Gam-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunchemujhe khauf hai ye tohamat mere naam tak na pahunchemain nazar se pee raha tha to ye dil ne bad-dua ditera hath zindagi bhar kabhi jam tak na pahunchenai subah par nazar hai magar aah ye bhi dar haiye sahar bhi rafta rafta kaheen sham tak na pahunchewo nava-e-muzamahil kya na ho jis mein dil ki dhadakanwo sada-e-ahale-dil kya jo avam tak na pahuncheunhen apne dil ki khabaren mere dil se mil rahi hainmain jo unase ruth jaun to payam tak na pahuncheye ada-e-beniazi tujhe bevafa mubarakmagar aisi berukhi kya ki salam tak na pahunchejo naqab-e-rukh utha di to ye qaid bhi laga diuthe har nigah lekin koi bam tak na pahunchewohi ik khamosh nagma hai “shakeel” jan-e-hastijo zuban tak na aaye jo qalam tak na pahunche

Gai wo bat ki ho guftagu to kyonkar hokahe se kuch na hua phir kaho to kyonkar hohamare zahan mein is fikr ka hai naam visalki gar na ho to kahan jayen ho to kyonkar hoadab hai aur yahi kashamakash to kya kijehaya hai aur yahi gomago to kyonkar hotumhin kaho ki guzra sanam paraston kabuton ki ho agar aisi hi khu to kyonkar houljhate ho tum agar dekhte ho aainajo tum se shahar mein ho ek do to kyonkar hojise nasib ho roz-e-siyah mera sawo shakhs din na kahe raat ko to kyonkar hohamen phir un se umid aur unhen hamari qadrhamari bat hi puche na wo to kyonkar hogalat na tha hamen khat par guman tasalli kana mane dida-e-didar ju to kyonkar hobatao us misha ko dekhakar ho mujh ko qararyah nesh ho rag-e-jan mein faro to kyonkar homujhe junun nahi galib wale baqaul-e-huzurfiraq-e-yar mein taskin ho to kyonkar ho

Chaman me.n subah ye kahatii thii ho kar chashm-e-tar shabanambahaar-e-baaG to yuu.N hii rahii lekin kidhar shabanamarq kii buu.nd us kii zulf se ruKhasaar par Tapakiitaajjub kii hai jaage ye pa.Dii Khurshiid par shabnamhame.n to baaG tujh bin Khaanaa-e-maatam nazar ayaaidhar gul phaarate the jeb, rotii thii udhar shabanamkare hai kuchh na kuchh taasiir sohabat saaf taabo.n kiihuii aatish se gul ke baiThate rashq-e-sharar shabnambhalaa tuk subah hone do ise bhii dekh leve.ngekisii aashiq ke rone se nahii.n rakhati Khabar shabnamnahii.n asbaab kuchh laazim subak saaro.n ke uThane kogaiii u.D dekhate apane baGair az baal-o-par shabnamna paayaa jo gayaa is baaG se hargiz suraaG usakaana palTii phir sabaa idhar, na phir aaii nazar shabnamna samajhaa Dard hamane bhed yaa.N kii shaadii-o-Gam kaasahar khandaan hai kyo.N rotii hai kis ko yaak kar shabanam

Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand DekhonTum Yaad Aatey HoJab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran DekhonTo Tumhari Muskurahat Yaad Aati HaiJab Kabhi Souraj Ko Dhalta DekhonTo Tumharey Gham Yaad Aatey HainJab Kabhi Parindon Ki Chechahat SunooTo Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai DayJab Kabhi Gulab Ko Khilta DekhonTo Tumharey Labb Yaad AayeJab Kabhi Barstey Badal DekhonTo Tumhari Yaad Main DoobiWoh Shaam Yaad AayeJab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara KaronTo Tumharey Khushboo Main Bassey Khat Yaad AayeJab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Boond Ko DekhonTo Tumhari Piyasi Ankhin Yaad AayeJab Kabhi Koi Prem Katha PerhonTo Tumhara Bepanah-Wa-Bechain Piyar Yaad AayeJab Kabhi Andheri Raat Main Chamktey Sitaron Ko DekhonTo Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad AayeJab Kabhi Samnder Ko Kinarey Se Takrata DekhonTo Tumhari Woh Mulaqaat Yaad AayeJab Kabhi Chand Ko,Phool Ko,Barastey Badlon Ko DekhonTo Tumhari Yaad AayeBussJab Jab Main Saans LoonTo Tum Yaad Aatey Ho!!!

