“Raqeeb Se’aa ki vaabasta hai us husn ki yaadeN tujhsejisne is dil ko pariiKhaana banaa rakhaa thaajiski ulfat meN bhula rakhii thii duniaa hamnedahar ko dahar ka afsaana banaa rakhaa thaaaashnaa haiN tere qadmoN se voh raheN jin paruskii mad’hosh javaani ne inaayat kii haikarvaaN guzre haiN jinse isii ra’anaaii kejiskii in aankhoN ne be-suud ibaadat kii haitujh se khelii haiN voh mahbuub havaayeN jin meNuske malbuus kii afsurda mahak baaqii haitujh pe bhii barsaa hai us baam se mehtaab ka nuurjis meN biitii hu’ii raatoN ki kasak baaqii haituune dekhii hai voh peshaani, voh rukhsaar, voh hontzindgi jinke tasavvur meN luTaa di hamnetujh pe uThi haiN voh kho’ii kho’ii saahir aankheNtujh ko ma’aluum hai kyoN umr ganvaa dii hamneham pe mushtarak haiN ehsaan Gham-e-ulfat keitne ehsaan ki ginvaauuN to ginvaa na sakuuNhamne is ishq meN kya khoyaa hai kyaa siikhaa haijuz tere aur ko samjhaauN to samjhaa na sakuN

Apnay Bister Per Bohat Der Se Main Neem DarazSochti Hon K Is Waqt Who Kahan Ho GaMai Yahan Hon Magar Is Koocha-E-Rango-Bo MainRoz Ki Tarah Who Aaj Bhi Aya Ho GaAur Jub Us Nai Wahan Mujh Ko Na Paya Ho GaAap Ko Maloom Hai Who Aaj Nahi Ayi HainMeri Her Dost Se Us Nai Yehi Poocha Ho GaChalte Chalet Koi Manoos Si Ahat Pa KerDosto Ko Bhi Kisi Uzr Se Roka Ho GaRahdari Mai Haray Lawn Main Phoolon K QareebUs Nai Her Simt Mujhay Aan Kar Dhoonda Ho GaJub Mili Ho Gi Use Meri Halat Ki KhabarUs Ne Ahista Se Deewar Ko Thama Ho GaYad Kar K Mujhay Nam Ho Gain Hon Gi PalkainAnkh Main Par Gaya Kuch! Keh Kar Tala Ho GaOr Ghabra Kar Kitabon Main Jo Li Ho Gi PanahHer Sitr Main Mera Chehra Ubher Aya Ho GaIttefaqan Mujhay Us Sham Meri Dost MiliMai Nai Poocha Suno Aye Thay Who Kaisay Thay?Mujhay Poocha Tha?Mujhay Dekha Tha, Choro Janab!Us Nai Aik Lamhe Ko Dekha Mujhay Or Hans DiIs Hansi Main Tu Who Talkhi Thi K Is Se AgayKia Kaha Us Nai Mujhay Yad Nahi BusBus Itna Maloom Hai KKHOABOON KA BHARAM TOOT GAYA!!

Kabhi zid main hi tera ho gaya kabhi dil ne tujhko gawa diya,Isi kashmakash me jiye sanam tune yaad rakha ya bhula diya.`Baarish Ki In Bondon Me Na Jane Kis K Aansoo Hain Wasi,Saddiyon Pehly Shayad Koi Saddiyon Beth K Roya Tha..`Udasiyon Aur Ghumo Se Wabasta Hai Ye Zindagi MeriKhuda Gawah Hai ke Phir Bhi Tujhe Main Yaad karta Hu.`Mat Cheen Apna Naam Mere Lab Se Is TarahIs Be Naam Zindagi Mein Tera Naam Hi To Hai..`Uss k hath mein tootay hoye sheeshay ki tarah hon Faraz.Itna hi bhout hai k woo bhikarnay nahi deta..`Har kisi ky Naseeb main kahan likhi hain Chahtein,Kuch Log Duniya main atae hain Faqat Tanhaiyun k Liye.`Jab Tak Na Lagay Bewafai Ki Thokar Dost,Har Kisi Ko Apni Pasand Par Naaz Hota Hay.`Ab Yeh Aalam Hai K Tanhai Se Hum Tang Aa KarKhud Hi Darwazay Ki Zanjeer Hila Detay Hain…!!`Mere Mola ne mujh ko Aansoo’on ki Saltanat de diWasi me Jab bhi Hansta hun to aankhain bheeg jati hain.`Hai Phir Hamen Duaon kay Saharay Ki Zaroorat.Aey Kaash Hamen Aaj Koi Dil Say Dua Day.

