Fasala to hai magar koi fasala nahimujhase tum juda sahi dil se to juda nahiaasman ka fikr kya aasman khafa sahiaap ye bataiye aap to khafa nahikashtiyan nahi to kya hausale to pas hainkah do nakhudaon se, tum koi khuda nahilijiye bula liya aap ko khayalon meinab to dekhiye hamen koi dekhata nahiaaiye chirag-e-dil aj hi jalayen humkaisi kal hawa chale koi janata nahi

Kare badarva aaye chai udasibhigi bhigi palaken hain pyar ke pyasijab se gae ho chod ke hamakodil ko na jane kya ho gaya haiaan milo ab jiya na jalaosavan bhi ab bit chala haiek jhalak to aake dikha jaandhera hai man mein diya to jala jabhulanavale hum ko teriyaad satayede na sake jo chain bhi man koaag lage aise savan komeha barase aansun baraserimjhim mere dip jalaye

Teri bazm-e-tarab mein soz-e-pinhan leke aaya hunchaman mein yad-e-ayyam-e-baharan leke aaya hunteri mahafil se jo araman-o-hasarat leke nikala thawo hasrat leke aaya hun wo araman leke aaya huntumhare vaste ae dosto main aur kya latavatan ke subah aur sham-e-gariban leke aaya hunmain apne ghar mein aaya hun magar andaz to dekhoke apne aap ko manind-e-mahaman leke aaya hun

Ganv mit jayega shahar jal jayegazindagi tera chehara badal jayegakuch likho marsiya masanavi ya gazalkoi kagaz ho pani mein gal jayegaab usi din likhunga dukhon ki gazaljab mera hath lohe mein dhal jayegamain agar muskura kar unhen dekh lunqatilon ka irada badal jayegaaj suraj ka rukh hamari tarafye badan mom ka hai pighal jayegaPoet of the poem or ghazal or Nazam is Bashir Bad

Subah raton mein bikhar jati haisham bahon mein utar jati haidin sulag uthta hai chandan ke tarahraat nagan si lipat jati haikisi gumbad ke sada ke manindfikr ko fikr hi doharati haiqafile se mujhe rahane do alagbheed mein ruh bikhar jati hailajavanti hai kisi shokh ke yaaddil bhi dhadake to simat jati haidoli aankhon ke hai suni “hurmat”neend mahbub (se/si?) sharmati hai

Kya umeed kare hum un se jin ko wafa malum nahigham dena malum hai lekin gham ke dawa malum nahijin ke gali mein umr ganva di jivan bhar hairan rahepas bhi aake pas na aaye jan ke bhi anjan rahekon si aakhir ke thi hum ne aisi khata malum nahiae mere pagal armanon jhuthe bandhan tod bhi doae meri zakhmi ummidon dil ka daman chod bhi dotum ko abhi is nagari mein jine ke saza malum nahi

Kyaa Kah Gaii Kisii Kii Nazar Kuchh Na PuuchhiyeKyaa Kuchh Huaa Hai Dil Pe Asar Kuchh Na PuuchhiyeVo Dekhanaa Kisii Kaa Kunakhiyon Se Baar BaarVo Baar Baar Us Kaa Asar Kuchh Na PuuchhiyeRo Ro Ke Is Tarah Se Katii Raat Kyaa KahenMar Mar Ke Kaise Kii Hai Sahar Kuchh Na Puuchhiye“Akhtar” Dayaar-E-Husn Men Pahunchen To Hain Mar Ke HamKyuun Kar Huaa Hai Tay Ye Safar Kuchh Na Puuchhiye

Kabhi Yaad Aaye To PochnaZara Apni Kahlwat-e-Sham SeKise Ishq Tha Teri Zaat Se???Kise Pyar Tha Tere Naam SeZara Yaad Karo K Wo Kon ThaJo Kabhi Tujhe Bhi Azeez ThaWo Jo Ge Utha Tere Naam SeWo Jo Mar Mita Tere Naam PayK Yehi Wafaoon Ka Hai IslaMagar Aisa Juram Tha Kon Sa???Gai Hum Dua-o-Salam SeNa Kabhi Visal Ki Chah KiNa Kabhi Firaaq Mai Aah KiK Mera Tareeqa-e-BandagiHai Juda Tareeqa-e-Aam Se

