Kahuun Kitaab Kaa Hissaa Nahiin Huun MainDarpesh Subh-O-Shaam Hai, Ye Kaisii Kash-Ma-KashKaise Banuun Main Uss Kaa, K Apnaa Nahiin Huun MainMujh Ko Fareeshtaa Hone Kaa D`Aavaa Nahiin, MagarJitnaa Buraa Samajhte Ho, Utnaa Nahiin Huun MainIs Tarah Pher-Pher Ke Baaten Na KiijiyeLehjay Kaa Rukh Samajhtaa Huun, Bachchaa Nahiin Huun MainDekhii Hu`Ii Si Lagtii Hai, Har Reh-Guzaar KyuunInn Bastiyon Se Pehle Tau Guzraa Nahiin Huun Main

Apni Madhosh Nigahon Se Sawera KarnaIsi Veeran Shabistan Mein Ujala KarnaTergi Rehti Hai Teri Shab-O-Roz YahanTum Kisi Roz Yahan Ake Basera KarnaWoh To Phoolon Se Bhi Nazuk Hai Bahat Der TalakJab Bhi Dekho To Nazar Uski Utara KarnaApni Zulfon Mein Chupalon Mujhko Udaas Hoon MainRoshni Chubhti Hai Ankhon Mein Adhera KarnaYoon To Har Din Teri Khushbu Se Jawan Rehta HaiAnkh Lag Jaye To Khwabon Mein Bhi Aya KarnaWoh Kisi Roz Idher Se Bhi Guzar Sakti HaiTum Na Ik Pal Bhi Nazar Apni Hataya KarnaTumne Baadal Ki Tarha Dhoop Chhupani Hai AzizTum Har Ek Sham Use Chaand Dikhaya Karna