Khwaabon Ki Dekh-Bhaal Men Aankhen Ujar GayiiTanhaa`Iiyon Ki Dhuup Ne Chehraa Jalaa DiyaaLafzon Ke Jorne Men Ibaadat Bikhar ChaliiAa`Iine Dhuundne Men Ka`Ii Aks Kho GayeAaye Na Phir Wo Laut Ke Ik Baar Jo GayeWo Din, Wo Waqt,Rut Wo, Wo Mausam Wo Sar KhushiiAi Gardish-E-Hayaat, Ay Raftaar-E-Maah-O-Saal!Kyaa Jamm`A Is Zameen Pe Hogay Na Phir Kabhii?Jo Hamsafar Firaaq Ki Dal-Dal Men Kho GayePatte Jo Gir Ke Per Se, Raston Men Kho GayeKyaa Phir Kabhi Na Laut Ke Aayegi Wo BahaarKyaa Phir Kabhi Na Aankh Men Utaregi Wo DhanakJis Ke Vafoor-E-Rang SeJhalkii Hu`Ii Hawaa.. Kartii Hai Aaj TakIk Zulf Men Sajay Huve Phulon Kaa Intezaar!Lamhe Zameen-E-Hijr Ke Phailay Kuchh Iss TarahReg-E-Ravaan-E-Dasht Ki (Tamsheel ?Tamsheed?) Ho GayiiIss Dasht Par Saraab Men Bhatke Hain Iss QadarNaqsh-E-Qadam Thay Jitne Bhi, Paa-Maal Ho GayeAb Tau Kahiin Pe Khatm Ho Rastaa Gumaan KaaSheeshe Men Dil Ke Saare Yaqeen Baal Ho GayeJis Waaqiye Ne Aankh Se Cheenii Thi Meri NeendUss Waaqiye Ko Ab Tau… Ka`Ii Saal Ho Gaye !!

Iss Bedard Duniya Mein,Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hain.Bhole Bhale Bandon Ko,Yeh Duniya,Dakoo Ke Jaise Thagti Hain.Is Begairat Duniya Mein,Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hain.Doosron Ke Sapne Tod Ker,Aapna Mahal Banati Hain.Haste Huye Ko Sekh Ker,Yeh Sah Nahin Paati Hain.Gire Huye Ko Ja Ker,Yeh Nahin Uthati HainIs Swarthi Duniya Mein,Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hain.Aapne Liye Bhagwan Se,Yeh Her Pal Mangati Rehti Hain.Bhookhe Bache, Nange Jism Ko Dekh Ker,Yeh Chup Hi Rehti Hain.Es Pather Duniya Mein,Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hain.Rupiya Hee Eska Bhagwan HainYehi Eska Deen,Yehi To Eski Emaan Hain.Der Per Aaye Fakeer Ko,Bhaga Hee Deti Hain.Paisa Hai To Tere Liye,Pairon Mein Bish Jati Hain,Aur Kabhi Chatri Ban Tere Ser Per Cha Jati Hain,Paise Tere Ko Dekh Ker,Yeh Duniya Ko Bhool Hi Jati Hain,Her Pal,Her Ghadi Bus Yeh Tere Hee Gunn Gati Hain.Arre Duniya Walo,Tum To Bus Keemat Lagao,Insaniyat To Es Duniya Mein,Ab Her Pal Neelam Hoti Hain.Es Lalchi Duniya Mein,Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hai.

