Magasaf zahir hai nigahon se ki hum marate hainmuh se kahate huye ye baat r darate hainek tasvir-e-muhabbat hai javani goyajis mein rangon ke ivaz khunn-e-jigar bharate hainisharat-e-rafta ne ja kar na kiya yaad hamenisharat-e-rafta ko hum yaad kiya karte hainaasman se kabhi dekhi na gai apni khushiab ye halat hain ki hum hanste hue darate hainsher kahate ho bahut khub tum “akhtar” lekinache shayar ye suna hai ki jawan marate hain Author of the / Ghazal or Nazam :Akhtar Ansari

Khoon se jab jala diya ek diya bujha huaphir mujhe de diya gaya ek diya bujha huaek hi dastan-e-shab ek hi silsila to haiek diya jala hua ek diya bujha huamahafil-e-rang-o-nur ke phir mujhe yaad aa gaiphir mujhe yaad aa gaya ek diya bujha huamujh ko nishat se fuzun rasm-e-vafa aziz haimera rafiq-e-shab raha ek diya bujha huadard ke kainat mein mujh se bhi roshni rahivaise meri bisat kya ek diya bujha huasab meri raushani-e-jan harf-e-sukhan mein dhal gaiaur main jaise reh gaya ek diya bujha hua

Gurub-e-sham hi se khud ko yun mahasus karta hunki jaise ik diya hun aur hawa ke zad pe rakha hunchamakati dhup tum apne hi daman mein na bhar lenamain sari raat pedon ke tarah barish mein bhiga hunkoi tuta hua rishta na daman se ulajh jayetumhare sath pahali bar bazaron mein nikala hunye kis aavaz ka bosa mere honton pe kanpa haimain pichali shab sadaon ke halavat bhool baitha hunbichad ke tum se main ne bhi koi sathi nahi dhundhahujum-e-rahguzar mein dur tak dekho akela hunPoet : Zubair Rizvi

Yaad kisi ke chandani ban kar kothe kothe utari haiyaad kisi ke dhup hui hai zina zina utari hairaat ke rani sahan-e-chaman mein gesu khole soti hairat-berat udhar mat jana ik nagin bhi rahati haitum ko kya tum gazalen kah kar apni aag bujha logeus ke jee se pucho jo pathar ke tarah chup rahati haipathar lekar galiyon galiyon ladake pucha karte hainhar basti mein mujh se aage shoharat meri pahunchati haimuddat se ik ladaki ke rukhsar ke dhup nahi aayiisi liye mere kamare mein itni thandak rahati hai

Kaise Sakoon Paau Jo Tumhe Na Dekh Paau,Kaise Dil Ko Samjhaau, Jo Tumhe Na Pass Paau,Satati Hai Mujhe Meri Apni Hi Wafaye,Dil Ko Aa Jaata Sakoon Jo Milti Teri Wafaye,Tadpaati Hai Yaadein Aur Berang Hai Nigaahein,Apne Dil Ke Zakhm, Kis Kis Ko Main Deekhaau,Teri Bewafai Ko Log Kehte Hai Teri Majboori,Main Apni Majbooriya Kaha Tak Ginaau,Meri Wafayo Ka Mujhe Ye Sila Mila Hai,Muffat Mein Hue Badnaam Aur Dil Chhalni Hua Hai,Mila Ke Najar Ab Tumse Aur Kaun Se Gazal Sunaau,Kaise Sakoon Paau Jo Tumhe Na Dekh Paau…!!!

Bohat yaad aati hai tumhari,Wo din jo humne guzare,wo time jo the pyaare.Dur ho ke bhi tum hamme satta ti ho,Din aur raat meri aakhoun ke samne aati ho.Khel kud, masti, aur tafree mein time nikal giya,gham hai ke meine apni dil ki baat ko bekarar nahi kiya.Dua hai khuda se ke aik din mulawat karade,uss din khamosh zaban ko apni takat se hilla de.Inteezar hai uss din ka jab hamm phir milenge,khamosh aakhoun ko bezuban nahi rehne denge.Bohat yaad aati hai humme tumhari,woh din jo haam guzarein ge,woh time jo hounge pyare.

Avval-e-shab wo bazm ke raunaq shama bhi thi paravana bhirat ke aakhir hote hote khatm tha ye afasana bhiqaid ko tod ke nikala jab main uthake bagule sath huedasht-e-adam tak jangal jangal bhag chala virana bhihath se kis ne sagar pataka mausam ke bekaifi paritna barasa toot ke badal dub chala maikhana bhikhoon hi ke shirkat wo kyon na ho shirkat cheez hai jhagade keapanon se wo dekh raha hun jo na kare begana bhiek lagi ke do hain asar aur donon hasb-e-maratib hainlau jo lagaye shamma khadi hai raqs mein hai paravana bhi

Kyon hijr ke shikave karta hai kyon dard ke rone rota haiab ishq kiya hai to sabr bhi kar is mein to yahi kuch hota haiaagaz-e-musibat hota hai apne hi dil ke shararat seaankhon mein phul khilata hai talavon mein kanten bota haiahabab ka shikwa kya kijiye khud zahir va batin ek nahilab upar upar hanste hain dil andar andar rota haimALLAHon ko ilzam na do tum sahil wale kya janonye tufan kon uthta hai ye kishti kon dubota haikya jane kya ye khoyega kya jane kya ye payegamandir ka pujari jagata hai masjid ka namazi sota hai