To Kyon Tumhari Yaad Mujhe Satati HaiAati Hai Aur Tumhi Mein Simatkar Chali Jaati HaiKyon Yaadon Par Har Vakt Tumhara Pahara Rahta HaiAur Is Dil Ko Tumhare Pyaar Ka Aasra Rahta HaiTumne Kiya Ikraar Kai BaarMaine Kiya Inkaar Aur Hui Mere Dil Se Meri TakraarTum Ise Na Janoge KyonkiiJaan Tum Mujhe Na Samajh PaogeTumhe Lakh Samjhaya Na Karo Mujhpar IetbaarTumne Kaha Kaise Na Karoon Jab Pyaar Hai Tumse HarbaaIntezaar Yeh Ehsaas Jitna Sunne Mein Acha HaiUtna Hi Karne Mein Bura HaiTum Rehte Ho Harvakt Tanhai Mein, Tanhai Ke SaathYeh Tanhai Tumhe Mili Hai Meri Mohabat Mein SogaatPehle Main Tumhe Janti Thi Ab Pehchanti HoonTumhari Jubaan Kuch Nahi ParTumhari Aankhen Harbaar Ek Ansuna Fasaana Bayaan Karti HainMain Jaankar Anjani Nahi HoonMain Tumhari Kabhi Ho Sakne Wali Kismat Suhani Bhi Nahi HoonMushkil Hai Bada Mushkil Chaahat Ko Bhula DenaAasan Nahi Yeh Aag Bhujha DenaUljhan Aur Kuch Nahi Par Hum Tumhe Naa Bhul PayengeMumkin To Nahi Lekin Tum Hume Bhula Dena

Apne mazi ki tasavvur se hirasa hun mainapne guzri hue ayyam se nafarat hai mujheapni bekar tamannaon pe sharminda hun mainapni besud ummidon pe nidamat hai mujhemere mazi ko andhere mein daba rahane domera mazi meri zillat ki siva kuch bhi nahimeri ummidon ka hasil meri kavish ka silaek benam aziyat ki siva kuch bhi nahikitni bekar ummidon ka sahara lekarmain ne aiwan sajaye they kisi ki khatirkitni berabt tamannazon ki mabham khakeapne khwabon mem basaye the kisi ki khatirmujhase ab meri mohabbat ki fasane na puchomujhko kahane do ki main ne unhen chaha hi nahiaur wo mast nigahen jo mujhe bhool gainmain ne un mast nigahon ko saraha hi nahimujhko kahane do ki main aj bhi jee sakata hunishq nakam sahi zindagi nakam nahiunko apanane ki khvahish unhen pane ki talabshauq bekar sahi sai-gam anjam nahiwohi gesu wohi nazar wohi aarid wohi jismmain jo chahun ki mujhe aur bhi mil sakate hainwo kanval jinako kabhi munake liye khilana thaunaki nazaron se bahut dur bhi khil sakate hain

Tum Chupkay Say Aa Jatay HoMein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey HoAur Jhaank Kay Meri Aankhoun Mein Beetay Dinn Yaad Dilatey HoMastaana Hawa Kay Jhonkoun Se Har Baar Woh Pardey Ka HilnaPardey Ko Pakadney Ki Dhunn Mein Do Ajnabi Haatoun Ka MilnaAankhoun Mein Dhonya Sa Chaa Jaana Saasoun Mein Sitarey Se KhilnaRastey Mein Tumhara Murd Murd Kar Takna Woh Mujhe Jaatey JaateyAur Mera Thitak Kar Ruk Jaana, Chilman Kay Kareeb Aatey AateyNazroun Ka Taras Kar Reh Jaana, Ek Aur Jhalak Paatey PaateyBaaloun Ko Sukhaney Ki Khatir, Kothey Pe Woh Mera Aa JaanaAur Tum Ko Muqabil Paatey Hi Kuch Sharmaana, Kuch Bal KhaanaHumsayoun Kay Darr Se Katraana, Ghar Waloun Kay Darr Se GhabranaRo Ro Kay Tumhein Khat Likhti Hoon, Aur Khud Pardh Kar Ro Lati HoonHalaat Kay Taptey Toufaan Mein Jazbaat Ki Kashti Khayti HoonKaisey Ho, Kahaan Ho, Kuch Tou Kaho, Mein Tum Ko Sadayien Deyti HoonMein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey HoAur Jhaank Kay Meri Aankhoun Mein Beetay Dinn Yaad Dilatey

Kabhi Yaad Aao To Iss TerhaKe Lahoo Ki Saari TamazateinTumhein Dhoop Dhoop Samait LeinTumhein Rung Rung Nikhaar DeinTumhein Harf Harf Mein Soch DeinKe Deyaar-E Hijer Ki TeergiKo Palak Ki Nok Se Noch Lein..Kabhi Yaad Aao To Iss Terha !!!Ke Dil-O-Nazar Mein Sama SakoKabhi Khul Sako Shab-E-Visel MeinKabhi Khoon-E-Dil Mein Sanwar SakoKabhi Had Se Jab Yeh Junoon BerhayTo Hawas Bun Ke Bikher SakoSir-E-Rahguzar Jo Milo KabhiNa Teher Sako Na Guzer SakoMera Dard Phir Se Ghazal BanayKabhi Gungunaao To Is TerhaMeray Zakhm Phir Se Gulaab HonKabhi Muskuraao To Is TerhaMeri Dharkanein Bhi Laraz UtheinKabhi **Tum** Khaao To Is TerhaJo Nahin To Phir Baray Shoq SeSabhi Rabtay Sabhi ZabtayKabhi Dhoop Chaaon Mein Tor DoNa Shikast-E-Dil Ka Sitam KahoNa Suno Kisi Ka Azab-E-JaanNa Kisi Se Dil Ki Galish KahoYun Hi Khush Raho Yun Hi Khush PhiroNa Ujer Sakein Na Sanwar SakeinKabhi Dil Dukhaao To Is TerhaNa Simat Sakein Na Bikher SakeinKabhi Bhool Jao To Is TerhaKisi Tor Jaan Se Guzer SakeinKabhi Yaad Aao To Iss Terha !!!