Is se pahale ki teri chashm-e-karam mazarat ke nigah ban jayepyar dhal jaye mere ashkon mein aarzoo ek aah ban jayemujh pe aa jaye ishq ka ilzam aur tu begunah ban jayemain tera shahar chod jaungais se pahale ki sadagi teri lab-e-khamosh ko gila kah deteri majaburiyan na dekh sake aur dil tujh ko bevafa kah dejane main bekhudi mein kya puchun, jane tu berukhi se kya kah demain tera shahar chod jaungais se pahale ki tere hothon se gair hothon ke jam takarayeis se pahale ke zulf ke badal ajanabi bazuyon pe laharayeaur teri bebasi ke nazare meri aankhon pe aag barasayemain tera shahar chod jaungachod kar sahil-e-hayat chala ab safina mera kaheen thaharezeher pina mera muqaddar hai aur tere honth dil-nashin thaharekis tarah tere aastan pe rukun jab na panv tale zamin thaharemain tera shahar chod jaungamujh ko itna zarur kahana hai vaqt-e-rukhsat salam se pahaletod lun rishta-e-nazar main bhi tu utar aaye bam se pahaleye meri jan mera wada hai kal kisi waqt sham se pahalemain tera shahar chod jaunga.

Aap bevajah pareshan-si kyon hain madamlog kahate hain to phir thik hi kahate hongemere ehabab ne tahazib na sikhi hogimere mahaul mein insan na rehte hongenur-e-saramaya se hai ru-e-tamaddun ke jilahum jahan hain vahan tahazib nahi pal sakatimufalisi hiss-e-latafat ko mita deti haibhuk aadab ke sanche mein nahi dhal sakatilog kahate hain to logon pe t’ajjub kaisasach to kahate hain ki nadaron ke izzat kaisilog kahate hain – magar aap abhi tak chup hainaap bhi kahiye garibon mein sharafat kaisinek madam! bahut jald wo daur aayegajab hamen zist ke adavar parakhane hongeapni zillat ke qasam, aap ke azamat ke qasamhamako ta’zim ke mear parakhane hongehum ne har daur mein tazalil sahi hai lekinhum ne har daur ke chehare ko ziya bakhshi haihum ne har daur mein mehanat ke sitam jhele hainhum ne har daur ke hathon ko hina bakhshi hailekin in talkh mubahis se bhala kya hasillog kahate hain to phir thik hi kahate hongemere ehabab ne tahazib na sikhi hogimere mahaul mein insan na rehte honge

Suna Hai Log Use Aank Bhar Ke Dakte HeinSo Us Ke Shehar Mein Kuch Din Tehar Ke Dakte HeinSuna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashme Naaz UskiSo Hum B Us Ki Gali Se Guzar Ke Dakte HeinSuna Hai Usko B Hai Sher-O-Shayari Se SharafSo Hum Mojzay Apne Hunar Ke Dakte HeinSuna Hai Bolay To Baaton Se Phol Jarte HeinYeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dakte HeinSuna Raat Ko Use Chand Takta Rehta HaiSitare Baam-E-Falak Se Utar Ke Dakte HeinSuna Hai Din Ko Use Titliyan Satati HaiSuna Hai Raat Ko Jugno Tehar Ke Dakte HeinSuna Hai Uski Siah Chashmagi Qayamat HaiSo Usko Sorma Farosh Aah Bhar Ke Dakte HeinSuna Hai Ayena Thamsal Hai Jabin UskiJo Saada Dil Hein Use Bansawar Ke Dakte HeinSuna Hai Uski Badan Ki Tarash A C HaiKe Phool Apne Qabahe Qatar Ke Dakte HeinRuke To Gardeshe Uska Tawaf Karti HainChale To Ose Zamane Tehar Ke Dakte HeinKise Naseeb Ke Bepairahan Ose DakheKabhi Kabhie Daro Deewar Ghar Ke Dakte HeinKahaniyan He Sahi Sub Mubaalge He SahiAgar Wo Khuwaab Hai To Tabeer Kar Ke Dakte HeinAb Us Ke Shehar Mein Tehre Ke Khooj Kar JaeFARAZ Aao Sitaare Safar Ke Dakte Hein

