Rona bhi jo chahen to wo rone nahi detaWo shaks to palken bhi bhigone nahi detaWo roz rulata hai hame khwab me aakarSona bhi jo chahen to sone nahi deta,Ye kis ke ishare pe umad aye hain baadalHai kaun jo barsat bhi hone nahi detaAata hai khayalon me mere kaun ye aksar,Jo muzhko kisi aur ka hone nahi deta,Ik shakhs hai aisa meri basti me abhi takJo bojh akele muzhe done nahi deta,Mai hoon ke bahaata hoon teri yaad me aansoo,Tu hai ke ashkon ko pirone nahi deta,Wo chehra ajab hai jise paakar mai abhi tak,Khona bhi chahoon to khone nahi detaThame hue lahron kee husn-e-baag koi too,Sahil ko samandar me doobone nahi deta..

Aj ae dil lab-o-rukhsar ke baten hai sahiaj ae dil lab-o-rukhsar ke baten hai sahiwaqt kat jayega kuch pyar ke baten hi sahiyun to katati hi rahegi gam-e-dauran mein hayataj ke rat gam-e-yar ke baten hi sahizinda rahane ke kabhi to koi surat nikaleisharat-e-alam-e-didar ke baten hi sahikoi to bat chide aj bahut jee hai udaskam se kam rahamat-e-agyar ke baten hi sahiab to tanhai ko ye karb na hoga bardashtkuch nahi to dar-o-divar ke baten hi sahiye bhi kya kam hai unhen qurbat-e-gul to hai nasibaj gul ke na sahi khar ke baten hi sahiye to tai hai ki jiye jayenge har hal mein humun ke lab par rasan-o-dar ke baten hi sahi

Badnasibi Khatm Ho Jayegi, Jab Main Mar Jao Ga…Tanhahi Mit Jayegi, Jab Main Mar Jao Ga…Kabi Barishey, Kabi Dup, Barf Bachpan Se Deakhta Aaya Hun…Sama Aakhrat Ka Bi Dekhuga, Jab Main Mar Jao Ga…Jo Bichad Gaye Is Zindagi Ke Karwan Main…Mulakatein Un Se Bi Hongi, Jab Main Mar Jao Ga…Giley Shiway Is Dunya Main Kis Se Karta…Bas Usi Se Apne Zakhmun Ki Dawa Lunga, Jab Main Mar Jao Ga…Jis Ne Palat Yad Na Kiya Kabi…Usko Bi Bul Jao Ga, Jab Main Mar Jao Ga…Umid Mein To Din Raat Guzar Jati Hain…Us Ke Aane Ki Umid Bi Tut Jaye Gi Aye Ria, Jab Main Mar Jao Ga

Ma Ba Spogmay Ta Sta Da Na Ratlo Qisy Kawale,Ta Ba Khobona Kawal Ma Ba Shogery Kawale.Za Ba Walar Wom Sta Pa Khwa Ke Tar Saba Janana,Sta Da Spen Makh Pa Tola Shpa Ma Nandare Kawale.Ma Ba Che Kala Pa Dewall Sta Dedanoona Kawal,Sta Moor Zalemy Ba Hamesh Rata Khere Kawale.Da Stargo Laande Ba De Okatal Moskay Ba Shole,Pa Wara Khula Ba De Wary Wary Giley Kawale.Sa Da Gulab Sa Da Rambel Sa Da Ridy Gulona,Ma Ba Tre Sta Dwaro Lasono La Gajre Kawale.Ma Ba We Daa Da Matam Nakha Da Da Rang Ha Nade,Ta Ba Zama Da Qasda Tal Torey Jamay Kawale.Ma IMDAD KHIYAL Ba Laare Sta Pa Nima Shpa Saarale,Sta Pa Hijraan Ke Ba Zargi Zama Lamby Kawale.

Mujh Se Kiya Perda Hai Chalo Utha Deta HoonTumhen Dekh Ker Ik Ghazal Sunaa  Deta HoonKoi Chaand Ho Sooraj Ya Aasmaan Ka TaraTere Cherey Ko Kya Kya Bana Deta HoonPhool Kalyaan Khushboo Bikhri Hon CharsooAaj Sara Gul O Gulzar Saja Detaa HoonTum Se Mil Ker Ye Ehsaas Ho Raha HaiJesey Shabnam Ko Honton Sy Laga Deta HoonYoun Muskura Ker Na Dekha Karo MujheyPal Bhar Main Sari Duniyaan Bhula Deta HoonAa Jaao Ke Abhi Raat Buhat Hy BaaqiApney Khawaabon Mein Tumhen Sulaa Deta HoonKitni Chaahat Kitna Piyaar Hy Hamien Tum SeApny Dil Ki Her Baat Bataa Detaa HoonJab Bhi Bujhti Hai Aag Is Dil KiChingaari Yaadon Ki Phir Se Jala Deta Hoon

