HYE FRIENDS I HAVE COME BACK AGAIN,,,Tere husn ki taarif karte-2 kahin meri umr na baat jaye,sambhaalo mujhko kahin mera damm na toot jaye,,,,,,,koi kehta hai aashiq to koi deewana kehta hai,koi awaara to koi hame ek fasana kehta hai,tu hi bata kya hoon main?isse pehle ki meri khushi mujhse rooth jaye,sambhalo mujhko kahin mera damm na toot jaye..har leher samundra se puchhti hai thikana mera ,kahi aise me yaad na aajaye mujhe guzra zamana mera,jis zamane me  the ham khushi se gungunaye,sambhalo mujhko kahin mera damm na toot jaye..ye aur baat hai mujhe tumhare  siwa kuchh dikhta nahi,ye gaur talab hai ki mujhko tumhare siwa kuch soojta hi nahi,aaj tod do intiha isse pehle ki aaj hadd hi ho jaaye ,sambhalo mujhko kahin mera damm na toot jaye.

Teri Yaad Se Rishta Kal Bhi ThaTeri Yaad Se Rishta Aaj Bhi HaiDil Apna Dukhta Kal Bhi ThaDil Ye Udaas Aaj Bhi Hai,Jo Pyar Hum Tum Karte TheyWoh Pyar To Zinda Aaj Bhi Hai,Hum Bichad Gaye Is Doori MeinTum Door Ho Majboori Mein,Kabhi Waqt Mile To Chali AnaKhula Dil Ka Darwaza Aaj Bhi Hai,Na Sataao, Na TadpaaoNa Mehfil Mein Yu Tanha ChodoTeri Yaad Me Jaage Kal Bhi TheyTeri Yaad Me Jaage Aaj Bhi HainTeri Yaad Se Rishta Aaj Bhi HaiDil Apna Dukhta Kal Bhi ThaDil Ye Udaas Aaj Bhi Hai,Jo Pyar Hum Tum Karte TheyWoh Pyar To Zinda Aaj Bhi Hai,Hum Bichad Gaye Is Doori MeinTum Door Ho Majboori Mein,Kabhi Waqt Mile To Chali AnaKhula Dil Ka Darwaza Aaj Bhi Hai,Na Sataao, Na TadpaaoNa Mehfil Mein Yu Tanha ChodoTeri Yaad Me Jaage Kal Bhi TheyTeri Yaad Me Jaage Aaj Bhi Hain

Wo thaka hua meri bahon mein zara so gaya tha to kya huaabhi main ne dekha hai chand bhi kisi shakh-e-gul pe jhuka huajise le gai hai abhi hawa wo varaq tha dil ke kitab kakaheen aansuon se mita hua kaheen aansuon se likha huakai mil ret ko kat kar koi mauj phul khila gaikoi ped pyas se mar raha hai nadi ke pas khada huamujhe hadason se saja saja ke bahut hasin bana diyamera dil bhi jaise dulhan ka hath ho mehandiyon se racha huawohi khat ke jis pe jagah jagah do mahakate honton ke chand thekisi bhule-bisare se taq par tah-e-gard hoga daba huavahii shahar hai wohi raste wohi ghar hai aur wohi lan bhimagar us dariche se puchana wo darakht anar ka kya huamere sath jugnu hai hamsafar magar is sharar ke bisat kyaye charag koi charag hai na jala hua na bujha hua

Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker DiyaKarbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker DiyaDay Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker DiyaHasher Tak Koi Yazeede Sar Utha Sakta NaheenJis Ka Mutlab Zindagee Bher Deen Chuka Saktna NaheenFatima Key Lal Ney Aehsaan Aesa Ker DiyaDay Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker DiyaDay Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker DiyaKarbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker DiyaDay Ker Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker DiyaTeri Qurbanee Sey Pehley Deen Ko Aya Na ChainUmbeya Sey Bhee Mukamal Jo Na Ho Paya HussainEk Sajdey Ney Tarey Woh Kaam Pora Ker DiyaDay Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker DiyaDay Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker DiyaKarbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker DiyaDay Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya

