Ham Ne Soch Rakhaa HaiChahe Dil Ki Har KhuwahishZindagi Ki Aankhon Se Ashk Ban K Beh JaieChahe Ab Makeenon PerGhar Ki Saari DeewarainChat Sameet Gir JaienAur Be-Muqadar HumIs Badan K Malbe Main Khud Hi Kion Na Dab JaaienTum Se Kuch Nahin KehnaKaisi Neend Thi ApniKaise Khwab The ApneAur Ab Gulabon PerNeend Wali Aankhon PerNarm-Khu See Khuwabon PerKion Azab Tote HainTum Se Kuch Nahin KehnaGhir Gaie Haain Baton MainBe-Libas Baton MainIs Taarah Ki Raton MainKab Chiragh Jalte Hain, Kab Azab Talte HainAb To In Azabon Se Buch K Bhi Nikalne Ka Raasta Nahin JaananJis Tarah Tumhain Such K Lazawal Lamhon Se Wasta Nahin JaananHam Ne Soch Rakha HaiTum Se Kuch Nahin KehnaNoshi Gillani

KHUDAA WOH WAQT NA LAAIKhudaa woh waqt na laai keh sogawaar ho tusakoon ki neend tujhay bhi haraam ho jaaiteri musarrat-e-peham tamaam ho jaaiteri hayaat tujhay talkh jaam ho jaaiGhamoon say aaina-e-dil gudaaz ho terahajoom-e-yaas say baytaab ho kay reh jaaiwafoor-e-dard say seemab ho kay reh jaaitera shabaab faqt khawaab ho kay reh jaaiGharoor-e-hussn sarapa nayaz ho terataweel raatoon main tu bhi qaraar ko tersayteri nigaah kissi ghum gusaar ko tersaykhazaan raseedah tamanna bahaar ko tersayKoi jabeen naan teray sang-e-aastaan pay jhukaykeh jins-e-ijz-o-aaqeedat say tujh ko shaad karayfaraib-e-waada-e-farda pay aaitamad karaykhudaa woh waqt na laai keh tujh ko yaad aai

Uske Husn Ki Tarif Mein Kya KahiyeKoi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi HaiAe Banane Wale Lagta JaiseKoi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi HaiUske Zulafo Ki Tarif Mein Kya KahiyeJaise Din Dhalte Hi Chhayi Andhyari HaiHo Chali Hai Pawan Bhi PagalUski Zulaf Lehar-2 Leharaayi HaiAankhein Uski Ya Mehkashi K PyaaleDekhkar Hi Hum Pe Khumari Si Chhayi HaiHonth Kahu Ya Phoolo Ki PaankheinJiski Khushboo Ne Hamari Saaso Ko Mehkayi HaiAbar Kahu Uske Gaalo Ko MainDhoodh Se Jaise Wo Nahayi HaiChand Kahu Fir Bhi Kam HogaAasma K Nakshtro Mein Wo Hi Jag-Magayi HaiUske Husn Ki Tarif Mein Kya KahiyeKoi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi HaiAe Banane Wale Lagta JaiseKoi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai

Teri duniya mein ya rab zist ke saman jalate hainfareb-e-zindagi ke aag mein insan jalate haindilon mein azamat-e-tauhid ke dipak fasurda hainjabinon par riya-o-kubr ke saman jalate hainhavas ke barayabi hai khirad-mandon ke mahafil meinrupahali tikaliyon ke ot mein iman jalate hainhavadis raqs-farma hain qayamat muskurati haisuna hai nakhuda ke naam se tufan jalate hainshagufe jhulate hain is chaman mein bhuk ke jhulebaharon mein nasheman to bahar-e-unavan jalatae hainkaheen aazeb ke chan-chan mein majboori tadapati hairiya dam tod deti hai sunehre dan jalate hainmanao jashn-e-may-noshi bikharao zulf-e-mayakhanaibadat se to “sagar” dahar ke shaitan jalate hain

Maa ! Mujhay Neend Nahi Ate HaAik Mudat Say Mujhay Neend Nahi Ate HaMaa ! Mujhay Loori DoMaa ! Mujhay Neend Nahi AteRatjagay Abb Tooh Muqaddar Hain Meri Palkoon KNeend Aye Tooh Lay Ati Hai Bagdaad Ke YaadAnkh Lagtay He Koi Bewah Utha Deti HaiPait Jitna Bhi Bharron Bhook Nahi Mitti HaiJaltay Basra Ke Mujhay Payaas Jega Date HaKoye Kandhar Ke Wadi Say Bulata Ha MujhayZikar Kandwaz Ka Aye To Mujhay Lagta HaKat Kay Koye Sir Hansta Ha , Jalata Ha MujhayBomb Ke Awazen Mujhay Kuch Nahi Kahten MugarZakam In Bachon Kay Sonay Nahi Datay Han MujhayMare Seenay Par Rakho HathRula Do Na MujhayMaa ! Mujhay Loori Sunyo NaSula Do Na MujhayMaa ! Mujhay Neend Nahi AteAik Mudat Say Neend Nahi Ate

