Ke wafa hum se to gair use jafa kahate hainhoti aayi hai ke achon ko bura kahate hainaj hum apni pareshani-e-khatir un sekahane jate to hain, par dekhiye kya kahate hainagale vaqton ke hain ye log, inhen kuch na kahojo may-o-nagmen ko andoharuba kahate haindil mein aa jae hai, hoti hai jo fursat gash seaur phir kon se nale ko rasa kahate hain?hai par-e-sarahad-e-idarak se apna masjudqible ko, ahal-e-nazar, qiblanuma kahate hainpa-e-afagar pe jab se tujhe raham aaya haikhar-e-rah ko tere hum mehr-e-giya kahate hainik sharar dil mein hai, us se koi ghabarayega kyaaag matalub hai hamako, jo hawa kahate haindekhiye lati hai us shokh ke nakhvat kya rangus ke har baat pe hum nam-e-khuda kahate hainvahashat-o-shefta ab marsiya kahaven shayadmar gaya “ghalib”-e-ashuftanava kahate hain

Mere pyare dostoan,abhi kuch mahine pehle he maine yeh group join kiya hai, bahut accha lagta haiaap sab ke sher padh kar..Aaj mein tumhe apne college ke dinoan ka ek waqaya batata hoan, mein aur meredostoan nai mil kar ek mushayare ka programme banaya. Jab hum logoan nai hummein se ek dost ke ghar per apna programme shuru kiya toa, oos ke pitaji naihume apne ghar se ootha kar bahar phenk diya, tab hum door ek jungle mein sochrahe they ki ab kya karein, tab suno ek nai mujh se kya kaha” quadar nahi shayaroan ki mere ghar mein,chalo karein mushayara tere ghar mein”Yeh soun kar maine bhi eis ka jawaab shayarana andaaz mein kuch eis tarhadiya” Pitayi hoa gayi humari tere baap se,ab kya kasar reh gayi pitne ki mere baap se” (aaiye, ama yeh bhi koi baathuyi)bye!Sunil Kuma

Pyaar Ke Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote HaiApni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.Hijar K Gehri Zakham Mile To Mujh Ko Kuch Ehsaas HuaPagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote HaiJaan Se Pyare Logon Se Bhi Kuch Kuch Perda Lazim HaiSari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.Khwabon Mein Bi Anmol Milan K Sapne Dekhte Rehte HaiNeendon Mein Muskane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.Iss Johti Nagri Mein Hum Ne Yehi Hamesha Dekha HaiSachi Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.Pyar Jinhein Ho Jaye Un Ko Chain Bhala Keb Mill Pata HaiShab Ber Ashk Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.Apni Zaat Ke Ujrey Gulshan Se Wo Pyaar Kahan Kerte HaiAuroon Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.Us Ke Ishq Mein Bheeg Ke Ham Ko Yeh Ehsaas HuaDil Ki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai

Subah Bas Aane Ko HaiBass Chand Kadam Tu Aur Chal AbTeri Aahaton Se DarrkarDekh Raat Jaane Ko HaiToh Nazar Utha Aur Dekh Gagan KoKyonki Subah Bass Aane Ko HaiKar Buland Apni Aawaaz TuCheer Kaleja Andhere KaHimmat Ko Bandh Aankhon Se ApniOr Kar Deedaar Sawere KaJeetega Har Bazee Ab TuHar Daawn Jo Ab Lagane Ko HaiToh Nazar Utha Aur Dekh Gagan KoKyonki Subah Bass Aane Ko HaiWaqt Ki Gehraayion Ko Dekar MaatPalti Hai Tune Apni Kismat Ki BisaatKaayar Nahi Tu,Kamzor Nahi TuBataana Tujhe Yeh Zamaane Ko HaiToh Nazar Utha Or Dekh Gagan KoKyonki Subah Bass Aane Ko HaiHunkaar Bhar Apni Saason MeFir Utha Samandar Me Tu Aaj ZalzaleRaakh Na Hone De Lahu Ko ApneJab Talak Seene Me Toofaan JaleGaad Pataaka Vijay Ki Un Lamho PeJo Aaye Tujhe Aazmane Ko HainToh Nazar Utha Or Dekh Gagan KoKyonki Subah Bass Aane Ko Ha

