Phir aj mujhe tum ko bas itna batana haihansana hi jivan hai hanste hi jana haimadhuban ho ya gulshan ho patajhad ho ya savan hohar hal mein insan ka ik phul sa jivan hokanton mein ulajh ke bhi khushbu hi lutana haihansana hi jivan hai hanste hi jana haihar pal jo guzar jaye daman ko to bhar jayeye soch ke jee lain to taqdir sanvar jayeis umr ke rahon se khushiyon ko churana haihansana hi jivan hai hanste hi jana haisab dard mita den ham, har gham ko saza den humkahate hain jise jina duniya ko sikha den humye aj to apna hai kal bhi apanana haihansana hi jivan hai hanste hi jana hai

Ishq Pagal Kar Gaya Tou Kya Kare Ge Soch LoSanha Aisa Howa To Kya Karo Ge Soch LoSath Us Ke Har Qadam Chalne Ki Adat Kis LiyeChor Ke Wo Chal Diya To Kya Karo Ge Soch LoShor Bahir Hai Abhi Is Waste Khamosh HoShor Ander Gir Utha To Kya Karo Ge Soch LoKar Rahe Ho Ghar Naya Tameer Urti Rait PerYe Achanak Gir Para To Kya Karo Ge Soch LoBand Palko Per Adhore Khuwab Bante Ho MagarKoi In Me Aa Basa To Kya Karo Ge Soch LoDar Dareche Sab Muqfil Kar Ke Bethe Ho MagarWo Achanak Aa Gaya To Kya Karo Ge Soch LoDoobte Sooraj Ka Chehra Aur Us Ki Naqhs PaJab Wo Manzar Gum Howa To Kya Karo Ge Soch Lo

Phir aj mujhe tum ko bas itna batana haihansana hi jivan hai hanste hi jana haimadhuban ho ya gulshan ho patajhad ho ya savan hohar hal mein insan ka ik phul sa jivan hokanton mein ulajh ke bhi khushbu hi lutana haihansana hi jivan hai hanste hi jana haihar pal jo guzar jaye daman ko to bhar jayeye soch ke jee lain to taqdir sanvar jayeis umr ke rahon se khushiyon ko churana haihansana hi jivan hai hanste hi jana haisab dard mita den ham, har gham ko saza den humkahate hain jise jina duniya ko sikha den humye aj to apna hai kal bhi apanana haihansana hi jivan hai hanste hi jana hai

Ik Shakhs tanha rota Raha hai,apne aansuo ko palko pe parota raha hai,akeeda to tha usey piyar k karishmo par,phir bhi karne se darta raha hai,Chahat thi sada pas rakhne ki kisiko,utna hi us se koi door jata raha hai,Hai umeed usey kisi k lout aney ki aaj bhi,Isi gumaan me janey kab se jeeta raha hai,Posheeda hai ik taweel si dastaa us me,Kon janey kisey chahta raha hai,So jo nahi paa raha pathar k bichoney pe,yakeenan kisi ki baaho me sota raha hai,kasoor fakkat itna tha nadaa ka,k gham duniya se chupata raha hai,aaj tum kiska matam karte ho logo,Wo to janey kab se marta raha hai,

Lab-e khamosh se afsha hogaraz har rang mein rusva hogadil ke sahara mein chali sard hawaabr gulzar pe barasa hogatum nahi the to sar-e-bam-e-khayalyaad ka koi sitara hogakis tavaqqo pe kisi ko dekhenkoi tum se bhi hasin kya hogazinat-e-halqa-e-agosh banodur baithoge to charcha hogazulmat-e-shab mein bhi sharmate hodard chamakega to phir kya hogajis bhi fankar ka shahakar ho tumus ne sadiyon tumhen socha hogakis qadar karb se chataki hai kalishakh se gul koi tuta hogaumr bhar roye faqat is dhun meinraat biti to ujala hogasari duniya hamen pahachanati haikoi ham-sa bhi na tanha hoga