Yeh Hawaon K Musafir , Yeh Samundaron K RaahiMeray Sir Bakaf Mujhahid , Meray Sar Shikan SipahiYeh Tera Yaqeen Mehkam , Teri Himmaton Ki Jaan HaiTeray Bazo’uon Ki Kuwwat Teray Azm Ka Nishaan HaiTu Hi Raah , Tu Hi Manzil , Tu Hi Meer E Karwaan HaiYeh Zameen Teri Hai , Yeh Jahaan Tera Jahaan HaiTu Watan Ka Pasbaan Hai , Teray Haath Main Hai ShaahiMeray Sir Bakaf Mujhahid , Meray Sar Shikan SipahiTeri Abro’uon Ki Junbash Teri Ankh Ka IshaarahTeray Dushmano Ki Aafat , Teray Qehar Ka IshaarahTu Watan Ki Aabro Hai , Tu Watan Ka Hai SahaarahIss Aabro Se Chamka Iss Dais Ka SitaarahYehi Bankapan Hai Tera , Yehi Teri Kaj-KalaahiMeray Sir Bakaf Mujhahid , Meray Sar Shikan Sipahi

Mere dil mein tu hi tu hai dil ke dawa kya karundil bhi tu hai jan bhi tu hai tujhape fida kya karunkhud ko khokar tujh ko pa kar kya kya mila kya kahuntera hoke jine mein kya kya aaya maza kya kahunkaise din hain kaisi raten kaisi fiza kya kahunmeri hoke tune mujhko kya kya diya kya kahunmeri pehlu mein jab tu hai phir main dua kya karundil bhi tu hai jan bhi tu hai tujhape fida kya karunhai ye duniya dil ke duniya milake rahenge yahanlutenge hum khushiyan har pal dukh na sahenge yahanarmanon ke chanchal dhare aise bahenge yahanye to sapanon ke jannat hai sab hi kahenge yahanye duniya mere dil mein basi hai dil se juda kya karundil bhi tu hai jan bhi tu hai tujhape fida kya karun

Tu Nahi Tou Zindagi Mien Ujala Kaisa,Roshni Ke Sath Jeete Hai Bas Maut Ke JaisaSadma Tou Hai Tu Mere Sang NahiHaste Chehre Pe Ye Hamare Muskarana KaisaJeete Ja Rahe Hai Zindagi Ka Alam Shauk Ke SathSath Tera Na Ho Tou Ye Hasna Hasana KaisaYa Khuda Ye Kaisi Dillagi Hai Aur Kaisi Hai ChahatHum Zarra Bhi Paas Nahi Uske Dil K Fir Ye Intezaar KaisaTu Nahi Tou Zindagi Mien Ujala Kaisa,Roshni Ke Sath Jeete Hai Bas Maut Ke JaisaSadma Tou Hai Tu Mere Sang NahiHaste Chehre Pe Ye Hamare Muskarana KaisaJeete Ja Rahe Hai Zindagi Ka Alam Shauk Ke SathSath Tera Na Ho Tou Ye Hasna Hasana KaisaYa Khuda Ye Kaisi Dillagi Hai Aur Kaisi Hai ChahatHum Zarra Bhi Paas Nahi Uske Dil K Fir Ye Intezaar Kaisa

Tum jo pal ko thahar jao to ye lamhen bhiaanevale lamhon ke amanat ban jayentum jo thahar jao to ye rat, mahatabye sabza, ye gulab aur hum donon ke khwabsab ke sab aise mubaham hon ki haqiqat ho jayentum thahar jao ki unavan ke tafasir ho tumtum se talkhi-e-auqat ka mausam badleraat to kya badalegi, halat to kya badlengetum jo thahar jao to meri zat ka mausam badlemaharban ho ke na thaharo to phir yun thaharojaise pal bhar ko koi khvab-e-tamanna thaharejaise daravesh-e-mada-nosh ke pyale mein kabhiek do pal ke liye talkhi-e-duniya thaharethahar jao ke madarat maikhane sechalte chalte koi ek-adh subu ho jayeis se pahale ke koi lamha aainda ka tiris tarah aaye ke pevast-e-gulu ho jaye

I do think New Year’s resolutions can’t technically be expected to begin on New Year’s Day, don’t you? Since, because it’s an extension of New Year’s Eve, smokers are already on a smoking roll and cannot be expected to stop abruptly on the stroke of midnight with so much nicotine in the system. Also dieting on New Year’s Day isn’t a good idea as you can’t eat rationally but really need to be free to consume whatever is necessary, moment by moment, in order to ease your hangover. I think it would be much more sensible if resolutions began generally on January the second.(Happy New Year)~ Helen Fielding, Bridget Jones’s Diary