Ye chandani bhi jin ko choote hue darati haiduniya unhin phoolon kopairon se masalati haishoharat ke bulandi bhi pal bhar ka tamasha haijis dal pe baithe ho wo toot bhi sakati hailoban mein chingari jaise koi rakh deyun yaad teri shab bhar sine mein sulagati haiaa jata hai khud khench kar dil sine se patari parjab raat ke sarahad se ik rel guzarati haiaansu kabhi palkon par ta der nahi rukateud jate hain ue panchi jab shakh lachakati haikhush rang parindon ke laut aane ke din aayebichde hue milate hain jab barf pighalati hai

Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen HoteAansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen HoteThee Bahut Umeed To Apnon Se Is Dil Ko KabheePar Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen HoteBebasee Hansne Lagee Khaamoshi Ab Hai GoonjteeBand Kamron Men Koyee Mausam Naheen HoteJab Khushee Hai Naachtee Gaatee Hai Man Kee Har KaleeUn Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen HotePyaar Sab Miltaa Jinhen Ranjish Naheen Koyee KabheeKyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen HoteYaad To Karte Hain Unko Ham Sadaa Hee Raat DinKhwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote

Ek muddat hui ek zamana huakhak-e-gulashan mein jab aashiyana huazulf-e-baraham ki jab se shanasai huizindagi ka chalan mujremana huaphul jalate rahe chand hanste rahaaarzoo ka muqammal fasana huadaag dil ki shahanshah ki sikke banedil ka muflis-kada jab khazana huarahbar ne palat kar na dekha kabhirahr-o-raste ka nishana huahum jahan bhi gaye zauq-e-sajda liyehar jagah aap ka aasatana huadekh mizarab se khoon tapakane lagasaz ka tar marg-e-tarana huapahale hoti thi koi vafa-paravariab to “sagar” ye qissa purana hua

Na Hi Hoon Main Faraz, Na Hi Ghalib, Or Na Hi ZafarPir B Lektha Hoon Teri Yaad Main Shair O Ghazal Shaam O SeherNa Hi Hoon Main Ranja, Na Hi Farhad, Or Na Hi MajnoonPir B Najane K Har Waqt Teri Yaad Main U TadpoonNa Kiya Tumne Wada Milne Ka Or Na Hi Kiya Humne Wada Milne KaLakin Pir B Ha Iss Dilme Ass Tere Sang Chalne KaNa Hi Yaad Kar Saktha Hoon Tumhain Or Na Hi Bhool Saktha Hoon TumhainQ Laila Majnoon Kehtha Hai Or Koyi Heer Ranja HumainDil Tho Kiya Hum Jaan B De Detha PRINCE Tum KoLakin Achanak Yaad Aya Ye Amanath Hai Kisi Or Ki

Humara Dil Savere Ka Sunhera Jaam Ho Jaye,Chirago Ki Tarah Aankhein Jale Jab Shaam Ho Jaye,Kabhi To Aasman Se Chand Utre Jaam Ho Jaye,Tumhare Naam Ki Ek Khoobsurat Sham Ho Jaye,Ajab Halat The Yu Soda Ho Gaya Aakhir,Mohabbat Ki Haveli Jis Tarah Nelaam Ho Jaye,Samundar Ke Safar Mein Is Tarah Awaz De Humko,Hawayein Tez Ho Or Kashtiyo Mein Shaam Ho Jaye,Mujhe Maloom Hai Iska Thikana Phir Kaha Hoga,Parinda Aasman Chhune Mein Jab Nakaam Ho Jaye,Ujale Apni Yaado Ke Humare Saath Rehne Do,Najaane Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaye..!!!!

Kab yaad mein tera sath nahi kab hath mein tera hath nahisad shukr ke apni raton mein ab hijr ke koi raat nahimushkil hain agar halat vahan dil bech aayen jan de aayendil valo kucha-e-janan mein kya aise bhi halat nahijis dhaj se koi maqtal mein gaya wo shan salamat rahati haiye jan to aani jani hai is jan ke to koi baat nahimaidan-e-vafa darbar nahion yan nam-o-nasab ke puch kahanaashiq to kisi ka naam nahi kuch ishq kisi ke zat nahigar bazi ishq ke bazi hai jo chaho laga do dar kaisagar jit gae to kya kahana hare bhi to bazi mat nahi

Jahan phoolon ko khilana tha waheen khilate to acha thatumhin ko hum ne chaha tha tumhin milate to acha thakoi aakar hamen puche tumhen kaise bhulaya haitumhare khat ko ashkon se shab-e-gam mein jalaya haihazaron zakhm aise hain agar silate to acha thatumhen jitana bhulaya hai tumhari yaad aayi haibahar-e-nau jo aayi hai wo hi khushbu lai haitumhare lab meri khatir agar hilate to acha thamila hai lutf bhi hum ko hasin yadon ke jhil-mil meinkatati hai zindagi tum bin magar itni si hai dil meinagar tum aate to acha tha agar milate to acha tha