Toot Kar Chaaha Tha Jise Wohi Dhoka De Jayega…Bina Kashti Ke Musafir Bata Kaise Sahil Tak Aayega…Sookhe Patton Ki Tarah Yun Bikhar Jayegi Zindagi Apni…Socha Na Tha Yeh Waqt Hamain Is Mod Par Bhi Layega…Maine Chand Ki Tamana Mein, Ginwa Diye Taare Bhi…Is Oonchi Udan Mein Kahan Maloom Tha Ke Kafila Hi Choot Jayega…Apni Hi Lagai Aag Mein Apna Hi Wajood Jal Jayega…Kis Ko Khabar Thi Aisa Waqt Bhi Hum Par Ayega…Jab Raigistan Ki Rait Hi Apna Mukadar Thi To…Kyon Socha Humne Ki Hamain Woh Mil Jayega…Apne Hi Banaye Jaal Mein Shikari Khud Hi Qaid Ho Jayega…Koi Kya Yon Bhi Bhala Apna Mukadar Likhwayega…Zindagi Tapti Dhoop Ke Tale Yun Hi Chali Ja Rahi Hai…Kya Ab Koi Laash Uthane Bhi Nahi Ayega…

Kuch Aur Rauz Meri Jaan Faqat Kuch Hi RauzZulm Ki Chaaon Main Dum Lene Pe Majboor Hain HumAur Kuch Dair Sitam Seh Lain Tarap Lain Ro LainApne Milan Ki Raatein Hain Aur Majboor Hain HumJism Par Qaid Hai Jazbaat Pe Zanjeerein HainFikr_E_Mehboob Hai Aur Dil Main Aarzooyein HainApni Himmat Hai Ke Hum Phir Bhi Jiye Jaate HainLekin Ab Zulm Ki Miyaad Ke Din Thore HainIk Zara Sabar Ke Faryaad Ke Din Thore HainArsa_E_Daraz Ki Lipti Huyi Veerani MainHum Ko Rehna Hai Par Yun Hi To Nahin RehnaIs Zaalim Zamaane Ka Beshumaar SitamKuch Din Sehna Hai Hamesha To Nahin Sehna HaiYe Tere Husn Se Lipti Huyi Mere Ishq Ki DaastaanApni Do Roza Jawani Ki Shikaston Ka ShumaarChandni Raaton Ka Bekaar Behakta Huya DardDil Ki Be Intiha Tarap Jism Ki Mayoos PukaarKuch Rauz Meri Jaan Faqat Kuch Hi Rauz

Ali(As)Ki Zikar Ho….Qirtas Ne Muj Se Kaha Ali Ka Zikar Ho…Main Ne Kaha Baja Hai Ali Ka Zikar Ho…Jis Tak Ressai Jin O Bashar Na Kar Sakain.Itna Tu Arfa O Aala Ali Ka Zikar Ho…Kehte They Rasool Yeh Ummat Se Bar Bar..Mere Is Mimbar Se Sada Ali Ka Zikar Ho..Manga Karte They Rasool Bas Yehi Duwa..Mere Zikar Ke Sath Sada Ali Ka Zikar Ho.Aai Mere Habib Bata De Apni Ummat Ko..Main Bi Hoon Yeh Chahta Ali Ka Zikar Ho.Jab Mohib O Mehboob Main Hone Lagi Sargoshiyan.Koi Be Awaz Kehta Tha Ali Ka Zikar Ho…Abad Hone Lagi Us Lamhe Meri Tanhaiyan..Jab Bi Yeh Khayal Aaya Ali Ka Zikar Ho..Mana Meri Awaz Main Wo Taseer Nahi Hai..Phir Bi Yehi Hai Chaha Ali Ka Zikar Ho..Babar Mangon Main Khuda Se Ik Yehi Dua..Meri Qabar Ki Zindagi Main Sada Ali Ka Zikar Ho.,!!!!!!!!

Kaha Tha Na!Mujhay Tum Iss Tarah Sootay Huay Matt Chor Ker JanaMujhay Bayshak Jaga DainaBata DainaMuhabbat Ke Safar Main Saath Mairay Chal Nahin SaktayJudai Main, Hijar Main Saath Mairay Jal Nahin SaktayTumhain Rasta Badalna HaiMairi Hadd Se Nikalna HaiTumhain Kis Baat Ka Derr ThaTumhain Jaanay Nahin Daiti?Kahin Per Qaid Ker Laiti?Array Pagal!Muhabbat Kee Tabiyat Main Zaberdasti Nahin Hoti!Jissay Rasta Badalna HoUssay Rasta Badalnay SeJissay Hadd Se Nikalna HoUssay Hadd Se Nikalnay SeNa Koi Rok Paya HaiNa Koi Rok Pai GaTumhain Kiss Baat Ka Darr ThaMujahy Baishak Jaga DaitayTumhain Main Daikh Hee LaitiTumhain Koi Dua DaitiKam-Az-Kamm Yun Tu Na HotaMairay Saathi! Haqeeqat HaiTumharay Baad Khonnay Ke Liya Kuch Bhee Nahin BaaqiMager Khonnay Se Derti HoonMAIN AB SONAY SE DERTI HOON