Thaki Thaki Si Nigah Dil Bojhal HuaMain Teri Yaad Main Kitna Bay Kal HuaNa Raha Hosh Apna Teri Talash MainDer Der Bhatakta Phira Main Pagal HuaJeetey Jeetey Sanum Teri Yaad Ka MausamDerd Say Dariya Phir Situm Badal HuaBikhri Meri Hasti Ko Sameyta Tu NayTeri Chahat Kay Sabab Main Mukamal HuaKehney Walay Keh Chukkay Aks-E-Sehra MujhayJo Tera Saath Paya Shokh-O-Chanchal HuaChah Kay Tujhay Ghum Ka Siyaah BadalAb Kiyoun Meri Nazar Ka Kajal HuaWo Aber Der Haqeeqat Mausam-E-Milan ThaJis Say Kay Sara Aalam Jal Thal HuaIk Ehsas-E-Bay Basi Dherkanoon Main ShaikiIk Derd Ka Gumaan Pal Pal Hua.

Tum apne mahal ki fikar karnaGaribo ka jhappar jalane se pahleAajmana apne pyar ko kasauti parKisi diwane se dil lagane se pahleYakin mano hath kanp (kampan) uthenge tumharePyar bhare dil ko jalane se pahleChhalkenge aansu aankhon main hajar barMohababat main rang lane se pahleChamak uthegi aasma main bhi bijliyaBin badal barsat aane ke pahleToot jate hain khwab mohababat main aksarSuna hai khwab sajnae se pahleYah mashum chehre bhi dete hain dhokhaNa samjhega koi chot khane se pahle‘Avinash’ ki bhi uthegi maiyat (janaja) yaronBewafa ki doli sajan ke ghar jane se pahle..

Main TUJY Bhula B DoonKHUD Ko Mita B Doon Jala B DoonPHIR B Meri ROOH Mera Jism , Meri JAANMery DIL Ki Sakoot DherknainTera He NAAM Laiti Rahain GiSAWAL Kuch HogaJawab Main , MAIN Sirf Tujy He Mangoon GaMain Tujy Kaisy BHULA DoonDERD K Uss Kharund Ko Jo Bherta Ja Raha HaiMeri JAAN Kaisy Sula DoonKaisy Main APNY Dil Ko Tassalli DoonK MUHABBAT Main Haar B Hooti HaiAE Kismat Bana`Ny WalyAger TU Dil Main Muhabbat Deta Hai,Chahat Deta HaiTo PHIR Ussy Wo B De Jo Uss Ki Chahat HaiAE Dil_E_Nadan Bass Itna Samaj LooK Andhi AYE ThiSab K GHER Mehfooz RahayBERBAD Hova To Sirf MARA GHER . . . . . .

Zindagi Mein To Sabhi Pyaar Kiya Karte HainMain To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe ChahoongaTu Mila Hai To Ehsaas Hua Hai MujhkoYe Meri Umr Mohabbat Ke Liye Thodi HaiIk Zara Saagame Daura Ka Bhi Haq Hai JisparMaine Wo Saans Bhi Tere Liye Rakh Chodi HaiTujhpe Ho Jaaoonga Qurbaan Tujhe ChaoongaMain To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe ChahoongaApne Jazbaat Mein Nagmaat Rachaane Ke LiyeMaine Dhadkan Ki Tarah Dil Mein Basaya Hai TujheMain Tasavoor Bhi Judaai Ka Bhala Kaise KaroonMaine Kimsat Ki Lakiron Se Churaaya Hai TujhePyaar Ka Ban Ke Nigehbaan Tujhe ChahoongaMain To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga

Ki Ab To Desh Mera Praya Sa Lagta HaiThi Bazuon Me Jiski TakkatVo Ab Murjhaya Sa Lagta HaiHosle Hum Me Bhi HaiHosle Tum Me Bhi HaiTo Kyu Pak Ka Is Zamin Pe Saya Ab Tak Milta HaiMila Lo Ab To Dost Hathon Se HathKi Ab To Apna Hi Khoon Dil Jalata HaiPoochti Hai Vatan Ki Mitti Tanhaion MeKi Kyu Tujhe Zamin Par Khof Ka Saya Lagta HaiYa To Tu Nahi Kabil Kisi Mitti KYa Tu Apni Hi Maut Ka Marra Lagta HaiKasmir Ki Vo Baat Karte HaiJo Taz Humara HaiKi Khoon Ki Holi Khelo Chahe Ya Bano Gandhi K BandarHume To Apna Vatan Sambhalna HaiTum Ho Ya Na Ho To Bhi KyaMitti Se Paida HueHume Mitti Me Mil Janna Hai.

Safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalosabhi hain bheed mein tum bhi nikal sako to chaloidhar udhar kai manzil hain chal sako to chalobane banaye hain sanche jo dhal sako to chalokisi ke vasate rahen kahan badalati haintum apne aap ko khud hi badal sako to chaloyahan kisi ko koi rasta nahi detamujhe girake agar tum sambhal sako to chaloyahi hai zindagi kuch khwab chand ummideninhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalohar ik safar ko hai mahafus raston ke talashhifazaton ke rivayat badal sako to chalokaheen nahi koi suraj, dhuan dhuan hai fizakhud apne aap se bahar nikal sako to chalo

Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya HogaMeri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya HogaBaat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee HogiUss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya HogaSocha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar MujhayNaam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya HogaJahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi SayUss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya HogaRaat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi TujhayTunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya HogaHokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay JaanaMeri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya HogaPoocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka SabbabTunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga

Tanha jab dil hoga, aapko aawaz diya karenge.Raat me sitaronse aapka jikr kiya karenge.Aap aaye ya na aaye hamari khwabonme,Ham bas aapka intezaar kiya karenge.Khwab dekhne ke liye ab so jayenge. Goodnite`NAMASKAR!!!Ye hamari madhya ratri seva haiIsme hum aadhi raat k baadLogon ki need kharab karte hainDhanyawad ab aap so jayen`Dosti agar buri ho, to use hone mat do,Ho gayi to use khone mat do,Aur agar dost ho sabse pyara to use sone mat do,Jagte raho…`Pathar se dosti, Jaan ko khatra.Pathan se dosti, Demag ko khatra.Daru se dosti, Liver ko khatra.Hum se dosti, raat be raat SMS ka khatra.

Raat Aayi Dard Ki Chaadar Liye HueSoye Rahe Yeh Bojh Palkon Par Liye HueRaaste Mein Mujhko Be-Ghar Dekh KarDost Aaye Hai Haath Mein Patthar Liye HueAaj Uske Samne Jayenge HumApne Hi Haathon Mein Apna Sir Liye HueMeri Aankh Umer Bhar Hasti RahiEk Suhane Khwaab Ka Manzar Liye HueLog Aapas Mein Gale Milte RaheAastinon Mein Chhupe Hue Khanzar Liye HueGardishein To Ek Bahana Thi MagarKhwaahishein Phirti Rahi Dar Dar Liye HueTeri Raah Takte Rahe Par Tu Nahi AayieBaithe Rahe Teri Mehfil Mein Khali Jaam Liye HueDhalti Dikh Rahi Hai Zindagi Ki GhadiyaanKoi Aa Raha Hai Haathon Mein Maut Ka Paigham Liye Hue

Dil Ki Batain Bata Deti Hain AankhenDharkanon Ko Jaga Deti Hain, AankhenDil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka KabhiDil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain AankhenWoh Hum Se Baat Nahi Karte Tu Na KareHaal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain AankhenGham Sada Rehta Nahi admi Ke SaathAshk Bana Kar halka Deti Hain AankhenAata Hai Jab Dor – E – Jawani , Tu Ae DostoSunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain AankhenMa Na Ke Neend Aati Hai Aankhon Hi Ke RasteMagar Kabhi Kabar Neend ,Ura Deti Hain AankhenEesha Shukar Hai Khuda Ne Ata Ki Aankhon Ki Neamat HumainDard -O-Gham Sare Dil Ke Chupa Deti Hain Aankhen