Tujh ko dariyadili ke qasam saqiyamushtaqil daur par daur chalata raheraunaq-e-maikada yun hi badati raheik girata rahe ik sambhalata rahesirf shabanam hi shan-e-gulistan nahishola-o-gul ka bhi daur chalata raheashk bhi chashm-e-purnam se behte rahenaur dil se dhuan bhi nikalata rahetere kabaze mein hai ye mizami jahantu jo chahe to sahara bane gulistanhar nazar par teri phul khilate rahehar ishare pe mausam badalata rahetere chehare pe ye zulf bikhari huineend ke god mein subah nikhari huiaur is par sitam ye adayen teri dil haiaakhir kahan tak sambhalata raheis mein khun-e-tamanna ke tasir haiye vafa-e-muhabbat ke tasvir haiaisi tasvir badle ye mumkin nahirang chahe zamana badalata rahe

Mal-e-soz-e-gam hae! nihani dekhte jaobhadak uthi hai shamma-e-zindagani dekhte jaochale bhi aao wo hai qabr-e-fani dekhte jaotum apne marane wale ke nishani dekhte jaoabhi kya hai kisi din khoon rulayega ye khamoshizuban-e-hal ki jadd-o-bayani dekhte jaogarur-e-husn ka sadaqa koi jata hai duniya sekisi ke khak mein milati javani dekhte jaoudhar muh pher kar kya zibah karte ho, idhar dekho!meri gardan pe khanjar ke ravani dekhte jaobahar-e-zindagi ka lutf dekha hai aur dekhogekisi ka aish marg-e-nagahani dekhte jaosune jate na the tum se mere din raat ke shikavekafan sarakao meri be-zubani dekhte jaowo utha shor-e-matam aakhari didar-e-mayyat parab utha chahate hain nash-e-fani dekhte jao

Hum Apnay Dard Lafzon Ki Zubani Rakh Nahi Saqtay,Qalam Ki Nok Par Koi Kahani Rakh Nahi Saqtay,Muhabbat Kar To Saqtay Hain, Humara Almiya Hai Yeh,K Hum Tawan Mein Apni Jawani Rakh Nahi Saqtay,Humara Ishq Bala Hai Tumhari Soch Ki Had Se,Koi Kangan Koi Chori Nishani Rakh Nahi Saqtay,Muhabbat Kainati Sach Hai, Yeh Tasleem Hai Laikin,Zameen Zaday Hain, Jazbay Asmaani Rakh Nahi Saqtay,Humein Toh Zard Rut Ne Qaid Kar Rakha Hai Kuch Aise,Koi Umeed Ankhon Mein Suhaani Rakh Nahi Saqtay,Chalo Kuch Phool Le Ayein Nayi Khuwaish K Mousam Se,Naye Dalaan Mein Yaadein Purani Rakh Nahi Saqtay,Para Hai Wasta, “Amjad” Muhabbat K Yazeedon Se,Yahan Hum Apni Ankhon Mein Bhi Pani Rakh Nahi Saqtay..!!!!

Chupa Liya Hai Anchal Mein Jis Chand Ko Usey Be Nakab To Hone DoBayan Karenge Hale Dil Hum Bhi Ek Baar Deedar To Hone DoKya Gazab Ka Husn Paya Hai Tune Ke Niyat Dol Gayi MeriDekh Lun Tumhe Ek Baar Jee Bher Ke Bus Yehi Arzu Hai MeriTeri Ankho Se Mai Ke Do Paimane Pi To LuTere Labon Ke Dahekate Angaro Ki KasamParwana Ban Ke Inhe Do Ghadi Chum To LunMaut Ki Parvah Hai Kise Zindagi Ko Ji Bher Ke Dekh Toh LunReshami Zulfo Se Ghana Andhera Chahe Kar DoLekin Us Chand Ko Bhi Ghata Se Nikalane Ka Mauka To DoKondhe Chahe Jitani Bijaliyan Nazar Toh MilaleMaut Ka Darr Kya Ho Usey Do Ghadi Jo Tujhe Dekh LeHusn Nahi Chhupata Chahe Jitane Parde Laga LeIshq Hun Main Pa Lunga Tujhe Chahe Jitane Pahere Laga Le

Hai Zindagi Bhi ‘Ajab Aan-Baan Orhe HueKhamosh Jism Men Muztarr Si Jaan Orhe HueHar Ek Chehraa Jahaan Kaa Niqaab-Posh Hai, Dost!Har Ik Badan Hai Koi Jhooti Shaan Orhe HueHai Uske Shahr Kaa Muflis Bhi Kitnaa Daulat-Mand!Zameen Pe Sotaa Hai Woh, *Aasmaan* Orhe Hue!Agar Che Dil Ko To Us Par Yaqeen Bhi Aa JaataaMagar Yeh ‘Aql Thi Sau Sau Gumaan Orhe HueNa Poochh Kaise Kati Us Ke Hijr Men ApniThaa Lamha-Lamha Hazaar Imtihaan Orhe HueMiraa Libaas Meri Zaat Ki Nishaani HaiMiloonga Tumko Main *Hindositaan* Orhe HueHai Us Ka Tarz-E-Takallum Bhi Bas! Khudaa Rakhhe!Har Ek Baat Hai Ik Daastaan Orhe HueJagaao Mat Ise, Soyaa Hai Bas Abhi Khursheed,Ik ‘Umr Bhar Ke Safar Ki Thakaan Orhe Hue