Shah Ast Hussain, Badshah Ast HussainDeen Ast Hussain, Deen Panah Ast HussainSar Dad, Na Dad Dast, Dar Dast-E-YazeedHaqaa Key Binaey La Ila Ast Hussain(Khwaja Moinuddin Chisti)———————————————Islam Ke Daman Men Bas Is Ke Siva Kya HaiEk Zarb-E Yadulla Hi Ek Sajda-E Shabbiri(Allama Muhammad Iqbal)———————————————Haqq O Batil Ki Hai Paikar Hameha JariJo Na Batil Se Daren Hain Vahi Shi’an-E Hussain(Muhammad Ali Jauhar)———————————————Qatl-E Hussain Asl Men Marg-E Yazid HaiIslam Zinda Hota Hai Har Karbala Ke Ba’d(Muhammad Ali Jauhar)———————————————Jo Zulm Peh La’nat Na Kare, Aap La’een HaiJo Jabar Ka Munkir Nahi, Woh Munkire Deen Hai

“Zinda rahe toh phir milenge”.Magar aap se mil keIsh dil ne mehasoos kiya hai ki,“Aapse milte rahe toh Zinda Rahenge”.Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,Ajeeb khel khelti hai yeh kismatJise hum pah nahi sakteTammana se nahi tanhai se darte hain,pyaar se nahi ruswaai se darte hain,milne ki to bahut chahat hai,par milne ke baad judaai se darte hainYaad aaye to aankhen band na karna,hum chale bhi jaaye to gum na karna.Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga,Jaise amavas ne har raat chand maanga.Ruth gaya woh Khuda bhi humse,Jab humne apni har duwa mein unka saath maangausi se mohabbat kyun hoti hai.Yaadain teray khluuse ki dustti hain aaj bhiMilnay ki aarzooain trastii hain aaj bhiAnkhain hazaar zabt ki koshish kay bawajoodRuk ruk kay baar baar barstii hain aaj bhiPhul ki tarah haste raho to hum khush hai,Dil kholkar jeete raho to hum khush hai,yeh nahi kehte ki roj milo,bas kisi din yaad karliya karo to hum khush hai

Maine To Tumse Pyar Kiya ThaDil Jaan Apna Tum Pe Nissar Kiya ThaChorhogi Na Saath Mera Saari ZindagiWafa Ka Tumne Bhi Ikraar Kiya ThaHamne To Tumhari Rahon Par Phool Bichaye TheUn Rahon Ke Kaante Apne Haathon Se Uthaye TheMagar Ey-Bewafa Tune Meri Wafa Ka Kya Sila DiyaGair Ki Khatir Mujhko Dil Se Bhula DiyaMain Koun Hoon Tumhara Jo Mujhe Yaad Karo TumApne Do Aansoo Bhi Mujh Par Barbaad Karo TumKhud Ki Naav To Kinaare Par Laga LiMujhe Beech Manjhdhaar Main Hi Chod DiyaIs Dil Main Jo Basa Tha Pyar TeraMaine Bhi Us Dil Ko Hi Tod DiyaJo Gali Tere Ghar Tak Jaati ThiUs Gali Se Hi Maine Mooh Morh LiyaBadnaam Na Ho Jaaye Tu Dunia Main KaheenIsliye Tera Naam Lena Hi Chod DiyaJab Kabhi Bhi Yaad Aayegi TumhariSamjhain Ge Kabhi Tumhe Chaha Hi NahiJab Bhi Tum Rahon Main Nazar AayogiSochainge Tumhe Dekha Hi NahiTu Jahaan Bhi Rahe Sada Khush RaheTujhe Dil Se Main Bhula Raha HoonTere Pyar Ki Jo Haseen Yaadain Hain Dil MainUn Yaadon Ko Louta Raha HoonTumhari Bewafai Ka Kya Charcha KaroonApni Wafa Pe Sharma Raha HoonMujhe Tumhari Bewafai Se Koi Shikwa NahiMain Tumhari Zindagi Se Ja Raha Hoon

