Itna aitbaar to apni dhadkanon par bhi humne na kiya,
Jitna aapki baaton par karte hain,
Itna intezar to apni saanson ka bhi na kiya,
Jitna aapke milne ka karte hain…

Chah Ke Bhi Kabhi Na Tumko Bhula Payenge Hum
Karte Hain Wada Yeh Nibha Payenge Hum
Khud Ko Fanna Kar Denge Is Jahaan Se Hum
Par Naam Tera Na Dil Se Mita Paayenge Hum…

Pane ki aarzu me jiye to they bahut..
Aansu hi na nikle roya to the bahut,.
Pal bhar ke liye unhe aazmaya to tha bahut..
Apna hi na bana sake jise chaha tha to bahut…

duniya ko is ka chehrah dhikhana padha mujhe,
pardah jo darmiyaan tha haathana padha mujhe,
ruswaiyon ka khauf se mehfil mein aaj,
phir is bewafa se haath milana padha mujhe

Jane Kya Soch Ke Lehrein Sahil Se Takrati Hain
Aur Phir Se Vapis Laut Jati Hain
Samaj Nahi Ata Ke Woh Kinaro Se Bewafai Karti Hain
Ya Phir Laut Ke Samandar Se Wafa Nibhati Hain

Sard mausam ka maza kitna alag sa hai,
Tanha raat mein intazaar kitna alag sa hain,
Dhund bani naqab, aur chupa lia sitaron ko,
Unki tanhaai ka ab ehsaas kitna alag sa hai..!

Woh Keh Gaye Ki Mera Intezaar Mat Karna,
Main Kahu Bhi To Muj Pe Aitbaar Mat Karna,
Wo Kehte hai Ke Mujhe Tumse Mohabaat Nahi,
Par Tum Kisi Aur Se Pyaar Mat Karna…..!!

Kitab-e-zindagi ka wo meri khobsurat baab tha,
Harf harf parha jesay wo mera nisab tha,
Kesay kahon mujhe bhula diya us nay,
Wo shaks jisay main ne chaha behisab tha….

Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai

Iraado mei abhi bhi kyu itni jaan baaki hain.?
Tere kiye vaado ka imtihaan abhi baaki hain
Adhuri kyu reh gayi tumhari ye berukhi,
Jabki dil k har tukde me tera naam baaki hai

Kyu Sochte Ho Ki Kuch Bhi Acha Nahi Hota
Such To Ye H Ki Jaisa Chaho Vaisa Nahi Hota
Koi Apka Sath De Na De Par Kabhi Gum Na Karna
Khud Se Bada Duniya Me Koi Humsafar Nai Hota

Teri Perchaayion Ke Saaye Mein Gujar Jaayegi ZindagiAb Tere Bagair Kahan Sukoon Payegi Yeh ZindagiTere Alfazon Ko Dil Mein Basakar Kat Jayegi Yeh ZindagiTeri Har Ek Hansi Ko Mehsoos Karke Door Jayegi Yeh Zindagi

Badhake ke is raah pe kadam ab hum sochtey hain
wahi bahut tha jo rishta dua salaam ka tha,
ab jo bichde toh kyon roye judaai pe teri
yeh darr toh hamein pehli mulakaat se tha

Taraste the jo hamse milne ko kabhi….
Na jane q aaj mere saye se bhi wo katrate hain….
Ham bhi wahi hain;dil bhi wahi hai;
Na jane q log badal jate hain….!

Wo milte h humse, magar ek umar gujar jati h
Kuch haseen pal aur baki bas duriya reh jati h
Lambi si khamoshi hain zindagi apni,
Khud se hi baat karte huye sadiya beet jati hai