Har Waqt Ranj-O-Malaal Kya, Jo Gujar Gaya So Gujar GayaUse Yaad Karke Na Dil Dukha, Jo Gujar Gaya So Gujar GayaNa Gila Kiya, Na Khafa Huye, Yoon Hi Raaste Mein Khuda HuyeNa Tu Bewafa Na Main Bewafa, Jo Gujar Gaya So Gujar GayaVoh Ghazal Ki Ek Keetab Tha, Voh Gullon Mein Ek Gulab ThaZara Der Ka Koi Khwab Tha, Jo Gujar Gaya So Gujar GayaMujhe Patjhadon Ki Kahaniyan Na Suna-Suna Ke Udas KarTu Khizaan Ka Phool Hai Muskura, Jo Gujar Gaya So Gujar GayaYe Safar Bhi Kitna Taveel (Lamba) Hai Yahan Waqat Kitna Kaleel HaiKahan Laut Kar Koi Aayega Jo Gujar Gaya So Gujar GayaVoh Wafayein Thi Ke Jafayein Thi, N Ye Soch Kiski Khatayein ThiVoh Tera Hai Usko Gale Laga Jo Gujar Gaya So Gujar GayaTujhe Aitbar-O-Yakeen Nahi, Nahi Duniya Itni Buri NahiN Malaal Kar Mere Saath Aa Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya- Bashir Bad

Tumhain Jab Kabhi Milain Fursatein,Meray Dil Say Bojh Uttar DoMein Bohat Dinoon Say Uddas Hoon, Mujhe Koi Sham Udhar DoMujhay Apnay Roop Ki Dhoop Do K Chamak Sakin Meray Khal-O-KhadMujhe Apnay Rang Main Rang Do,Meray Sarey Zang Uttar DoKisi Aur Ko Maray Haal Say Gharz Hai Na Koi WastaMein Bikhar Gaya Hoon Samaite Lo,Mein Bigade Gaya Hoon Sanwar DoMaree Wehshatoon Ko Badha Deya Hai Judayoon K Azab NayMray Dil Pay Hath Rakhoo Zara Meree Dhadkano Ko Qarar DoTumhain Suba Kasee Lagee Kaho, Meree Khawahishoon K Dayar KiJo Bhalee Lagee To Yahin Rahoo,Issay Chahtoon Say Nikhar DoWahan Ghar Main Kon Hai Muntazer K Ho Fiqar Dair Sawair KiBade Mukhtaser Si Yeh Raat Hai,Issi Chandani Main Guzar DoKoi Baat Kerni Hai Chand Say, Kisi Shakhsar Ki Otte SayMujhay Rastay Main Yahin Kahin, Kisi Kanj Gul Main Uttar Do

Diya hai dil agar us ko, bashar hai kya kahiyehua raqib to ho, namabar hai, kya kahiyeye zid, ki aj na aave aur aaye bin na raheqaza se shikwa hamen kis qadar hai, kya kahiyerahe hai yun gah-o-begah ke ku-e-dost ko abagar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiyezih-e-karishma ke yun de rakha hai hamako farebki bin kahe hi unhen sab khabar hai, kya kahiyesamajh ke karte hain bazar mein wo pursish-e-halki ye kahe ki sar-e-rahaguzar hai, kya kahiyetumhen nahi hai sar-e-rishta-e-vafa ka khayalhamare hath mein kuch hai, magar hai kya kahiyeunhen saval pe zaom-e-junun hai, q ladiyehamen javab se qata-e-nazar hai, kya kahiyehasad saza-e-kamal-e-sukhan hai, kya kijesitam, baha-e-mataa-e-hunar hai, kya kahiyekaha hai kis ne ki “ghalib” bura nahi lekinsivay isake ki aashuftasar hai kya kahiye

Mere Madhosh Khwaab Woh Taron Bhari RatenUss Chaand Ka Muskurana Mujhe Woh Yaad Hai Zara ZaraNeendon Se Jagii Ankhen Siine Parr Behatii Woh SansenLabon Parr Bhikharii Shabnam Mujhe Woh Yaad Hai Zara ZaraSawalon Ki Barsat Jawabon Mai RuthnnaPyar Kii Kasam Par Lautna Mujhe Woh Yaad Hai Zara ZaraWoh Hijjrr Ki Lambii Raten Kitabon Mai Shukhe FulAnsun Bann Yadon Ka Barsna Mujhe Woh Yaad Hai Zara ZaraMeri Harr Bat Ki Fikrr Intazar Ki PareshaniMere Ladkhadane Se Tera Tutna Mujhe Woh Yaad Hai Zara ZaraJate Rahe Woh Meharba Jab Se Rehata Hu Unn Yadon MaiAb Dard Ki Shqll Liye Hai Woh Mujhe Woh Yaad Hai Zara ZaraChubtii Hai Sansen Shor Machata Hai DilHar Waqt Nabz Ginnta Mai Mujhe Woh Yaad Hai Zara ZaraPahucha Me Uss Zamii Koo Mitti Thii Woh Sanju SiiAnsun Kii Bundh Thii Terii Sii Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara

Kis Tarha Se Manzil-e-Irfan-e-Haydar SochnaGhayr Mumkin Hai Had-e-Imkaa Se Baahar SochnaKalma-e-Tawheed Ki Haqq-e-Wilayat Ki QasamShirk Hai Ghayron Ko Maula Ke Baraabar SochnaKhutba-e-Zehra Samajhne Ke Liye Puuri TarhaLaazmi Hai Ban Ke Haydar Ya Payambar SochnaZauf-e-Jism-e-Mustafa Ka Aur Bhi Tha Kuch IlaajChaadar-e-Masooma-e-Aalam Se Hatkar SochnaJiske Tukrhon Par Paley As’haab-e-Khatmul MursaleenKisne Ki Unki Kifaalat Zindagi Bhar SochnaKehte Hain Rif’at Kisey Aur Auj-e-Insaani Hai KyaFatema Zehra Ke Dar Par Sar Jhukaa Kar SochnaDushmani Bint-e-Nabi Se Aur Nabi Se DostiKya Yehi Islam Hai Ay Banda Parwar SochnaHashr Mein Kholega Jab Apni Adaalat KirdigaarMujrim-e-Baagh-e-Fidak Honge Kahaan Par SochnaKalma-e-Haq Ki Hifaazat Jaan Dekar Kis Ne KiGar Miley Fursat Kabhi To Kalma Parhkar Sochna

Poore ho aapke sare Aim,Sada badhti rahe aap ki Fame,Milte rahe sabse Pyar aur Dosti,Aur mila a lot of Fun & Masti.Wish you a..Happy New Year with a Plenty of Peace & Prosperity.Apun wishing you a wonderful,Super-duper,Zabardast,Xtra-badhiya,Xtra special,Ekdum mast and dhinchak,Bole to ekdum jhakaas.Beet gaya jo saal,Bhul jaayein,Beet gaya jo saal,Bhul jaayein,Es Naye Saal ko Gale lagayein,Karte hai dua hum Rab se sar jhukake…Es Saal k Sare Sapne pure ho Aapke.*NAYA SAAL MUBARAK*Sabke Dilo mai ho sabke liye Pyar,Aanewala har din laye Khusiyo ka Tyohar,Is ummid ka sath aao bhulke sare GumNew Year 2010 ko Hum Sab kare WEL-COME!Day by day teri khusiya ho jaye Double,Teri zindagi se delete ho jaye sare Trouble,Khuda rakkhe humesha tuje Smart & Fit,Tera liye New Year ho Super-Duper Hit!!

Chaman Mein Subah Yeh Kahti Thi Ho Kar Chashm-E-Tar Shabnam,Bahaar-E-Baagh To Yun Hi Rahi, Lekin Kidhar Shabanam.Arq Ki Bund Us Ki Zulf Se Rukhsaar Par Tapki,Taajjub Ki Hai Jaage Yeh Pari Khurshid Par Shabnam.Hamen To Baagh Tujh Bin Khaana-E-Maatam Nazar Aya,Idhar Gul Phaarte The Jeb, Roti Thi Udhar Shabnam.Kare Hai Kuchh Na Kuchh Taasir Suhbat Saaf Tabon Ki,Hui Aatish Se Gul Ke Baithte Rashk-E-Sharar Shabnam.Bhala Tuk Subah Hone Do Ise Bhi Dekh Levenge,Kisi Ashiq Ke Rone Se Nahin Rakhti Khabar Shabnam.Nahin Asbaab Kuchh Laazim Subak Saaron Ke Uthne Ko,Gayi Ur Dekhte Apne Baghair Az Baal-O-Par Shabnam.Na Paaya Jo Gaya Is Baagh Se Hargiz Suraagh Uska,Na Palti Phir Saba Idhar, Na Phir Aai Nazar Shabnam.Na Samjha Dard Ham Ne Bhed Yaan Ki Shadi-O-Gham Ka,Sahr Khandaan Hai Kyon, Roti Hai Kis Ko Yaak Kar Shabnam