Dilon Mai Sama Nahi SaktiLabon Pe Rukti, Dilon Mai Sama Nahi SaktiWo Ek Baat Jo Lafzon Mai Aa Nahi SaktiJo Dil Mai Ho Nazar-e-Gham To Ashq Paani HaiKe Aag Khaak Ko Kundan Bana Nahi SaktiYaqeen, Gumaan Se Bahar To Ho Nahi SaktaNazar Khayaal Se Aagey To Jaa Nahi SaktiDilon Ki Ramz Faqat Ehl-e-Dil Jaantey HeinTeri Samajh Mai Meri Baat Aaa Nahi SaktiYeh Souz-e-Ishq To Goongey Ka Khuaab Hai JeseyMeri Zubaan Meri Haalat Bataa Nahi SaktiSimat Rahi Hai Mere Baazuoun Ke Halqay MaiHaya Ke Boojh Se Palkein Utha Nahi SaktiJo Keh Raha Hai Sulagta Hua Badan Us KaBata Bhi Paati Nahi, Aur Chupa Nahi SaktiEk Aise Hijar Ki Aatish Hai Mere Dil Mai JeseyKisi Visal Ki Baarish Bujhaa Nahi SaktiTo Jo Bhi Hona Hai, Amjad Yahin Pe Hona HaiZameen Madaar Se Bahar To Jaa Nahi SaktiPoet: Amjad Islaam Amjad

Meri jaa.n sochti hon mainAgar tum mil na paay tuTumhaari yaad ko dill seyBhala kaise bhulaao.n gi!Jo mousam sang terey beeteyunhain kaise bhulaao.n gi!!Andheri raat main jugnubhala kaise jalaoo.n gi!!!meri jaa.n sochti hon mainTumhain kaise bhulaao.n gi!Likha jo naam hay dill perUsey kaise mitaaoo.n gi!Jo aadhi um’r jeeni hayWo main kaise bitaao.n gi!!Meri jaa.n sochti hoon mainTumhain kaise bhulaaoo.n gi!Teri yaadai.n jo aae.n giMujhe pal pal rulai.n giMerey Anchal ko kainchai.n giMujhe kutch gud-gudai.n giMeri jaa.n sochti hoon mainTumhain kaise bhulaao.n gi!!Jo baatai.n tum sey karti honbhala kis ko bataao.n gi!Naya jab sher likhoo.n giTu main kis ko sunaao.n gi!!meri jaa.n sochti hoon mainTumhain kaise bhulaaoo.n gi!Meri jaa.n Jaan lo tum bhiTumhain na bhool paoo.n gi

Aansoo Main Na Dhondna HumheinHum Dil Main Bass JayegeTaman Na Ho Agar Milne KiTo Bhand Aankhon Main Nazar AyeegeLamla Lamla Waqt Guzar JayegaChand Lamho Main Daman Choot JayegaAaj Waqt Mila Hai Do Baate Karlo HumseKal Kya Pata Koun Appki Zindagi Main AjayegaPass Akar Sabhi Door Jate HaiHum Akele The Akele Reh JayegeDil Ka Dard Kisse DekhaiMarhum Lagane Wala Zakham De Jata HaiWaqt To Humhein Bhula Chuka HaiMuqaddar Bhula Na DeDosti Dil Se Hum Is Liye Nahin KarteKyun Ke Darte Hai Koi Phir Se Na Rula DeZindagi Main Humesha Naye Log MilegeKahiin Zeyaada To Kahiin Kaam MilegeEitebar Zara Soch Ke KarnaMumkin Nahin Har Jaga Tumhein Hum MilegeKhusboo Ki Tarah Apke Pass Bikar JayegeSukoon Ban Kar Dil Main Utar JayegeMehsos Karne Ki Khoshish To KijiyeDoor Hote Hue Bhi Hum Pass Nazar Ayege