Raaton Ko Uth Uth Kar Jinke Liye Rote HainAa Jee Raaton Ko Uth Uth Kar jinke Liye Rote HainWo Aapni Makanon Mein Aaram Se Sote HainKuch Log Zamane Mein Aise Bhee Tou Hote HainAa Jee Kuch Log Zamane Mein Aise Bhee Tou Hote HainMehfil Mein Tou Hashte Hain Tanhaai Mein Rote HainDeewanon Ki Duniya Ka Aalam Hi Nirala HainAa Jee Deewanon Ki Ka Aalam Hi Nirala HainHashte Hain Tou Hashte Hain Rote Hain Tou Rote HainKis Baat Ka Rona Hain Kis Baat Pe Rote HainAa Jee Kis Baat Ka Rona Hain Kis Baat Pe Rote HainKashti Ke Muhafeez Hi Kashti Ko Dubote HainKuch Aise Deewane Hain Suraj Ko Pakadte HainAa Jee Kuch Aise Deewane Hain Suraj Ko Pakadte HainKuch Log Umr Sari Andhera Hi Dhote HainJab Thesh Lagi Dil Par Tou Raaz Khula Ham ParAa Jee Jab Thesh Lagi Dil Par Tou Raaz Khula Ham ParWo Baat Nahin Karte Nashtar Se Chubhote HainMere Dard Ke Tukde Hain Ye Sher Nahin “Sagar”Aa Jee Mere Dard Ke Tukde Hain Ye Sher Nahin “Sagar”Ham Saans Ke Dhagon Mein Zakhmon Ko Peerote HainRaaton Ko Uth Uth Kar Jinke Liye Rote HainWo Aapni Shabistar Mein Aaram Se Sote HainWo Aapni Shabistar Mein Aaram Se Sote Hain

Jis pal aap dil se muskuraoge,Apni hasi me hamari jhalk paogeNa samjna k sath chod denge humpalat kar dekhoge to har rah par hame paoge. Good Morning!`Aye dil kinare ko kinara na samajh,Aye dil sahare ko sahara na samajh,Barish aane par kinare toot jate hain,Musibat aane par sahare chooth jate hain… GM`Har Aahat Mera Ehsaas Dilayegi,Hawa Bhi Mera Kisa Sunayegi.Aur Na Chahte Hue Bhi Aapko Meri Yaad Ayegi.`Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,Apne deewano ko sataya nahi karte,Har waqt bas jise tumhara khyal ho,Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte`Bina gm khushi ka pta kaise chalegaBina roye hsi ka mza kaise milegaWo jo b krta hai wo hi janta haiAgr hm jaan gye to use KHUDA kaun khega.Gud mrng.`Hum tere dil me rahenge ek yaad bankar,Tere lab pa khilenge muskaan bankar,Kabhi hame apne se juda na samajhna,Hum tere saath challenge aasmaan bankar.`Subh Subh Suraj Ka Sath HoParindon Ki Aawaz HoHath Me Tea Or Yaadon Me Aap HoUs Khush Numa Subh KiKia Baat Ho GooD MorninG.`Raat hogi to chand duhai dega,Khawabon mein aapko woh chehra dikhai dega,Ye mohabbat hai zara sochke karna,Ek aansoo bhi gira to sunai dega.