Fal-safe ishq mein pesh aaye savalon ki tarahhum pareshan hi rahe apne khayalon ki tarahshishagar baithe rahe zikr-e-masiha lekaraur hum toot gaye kanch ki pyalon ki tarahjab bhi anjam-e-muhabbat ne pukara khud kowaqt ne pesh kiya hum ko misalon ki tarahzikr jab hoga muhabbat mein tabahi ka kaheenyaad hum aayenge duniya ko havalon ki tarahPoet of the poem or ghazal or Nazam: Sudarshan Faaki

Kya khabar thi is tarah se wo juda ho jayegakhwab mein bhi us ka milana khwab sa ho jayegazindagi thi qaid hamen kya nikaloge us semaut jab aa jayegi to khud riha ho jayegadost banakar us ko chaha, ye kabhi socha na thadosti hi dosti mein wo khuda ho jayegaus ka jalva hoga kya jisaka ke parda nur haijo bhi us ko dekh lega wo fida ho jayegaPoet of the poem or ghazal or Nazam: Rustom Sehgal Wafa

Aafat ke shokhiyan hain tumhari nigah meinmehashar ke fitane khelate hain jalwa-gah meinwo dushmani se dekhate hain dekhate to hainmain shad hun ke hun to kisi ke nigah meinaati bat bat mujhe yad bar barkahata hun daud daud ke qasid se rah meinis taubah par hai naz mujhe zahid is qadarjo tut kar sharik hun hal-e-tabah meinmushtaq is ada ke bahot dard-mand theae dag tum to baith gaye ek aah mein

Muqaddar K Sitaron ParZamano K Isharon ParUdasi K Kinaro ParKabhi Veeran Shehron MainKabhi Sunsan Raston ParKabhi Heran Ankhon MainKabhi Bejain Lamhon ParTumhari Yad Chupkay SayKabhi Ser-Goshi Karti HayYeh Palkain Bheeg Jati HainTo Aansoo Toot Girtay HainHam Palkon Ko Jhukatay HainBazahir Muskuratay HainFaqat Itna Hi Kehtay HainMujhay Kitna Satatay HoMujhay Tum Yad Aatay HoMujhay Kitna Rulatay Ho

Kisane wada kiya hai aane kahusn dekho garib khane karuh ko aaina dikhate haindar-o-divar muskurate hainaj ghar, ghar bana hai pahali bardil mein hai khush saliqagi bedarjama saman hai aish-o-ishrat kakhauf dil mein fareb-e-qismet kasoz-e-qalb-e-kalim aankon meinashk-e-ummid-o-bim aankhon meinchashm-bar-rah-e-shauq ke marechand ke intazar mein tarePoet of the ghazal/poem or nazam : Josh Malihabadi

Ye aarzoo hai ki jab bhi gale lagaun usehisar-e-zat se bahar nikal laun usewo jal raha tha kadi dhup ke tamazat meinmila jo ab to odha dunga apni chanv useye ishq bhi hai ajab imtihan-e-ahad-e-vafawo aazamaye mujhe aur main aazamaun usewo shahar shahar chiragan sahi magar ek dinhavayen yaad dilayengi apna ganv usewo apne khwab mein shayad mujhi ko dekhata homain tashnalab sahi sote mein kya jagaun use

“TUM KHAFA KYUN HO?”Tumhen Mujse gila kya hy.??Achanakbe rukhi itni.Batao to hua kya hy.??Manaaun kis tarah tum ko.??Mujhy itna tobatla do.Agar ab ho saky tum se.To ye ahsan farma do.Meri manzil mohabat hy..Mujhy manzil pe pohncha do..Tumhari aankh men aansu..Mujhy achy nhi lagty..Tumhary narm honton pe..“Gily achy nhi lagty”..Tumhary muskurany se..Mera dil muskurata hy..Tumhary rooth