Lamha Lamha Doori Yun Pighalti HaiJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HaiHo Lamha Lamha Doori Yun Pighalti HaiJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HaiKhwaahishon Ki Shaam Dhalti HainJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HaiLa La La …Teri Aankhen Dikhati HaiHamein Sapanen Sitaaron KeHo Ho HoTere Hothon Pe Likha HaiJo Tum Bole Ishaaron MeinHo Ho HoKhwaabon Ke Karwaan Mein Raat Chalti HaiJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HainLa La La…Behakti Shaam Aayi HaiTujhe Lekar Ke Baahon MeinTujhe Chhu Loon Ke Rakhu MainChhupakar Ke Nigaahon MeinSharmati Ithlaati Hai Machalti HaiJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HainHo Lamha Lamha Doori Yun Pighalti HaiJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HaiKhwaahishon Ki Shaam Dhalti HainJaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti HaiLa La La …

Dhal Gaya Suraj Shamma Jali, Nanha Mera Asghar Kaha Gaya ReBanu Pukaree Khook Jali, Nanha Mera Asghar Kaha Gay ReRaat Andheri Sunsan Ban, Dhundhu Kaha Tuje Ay Gul BadanRo Ro Pukarai Maa Dil Jali, Nanha Mera Asghar Kaha Gaya ReWakhte Madad Hay Mushkil Kusha, Mushkil Karo Hal Behre KhudaTumhe Batawo Mola Ali, Nanha Mera Asghar Kaha Gaya ReJangal Mai Kis Jaa Tu So Gaya, Jhoola Hay Khali Aae MehlakhaKis Ko Jholae Amma Teri, Nanha Mera Asghar Kaha Gaya ReYe To Bata De Aae Hurmala, Cheda Hay Kuyn Tune Nanha GalaKhoon Mai Dubi Hay Nanhi Kali, Nanha Mera Asghar Kaha Gaya ReTeri Zameen Per Ay Karbala, Gum Ho Gaya Hay Bacha MeraDundh Rahe Hoon Gali Gali, Nanha Mera Asgar Kaha Gaya ReDukhyari Madar Jaaie Kahaan, Viran Lagta Hay Sara JahanKarti Hoie Aho Zari Chali, Nanha Mera Asgar Kaha Gaya Re

Teri ankhon si ankhainAaj ek chehray pe dekhi hainWohi rangat, banawatAur wesi be-rukhi un mainBichartay waqt jo meneTeri ankhon main dekhi thiTeri ankhon si ankhon neMujay ek pal ko dekha thaWo pal ek aam sa pal thaPuranay kitnay mousam,kitnay manzar mene dekhay thayMeri jaan main ye samjha thaTeri ankhon si ankhain jabMeri ankhon ko dekhain giTo aik lamhay ko sochain giKe in ankhon ko pehlay bhiKisi chehray pe dekha haiMagar in jheel ankhon mainShanasaayi nhi jagiMeri ankhain !!Teri ankhon si ankhon k liyeKab Khaas ankhain thinTeri ankhon ne shayed yeKeyi chehron pe dekhi honKe ye to aam aankhain hainMain aisa soch sakta thaMagar main kia karon dil kaJo ab yeh yaad rakhay gaTeri ankhon si ankhainMain ne ek chehray pe dekhi thin !!Phir us kabaad kitnay dinMeri ankhon main sawan tha..

Kisi na kisi pe kisi ko aetbaar ho jata hai,Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,Khubiyon se nahin hoti mohabbat sadaa,Khamiyon se bhi aksar pyar ho jata hai.Kin lafzon mein itni kadvi kasili baat likhoon,Main sach likoon ke apne haalat likhoon,Kaise likhoon main chandni raatein,Jab garam ho ret to kaise main barsat likhoon.Sabhi nagme saaz mein gaaye nahi jaate,Sabhi lowg mehfil mein bulaaye nahi jaate,Kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate,Kuch door reh kar bhi bhoolaye nahi jaate!Who ik dost jo pyara sa lagta hain,Bahut pass hai dil k phir bhi juda sa lagta hain,Bahut dino se aaya nahi koi paigam uska,Shayad kisi baat pe khafa sa lagta hainZindagi to ek khwab hai,Woh zindagi kiya jismay khwab nahi hotay,Hath ke lakiron ko kismat na samajhna,Kismat unke bhi hote hai, zinkay hath nahi hotay.