Duniya Hai Patthar Ki Jazbaat Nahi Samajhti
Dil Mein Jo Chhupi Hai Who Baat Nahi Samajhti
Chand Tanha Hai Taaro Ki Baraat Mein
Dard Magar Chand Ke Zalim Raat Nahi Samajhti…

Usne Mujhe Apni Bewafai Ka Sabut De Diya,Mujhe Meri Khushiyo Ki Judai Ka Sabut De Diya,Usne Dikha Diya ’Kumar’ Ishq-E-Wafa Ka Anjaam Kya Hota Hai,Mujhe Duniya Ki Bheed Me Meri Tanhai Ka Sabut De Diya.

Lab pe zehan mein tu mujh ko sada rakhna
mujh ko ek harf samajh kar na tu meeta dena
aaj ke dor mein kaun apna kaun paraya dil-e-naaz
toote huwe riston ko tum phir se mila dena

Lab pe, zehan mein tu mujhko sada rakhna
mujhko ek harf samajh kar na tu meeta dena
aaj ke daur mein kaun apna kaun paraya dil-e-naaz
toote huwe riston ko tum phir se mila dena

Koi Ye Kaise Bataye Ke Wo Tanha Kyon Hai,
Wo Jo Apna Tha Wohi Aur Kisi Ka Kyon Hai,
Yehi Duniya Hai To Phir Aisi Ye Duniya Kyon Hai,
Yehi Hota Hai To Aakhir Yehi Hota Kyon Hai,

Main us ke Haathon me tha
Tute hue Sheeshe ki tarah "DEEWANA"
Badi Umeed thi ki bikhrne nhi dega.
Bus giraya kuch is Ada se ki
Simatne ki Aaas hi na rahi.

Hum Agar Aapse Mil Nahi Paate
Aisa Nahi Hai Ki Aap Hamein Yaad Nahi Aate
Maana Jahan Ke Sab Rishte Nibhaye Nahi Jaate
Lekin Jo Dil Me Bas Jaate Hain Unhe Bhulaya Nahi Jaata…

Khud par itna toh yakeen hai mujhe , ki
Koi chod sakta hai magar bhula nahi sakta !
Hsaana na chahe toh na sahi , par
Meri izajat ke bager woh mujhe ,
Rula nahi sakta !!

Honton ko muskurane ki hasrat nahi rahi,
koi hume bhi chahe,ye chahat nahi rahi,
dil ko hai yakeen ki koi na aayega manane ko,
ye sochkar ab to ruth jaane ki aadat hi nahi rahi.

Mohabbat Har Insaan Ko Aazmati Hai,
Kisi Se Rooth Jaati Hai Par Kisi Pe Muskurati Hai,
Mohabbat Khel Hi Aisa Hai,
Kisi Ka kuch nahi Jaata Kisi Ka Sab Kuch Chala Jaata Hai…

Agar me had se gujar jau to muje maaf karna
Tere dil mein utar jau toh mujhe maaf karna,
Raat mein tujhe dekh ke tere deedar ki khatir
Pal bhar jo theher jau toh mujhe maaf karna

Nadiyano se kinnare choot jaate hain,
Aasaman se taare toot jaate hain,
Zindagi ki rah mein aksar aisa hota hai,
ki jinhe hum chahte hain wahi aksar hum se rooth jaate hain…

Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega
Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega

Wo naa aaye unki yaadein aakar wafaa kar gayi
Unse milne ki tamanna sukoon tabah kar gayi
Aahat huyi aisi ki socha Dua asar kar gayi
Khol darwaja dekha to majak humse hawa kr gyi

Kua jaane kya khabar kiski lagi nazar,
waadon ko chhod ke,
kasmo ko tod ke wo kya bichad gayi,
duniya ujad gayi, deepak hai low nahi,
main to hu bus wo nahi, wo nahi...