Abhi Abhi To Pyaar Ka Computer Kiya Hai ChaalooAab Main Dil Ki Hard Disk Pe Aur Kitni Files DaalooApne Chehare Se Ruswaai Ka Error To HataoAi Jaaneman Apne Dil Ka Password To BataoWoh To Hum Hain Jo Aap Ki Chahat Dil Main Rakhte HainWarna Aap Jaise Kitney Hi Softwares Bazaar Main Bikte HainRoz Raat Ko Aap Mere Sapne Main Aate HoMere Pyar Ko Mouse Bana Ke Ungaliyon Pe Nachaate HoTere Pyar Ka Email Mere Dil Ko Lubhataa HaiPar Beech Main Tere Baap Ka Virus Aataa HaiAur Karvaaoge Humse Kitnaa IntezaarHamaare Dil Ki Site Pe Kabhi Enter To Maro YaarApni Insult Ka Badalaa Dekhna Main Kaise LoongaJaaneman Tere Baap Ko Shift Delete Kar DoongaAap Jaiso Ke Liye Dil Ko Cut Ker Diya Karte HaiWarna Baaki Cases Main To Copy Paste Kiya Karte HaiAapka Hasnaa Aap Ka Chalnaa Aap Ki Woh StyleAapke Adaaon Ki Hamne Save Hai Kar Li File

Chand roz aur meri jan faqat chand hi rozzulm ke chanv mein dam lene par majabur hain humik zara aur sitam sah lain tadap lain ro lainapne ajdad ke miras hai mazur hain humjism par qaid hai jazbat pe zanjire haifikr mahabus hai guftar pe taziren hainaur apani himmat hai ki hum phir bhi jiye jate hainzindagi kya kisi muflis ke qaba haijis mein har ghadi dard ke paiband lage jate hainlekin ab zulm ke miyad ke din thode hainik zara sabr ki fariyad ke thode hainarsa-e-dahar ke jhulasi hui virani meinhum ko rahana hai par yun hi to nahi rahana haiajanabi hathon ka benam garan-bar sitamaj sahana hai hamesha to nahi sahana haiye teri husn se lipati hui aalam ke gardapani do roza javani ke shikaston ka shumarchandani raton ka bekar dahakata hua darddil ke besud tadap jism ke mayus pukarchand roz aur meri jan faqat chand hi roz

Garibi Shayari–Gali Mein Khada Tha Fatichar Sa LadkaHalat Se Tha Shayad Bilkul Hi KadkaChehra Bhi Uska Murjhaya Hua ThaPar Is Baat Ka Andaaza Use Na Hua ThaBahut Der Se Wo Tak-Taki Laga Kar Upar Ki Taraf Dekh Raha ThaJaha Ek Rahees Bade Chaav Se Cake Kha Raha ThaTabhi Bhauka Kutta, Ladke Ne Bhi Mud Ke DekhaIsi Beech Us Rahees Ne Cake Ka Tukda FekaLapka Wo Kutta, Or Lapka Wo LadkaNa Fati Uski Chhaati, Na Kaleja Bhi DhadkaBahut Hui Us Tukde Ke Liye Dono Me Cheena-JhaptiAnt Me Ladke Ne Jeet Hi Li Bhook Ki Ye KushtiWo Rahees Un Dono Ko Dekh Raha ThaMuft Ke Tamaashe Ka Khoob Maza Loot Raha ThaShareer Tha Lahu-Luhaan, Par Chehre Par Khushi ThiKyuki Aaj 2 Din Baad Roti Jo Naseeb Hui ThiJeet Ki Khushi Mein Us Ladke Ka Chehra Upar Ki Or Uth Gaya‘Uf Ye Kamine Chokre’, Kah Kar Wapas Wo Rahees Kursi Par Baith Gaya.

Taskin-e-dil-e-mahazu na hui wo sai-e-qaram farama bhi gayeus sai-e-qaram ka kya kahiye bahala bhi gaye tadapa bhi gayeek arz-e-vafa bhi kar na sake kuch kah na sake kuch sun na sakeyahan hum ne zaban hi khole thi vahan aankh jhuki sharama bhi gayeaashuftagi-e-vahashat ke qasam hairat ke qasam hasrat ke qasamab aap kahe kuch ya na kahe hum raz-e-tabassum pa bhi gayerudad-e-gam-e-ulfat un se hum kya kahate kyonkar kahateek harf na nikala hothon se aur aankh mein aansu aa bhi gayearbab-e-junun pe furkat mein ab kya kahiye kya kya guzraaaye the savad-e-ulfat mein kuch kho bhi gaye kuch pa bhi gayeye rang-e-bahar-e-alam hai kya fiqr hai tujh ko ae saqimahafil to teri suni na hui kuch uth bhi gaye kuch aa bhi gayeis mahafil-e-kaif-o-masti mein is anjuman-e-irafani meinsab jam-ba-kaf baithe rahe hum pi bhi gaye chhalaka bhi gaye