Diya hai dil agar us ko, bashar hai kya kahiyehua raqib to ho, namabar hai, kya kahiyeye zid, ki aj na aave aur aaye bin na raheqaza se shikwa hamen kis qadar hai, kya kahiyerahe hai yun gah-o-begah ke ku-e-dost ko abagar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiyezih-e-karishma ke yun de rakha hai hamako farebki bin kahe hi unhen sab khabar hai, kya kahiyesamajh ke karte hain bazar mein wo pursish-e-halki ye kahe ki sar-e-rahaguzar hai, kya kahiyetumhen nahi hai sar-e-rishta-e-vafa ka khayalhamare hath mein kuch hai, magar hai kya kahiyeunhen saval pe zaom-e-junun hai, q ladiyehamen javab se qata-e-nazar hai, kya kahiyehasad saza-e-kamal-e-sukhan hai, kya kijesitam, baha-e-mataa-e-hunar hai, kya kahiyekaha hai kis ne ki “ghalib” bura nahi lekinsivay isake ki aashuftasar hai kya kahiye

Your Comment Comment Head Icon

Login