Sumandar Mein Uturta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jaati HainTeri Aankhon Ko Parhta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jati HainTumhara Naam Likhney Ki Ijaazat Chin Gai Jub SeKoi Bhi Lafz Likhta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jati HainNaa Jaaney Ho Gaya Iss Qadar Hassaas Mein Kub SeKissi Se Baat Karta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jati HaiWoh Sub Guzrey Huey Lumhaat Mujhko Yaad Atey HainTumharey Khut Jo Parhta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jaati HainMein Saara Din Buhut Masroof Rehta Hoon Magar Joonhi !!Qadam Chaukhut Pe Rakhta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jaati HainHazaaron Mausumon Ki Hukmaraani Hai Merey Dil PurWasi Mein Jub Bhi Hansta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jaati Hain

Hisaar-E-Zaat Se Gar Ham Nikal Nahiin SakteDiye Hamaare Tafakkur Ke Jal Nahiin SakteHai Inqilaab-E-Zamaanaa Kaa Khvaab Be.MaaniiHam Apne Aap Ko Jab Tak Badal Nahiin SakteKhulii Fazaa Kii Zaruurat Jinhen Ho Vo PaudeGhane Darakht Ke Saaye Men Phal Nahiin SakteUnhiin Kii Raah Men Patthar Bichhaaye Hai DunyaaZaraa Sii Chot Jo Khaa Kar Sanbhal Nahiin SakteGhubaar-E-Raah Kaa Saa Hashr Un Kaa Hotaa HaiJo Log Chaal Zamaane Kii Chal Nahiin SakteVo Ban Ke Zahr Dil-O-Jaan Men Phail Jaate HainBa.Raah-E-Chashm Jo Aansuu Ubal Nahiin SakteKayi To Dafn Hi Rahte Hain Dil Men, Ai “Abid”Ki Saare Dard To Shairon Mein Dhal Nahin Sakte!

Dil Chahta Hai Teri Ankhon Per Kuch Aur LikhonHar Tarha Likh Chuka Hoon Ab Kis Tor LikhonAb To Har Koi Inhain Jaan Lewa Kehta HaMain Bhi Tasdeeq Karon Ya Zmaney Ka Shoore LikhonAb Muje Chahiye Ke Teri Awaz Ko Rabab KahonAur Sochta Hoon Khubsorti Ko Masal Moor LikhonTeri Nazuk Klaiyon Per Bhi To Kuch Likhna ChahoonAndaz_e_bayan Ko Bhi Chahta Hoon Kabl_e_gor LikhonKabi Baith Jaoon Jo Mian Pencil Kagaz Ley KarTo Apni Aur Tumhari Mohabbat Ka Tamam Door LikhoonTo Meri Janab Dekhey To Nazrain Joka Leta HoonTuj Ko Bahadur Likhon Yan Khud Ko Kamzor LikhonTu Jab Kabi Yaad Aye To Dil Chahta HaTeri Tasweer Banaoon Ya 1 Ghazal Fir Or Likhon

Kaun Kahata Hai Ke Maut Aayi To Mar JaungaMain To Darya Hun Samandar Mein Utar JaungaTera Dar Chor Ke Main Aur Kidhar JaungaGhar Mein Ghir Jaunga Sahara Mein Bikhar JaungaTere Pahlu Se Jo Uthunga To Mushkil Ye HaiSirf Ik Shakhs Ko Paunga Jidhar JaungaAb Tere Shehar Mein Aunga Musafir Ki TarahSaya-E-Abr Ki Manind Guzar JaungaTera Paiman-E-Wafa Rah Ki Divar BanaWarna Socha Tha Ke Jab Chahunga Mar JaungaCharasazon Se Alag Hai Mera Mayar Ke MainZakhm Khaunga To Kuch Aur Sanvar JaungaAb To Khurshid Ko Dube Hue Sadiyan GuzrinAb Use Dhundne Main Ta-Ba-Sahar JaungaZindagi Shamma Ki Manind Jalata HunBujh To Jaunga Magar Subah To Kar Jaunga

Phir Kabhi Logon Ki Baaton Mien Na Aye Ga WohDekh Lena Mujh Se Mil Ker Theek Ho Jaye Ga WohMere Us K Darmiyaan Koi Bara Jhagra NahinLaikin Isko To0l Dega Kho0b Phelaye Ga WohChhoti Chhoti Ranjishon Ko Bho0l Jana ChahiyeJane Is Nuqtay Ko Aakhir Kab Samajh Paye Ga WohUs Ki Khatir Mein To Is Duniya Se Katt Ker Reh GaiWoh Zamana Saaz Haii Achcha To Kehlaye Ga WohSulah To Kare Ga Aa Ker Mujhe Se Laikin Us K BaadJab Milay Ga Bus Yehi Ehsan Jataye Ga WohMein Bhi Kuch Aisi Gai Guzri Nahin Keh Do UsseAankh Utha Ker Bhi Na Dekho0n Gi Pachtaye Ga WohDEKHO!!YEH GHAZAL US TAK BHI PONHANCHE GI ZARO0RPHIR NA KURHNA BAITH KER JAB AUR ITRAYE GA WOH

