Faasle mita kar aapas main pyaar rakhna,.
dosti ka ye rishta hamesha barkaraar rakhna,
bichhad jaaye kabhi aapse hum,
aankhon main hamesha hamara intzaar rakhna…

Khuda ki mahobbat fanah kaun karega..
Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega..
Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna..
Warna hamari maut ki dua kaun karega…

Mat Zikar Kijye Meri Adaa K Baaray Mai,
Main Buhat Kuch Janta Hoon Wafa K Baaray Mai,
Suna Hai Woh Bhi Mohabbat Ka Shoq Rakhte Hain,
Jo Jante Hi Nahi Wafa K Baaray Mai.

Aankh aapki bahey to aansu mere ho
saans aapki chaley to dhadkan meri ho
bas zindgi main yehi dil ki tamanna hai
key jab bhi aap ki yaad aaye aap mere saamne ho…

Ansu na hote to ankhen itni khubsurt na hoti

dard na hota to khushi ki keemat na hoti

agar mil jata koi chahne se to dunia mein upparwale ki jarurt na hoti.

Darr bhi tera tha, dhutkaar bhi teri thi,
Farmaan bhi tera tha, farmayish bhi teri thi
Tujhse chahkar bhi door rahna mushkil tha
Hukum toh tera tha par bandishe meri thi

Gujar Gayi Who Sitaaron Wali Sunahri Raat,
Aa Gayi Yaad Who Tumhari Pyari Si Baat
Aksar Hoti Rehti Thi Hamaari Mulaqaat
Bin Aapke Hoti Hai Ab Toh Din Ki Shuruaat…

Gheele kaghaz ki tarah hai zindagi apni,
Koi jalata bhi nahi koi bahata bhi nahi,
Is kadar akele hain dil ki rahon mei,
Koi satata bhi nahi , Koi manata bhi nahi…

Kab Huyi pyar ki Barsat Mujhe Yaad Nahi
Khof mein doobi mulaqat Mujhe Yaad Nahi
Mai to Madhosh tha kuch itna Uski Chahat Mein
Us Ne Kab Chorr Diya Sath Mujhe Yaad Nahi.!

Yeh dua hai koi gela nahe
maire zindage hay woh gulaab
jo kabhe khila nahe
main sochta hoon KHUDA karay tujhe
woh sukh milay jo mujhe kabhe mila nahe…

Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka
Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka
Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain
Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka

Ab ke sawan mein paani barsa bahut,
Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.
Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,
Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.

Palat ke aayega woh, main intezar karti hu
Kasam khuda ki, use ab bhi pyar karti hu,
Main janti hu ki, ye sab dard dete h magar
Main apni chahato pe aaj b etbaar karti hu

tanhai lay jati hain jahan tak yaad tumhari, wahin say shuru hoti hain zindagi hamari,
nahin socha tha chahein gay hum tumhein iss kadar,
per ab tau ban gayin haun tum kismat hamari.

Main aur meri tanhayee, baithe hai hum do bhaiLe ke haath mein ek kadak adrak-pyali chaiCha raha hai dil aur dimaag pe ab bus unhi ka khayalThan-thana raha hai yeh haath, jaise kar diya kisi ne isse ghayal.