Tumhari Yaad Mein Tumhein Dhoondti Har Pal NazarWo Masoom Saa Chehraa Apna Dikhaa Jao Na Ek DinSadiyon Se Tumhein Dil Se Pukara Hai MaineApne Dil Ki Baat Mujhe Bhi Sunaa Jao Na Ek DinTumhaare Sang Jeevan Bitana Meri Hai KhwahishMere Sang Reh Kar Meri Is Ruh Ko Mehka Jao Na Ek DinTumhaare Bin Ye Jindagi Hai Bas Kuch Hi Pal KiMain Tumhaare Liye Hun Banaa Ye Dikha Jao Na Ek DinBechain Ye Dil Tarse Pal Pal Pyaar Ko TumhaareApne Hothon Se Wo Pyar Ki Bahar Barsa Jao Na Ek DinIs Mehki Fiza Mein Meri Khwahishein Hain BikhriSaare Jahaan Ki Khushiyan Dene Aa Jao Na Ek DinJindagi Bhar Saath Nibhaane Ka Wada Kiya Jo TumneSang Jeene Marne Ka Wo Wada Nibha Jao Na Ek DinDil Ka Dil Se Rishta Dil Mein Basa Naam TumharaTum Bhi Apne Dil Ki Har Baat Bata Jao Na Ek DinTum Bin Jindagi Ki Sab Khushiyan Hain AdhooriHar Khushi Ko Meri Jindagi Mein Basa Jao Na Ek DinTumhari Aakhon Se Dekhe Jo Khwab Ab Tak MaineMeri Palkon Pe Wo Sunehre Khwab Saja Jao Na Ek DinHar Phool Mein Basi Jaise Tumhaari Hi KhushbooMeri Bagiya Mein Bhi Ek Phool Khila Jao Na Ek DinHar Sitaare Mein Hai Tumhari Choodiyon Ki ChamakApne Haathon Ki Wo Choodiyan Khanka Jao Na Ek Din

Shayad Mere Pyar KoTest Karna Bhool Gaye…Dil Sey Aisa Cut KiyaKe Paste Karna Bhool Gaye…Jo Muddat Se Hota Aaya Hai,Woh Repeat Kar Doonga…Tu Naa Mili To Apni ZindagiCtrl+Alt+Delete Kar Doonga…Laakhon Honge Nigaah MeinKabhi Mujhe Bhi Pick Karo…Mere Pyaar Ke Icon PeKabhi To Double-Click Karo..Roz Subha Hum Karte HainPyar Se Unhe Good Morning…Woh Aise Ghoor Ke Dekte HainJaise 10 Errors Aur 5 Warning..Kal Jab Mile ThheTo Dil Mein Hua Ek Sound.Aur Aaj Mile To Kehte HainYour File Not Found!Aisa Bhi Nahin Hai KeI Dont Like Your Face.Par Dil Ke Storage MeinNo More Disk Space.Ghar Se Jab Tum NikalePehen Ke Reshmi Gown.Jaane Kitne Dilon KaHo Gaya Server Down.Jabse Meri Zindagi Mein,Aayi Hai Ik Female.Bhool Gaya Hai Sab KuchhKya Mailbox, Kya E-Mail.Dil Se Ek Ishq KiApplication Create Kar Raha Hoon.Pyaar Se Debug KarnaMein Wait Kar Raha Hoon.Nazar Mein To Kai HainAur Shaayad Lonely Hain,Problem Yehi Hai Ki VohAb Read Only Hain.Tumhaare Intezaar MeinNeend Aayee So Gaya.Yeh Dekho Mera ConnectionTime Out Ho Gaya.Tere Aankon Ka Nasha Mujhe Gayal KiyaTere Aankon Ka Nasha Mujhe Gayal KiyaAre Yaar Pi Kar Drive Kyon Kiya