Gham mujhe hasrat mujhe vahashat mujhe sauda mujheek dil deke khuda ne de diya kya kya mujhehai husul-e-arazu ka raz tark-e-arazumain ne duniya chod di to mil gai duniya mujhekah ki soya hun ye apne iztarab-e-shauq sejab wo aayen qabr par fauran jaga dena mujhesubah tak kya kya teri umeed ne tane diyeaa gaya tha sham-e-gam ek neend ka jhonka mujheye namaz-e-ishq hai kaisa adab kisaka adabapne pay-e-namaz par karne do sajda mujhedekhte hi dekhte duniya se main uth jaungadekhati ki dekhati rah kjayegi duniya mujhegham mujhe hasrat mujhe vahashat mujhe sauda mujheek dil deke khuda ne de diya kya kya mujhehai husul-e-arazu ka raz tark-e-arazumain ne duniya chod di to mil gai duniya mujhekah ki soya hun ye apne iztarab-e-shauq sejab wo aayen qabr par fauran jaga dena mujhesubah tak kya kya teri umeed ne tane diyeaa gaya tha sham-e-gam ek neend ka jhonka mujheye namaz-e-ishq hai kaisa adab kisaka adabapne pay-e-namaz par karne do sajda mujhedekhte hi dekhte duniya se main uth jaungadekhati ki dekhati rah kjayegi duniya mujhe

Ab ke tajdid-e-vafa ka nahi imkan jananyaad kya tujh ko dilayen tera paiman jananyun hi mausam ke ada dekh ke yaad aaya haikis qadar jald badal jate hain insan jananzindagi teri ata thi so tere naam ke haihum ne jaise bhi basar ke tera ehasan janandil ye kehta hai ki shayad ho fasurda tu bhidil ke kya bat karen dil to hai nadan jananavval-avval ke muhabbat ke nashe yaad to karbepiye bhi tera chehara tha gulistan jananaakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh nahirag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jan jananmuddaton se ye aalam na tavaqqo na umeeddil pukare hi chala jata hai janan jananhum bhi kya sada the hum ne bhi samajh rakha thagam-e-dauran se juda hai gam-e-janan jananab ke kuch aisi saji mahafil-e-yaran janansar-ba-zanu hai koi sar-ba-gireban jananhar koi apni hi aavaz se kanp uthta haihar koi apne hi saye se hirasan jananjis ko dekho wohi zanjir-ba-pa lagata haishahar ka shahar hua dakhil-e-zindan jananab tera zikr bhi shayad hi gazal mein aayeaur se aur hua dard ka unvan jananhum ki ruthi hui rut ko bhi mana lete thehum ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jananhosh aaya to sabhi khwab the reza-rezajaise udate huye auraq-e-pareshan janan

Mere sarakash tarane sun ke duniya ye samajhati haiki shayad mere dil ko ishq ke nagmon se nafarat haimujhe hangama-e-jang-o-jadal mein kaif milta haimeri fitarat ko khunrezi ke afasanon se ragbat haimeri duniya mein kuch vaq’at nahi hai raqs-o-nagmen kemera mahbub nagma shor-e-ahang-e-bagavat haimagar ae kash! dekhen wo meri purasoz raton komain jab taron pe nazaren gadakar aasun bahata huntasavvur banake bhuli varadaten yaad aati hainto soz-o-dard ke shiddat se paharon tilmilata hunkoi khwabon mein khvabida umangon ko jagti haito apni zindagi ko maut ke pehlu mein pata hunmain shayar hun mujhe fitarat ke nazzaron se ulfat haimera dil dushman-e-nagma-sarai ho nahi sakatamujhe insaniyat ka dard bhi bakhsha hai qudarat nemera maqasad faqat shola navai ho nahi sakatajawan hun main javani lagzishon ka ek tufan haimeri baton mein rang-e-parasai ho nahi sakatamere sarakash taranon ke haqiqat hai to itni haiki jab main dekhata hun bhuk ke mare kisanon kogaribon ko, muflison ko, bekason ko, besaharon kosisakati nazaninon ko, tadapate naujavanon kohukumat ke tashaddud ko, amarat ke takabbur kokisi ke chithadon ko aur shahanshahi khazanon koto dil tab-e-nishat-e-bazm-e-ishrat la nahi sakatamain chahun bhi to khvab-avar tarane ga nahi sakata