Da Khpal Zarrgi Da Parharono Qisay Chatha Okrram,Za Da Nemgarri Armanono Qisay Chatha Okrram.Hagha 6 Ma Sara Yozai Ba Sang Pa Sang Garzedo,Da Hagha Khkuli Da Yadoono Qisay Chatha Okrram.Hes Khabar Na Wom Che Ba Mala Rakavi Zahmoona,Os Da Chaman Da Sro Gulono Qisay Chatha Okrram.Har Yo Lamha Da Jwandun Mala Ye Badala Krala,Za Da Ter Shawe Baharono Qisay Chatha Okraam.Sta Da Nazar Ghashi Zma Pa Zarrgi Owaredal,Za Da Parhar Parhr Zakhmono Qisay Chatha Okrram.Da Zra Pa Ranz Bande Akhta Yama Raghegama Na,Da Khpalo Ohko Selabono Qisay Chatha Okraam.Os Me Be-Ora Imdad Khiyala Be-Gunah Swazavi,Za Da Hijran Da Sro Orono Qisay Chatha Okraam.

Zindagi Mein Kuch Paya Aur Kuch KhoyaLekin Tujhe Khona Nhi Chahta MaaZindagi Ne Kabhi Hasaya Aur Kabhi RulayaLakin Tujhe Rulana Nhi Chahta MaaYaad Aati Hai Bahot Tere Bachpan Ki Wo LoryIsi Liye Teri God K Elawa Kahin Aur Sona Nhi Chahta MaaKitna Daanta Tha Tune Bachpan MeinAb Q Nhi Daandti Tu Mujhe MaaKaise Zinda Reh Paunga Main Tere BaghairKabhi Fursat Mile Mujhe Tu Ye To Bata MaaZindagi Tune To Meri Roshan Kar DiLekin Khud Kiss Andhere Mein Kho Gayi Tu MaaKabhi To Khila Mujhe Apne Hath Ki RotiAaj Kal Bhukh Bahoth Lagthi Hai Mujhe MaaKahaan Ho Tum, Aa Kar Lagalo Gale Iss Bebas Prince KoNa Jane Kis Kaash Main Nikal Jaye Meri Saans Maa.

Gulsitaane Mohabbat Ki Bahaaron Ne Mujhe LootaNighahe Shoq Jab Uthi Nazaaron Ne Mujhe LootaFasaana Ban Gaya Ulfat Ka Teri Soch Ley ZaalimKe Jab Jaane Adaa Tere Sahaaron Ne Mujhe LootaMere Dil Par Qayaamat Ka Guzarna Tha Shabe FurqatMagar Har Ek Nafs En Chand Taaron Ne Mujhe LootaKisi Ke Husn Ke Jalwe Base The Meri Aankhon MeinBadhi Jab Beqaraari Beqaraaron Ne Mujhe LootaMusalsal Zindagi Ke Emtahan Hote Rahe LekinMere Humraaz Ban Kar Raazdaaron Ne Mujhe LootaShabab Aaya Tha Gulshan Par Ajab Rangee Mausam ThaMagar Ae Dost Saawan Ki Phuaaron Ne Mujhe LootaSare Mehfil Aziz Apni Wafaa Par Nafs Ne Mujhe LootaNigahe Husn Ke Mubham Eshaaron Ne Mujhe Loota

Shahar mein dhund raha hun ke sahara de dekoi hatim jo mere hath mein kasa de deped sab nange faqiron ke tarah sahame hainkis se umeed ye ke jaye ki saya de dewaqt ke sangzani noch gai sare naqushab wo aaina kahan jo mera chehara de dedushmanon ke bhi koi baat to sach ho jayeaa mere dost kisi din mujhe dhoka de demain bahut jald hi ghar laut ke aa jaungameri tanhai yahan kuch dinon pehara de dedub jana hi muqadar hai to behatar varanatune patavar jo chini hai to tinka de dejis ne qataron ka bhi mohataj kiya mujh kowo agar josh mein aa jaye to dariya de detum ko “rahat” ke tabiyat ka nahi andazawo bikhari hai magar mango to duniya de de

Dil Dard Ki Shiddat Se Khoon-Gashta-O-See Paara,Is Sheher Mein Phirta Hai Ek Wehshee-O-Awara,Shayar Hai Ke Aashiq Hai, Jogi Hai Ke Banjara,Darwaza Khula Rakhna,Seene Se Ghata Uthe, Aankhon Se Jhari Barse,Phaagan Ke Nahi Badal, Jo Chaar Ghadi Barse,Barkha Hai Ye Bhaado Ki, Barse To Badi Barse,Darwaza Khula Rakhna,Aankhon Mein Ek Alam, Aankhon Mein To Duniya Hai,Honthon Pe Magar Mohrein, Munh Se Nahi Kehta Hai,Kis Chiz Ko Kho Baitha Hai, Kya Dhundne Nikla Hai,Darwaza Khula Rakhna,Shikwon Ko Utha Rakhna, Aankhon Ko Bichha Rakhna,Ek Shama Dareeche Ke Chaukhat Pe Jala Rakhna,Mayoos Na Phir Jaaye, Haan Paas-E-Wafa Rakhna,Darwaza Khula Rakhna Darwaza Khula Rakhna.