Chaand Sitaaron Se Kyaa Puchhuun Kab Din Mere Phirate HainVo To Bechaare Khud Hain Bhikaarii Dere Dere Phirate HainJin Galiyon Men Ham Ne Sukh Kii Sej Pe Raaten Kaatii ThiinUn Galiyon Men Vyaakul Hokar Saanjh Savere Phirate HainRuupSaruup Kii Jot Jagaanaa Is Nagarii Men Jokhim HaiChaaron KhuunT Baguule Ban Kar Ghor Andhere Phirate HainJin Ke ShaamBadan Saaye Men Meraa Man Sustaayaa ThaaAb Tak Aankhon Ke Aage Vo Baal Ghanere Phirate HainKo_Ii Hamen Bhii Ye Samajhaa Do Un Par Dil Kyon Riijh GayaaTiikhii Chitavan Baankii Chhab Vaale Bahutere Phirate HainIs Nagarii Men Baag Aur Ban Kii Yaaro Liilaa Nyaarii HaiPanchii Apane Sar Pe Uthaakar Apane Basere Phirate HainLog To Daaman Sii Lete Hain Jaise Ho Jii Lete Hain‘Abid’ Ham Diivaane Hain Jo Baal Bikhere Phirate Hain

Mukhara Os Ka Chand Seraat Hai ChandaniMeray Ghar Mein Aa Gie Hai Chanda Ki ChandaniKismat Ke Andehray Khabi Dor Neigh HotaySuraj Ki Roshani Ho Ya Chanda Ki ChandaniPayar Ki Khatier To Kuch Kerna Peray GaKismat Ka Saath Ho Ya Chanda Ki ChandaniOs Ki Khushi Ab Marie Khushi Ke Sang Ho GieChanda Ke Saath Ho Jab Chanda Ki ChandaniChudahvien Ka Chand, Sumendar Ka Shoar ThaLahroun Pe Hama Rakhas Chanda Ki ChandaniOtra Jo Chand Mehfil Mein Ronaq Se Ho GieDewana Bana Deatie Hai Chanda Ki ChandaniDareachay Se Deakh Rahie Thi Ke Jab WahanAangan Mein Pehlie Thi Chanda Ki ChandaniPhir Chup Gay Thay Taray Chanda Ki Oat MeinJab Chand Ne Pehlaie Thi Chanda Ki ChandaniMehsus Ho Raha Hai Tu Meray Ass Pass HaiPehlie Hai Shaied Is Gharie Chanda Ki ChandaniDewana Hai Chokar Saada Chand Ke LeaChand Ka Khumar Hai Ya Chanda Ki Chandani

gai wo bat ki ho guftagu to kyonkar hokahe se kuch na hua phir kaho to kyonkar hohamare zahan mein is fikr ka hai naam visalki gar na ho to kahan jayen ho to kyonkar hoadab hai aur yahi kashamakash to kya kijehaya hai aur yahi gomago to kyonkar hotumhin kaho ki guzra sanam paraston kabuton ki ho agar aisi hi khu to kyonkar houljhate ho tum agar dekhte ho aainajo tum se shahar mein ho ek do to kyonkar hojise nasib ho rozesiyah mera sawo shakhs din na kahe raat ko to kyonkar hohamen phir un se umid aur unhen hamari qadrhamari bat hi puche na wo to kyonkar hogalat na tha hamen khat par guman tasalli kana mane didaedidar ju to kyonkar hobatao us misha ko dekhakar ho mujh ko qararyah nesh ho ragejan mein faro to kyonkar homujhe junun nahi galib wale baqaulehuzurfiraqeyar mein taskin ho to kyonkar hoPoet of the poem/ghazal or Nazam: Mirza Ghali

Ye Duniya Tere Khatir Na Thi ShaayadAy Chaand Tujhe Yahaan Na Aana ThaBekaar Tatolta Raha In Pattharon KoYahaan Mohobbat Ka Phool Na Khil Paana Tha,Khoobsoorat Chehron Ke PichheMakkariyon Ka Ambaar Dekha,Insaaniyat,Pyar, Sachaai Jahaan Bikti HaiHamne Yahaan Wo Baazaar Dekha,Apne Se Nazar Aane WaaleBachpan Saath Bitaane Waale,Mere Umron Lambe Doston KiDosti Or Eitbaar Dekha,Ghar, Daftar, Dukaanon MeMai Soude Baaziyan Jhelta Raha,Mai Karta Raha Viswaas SabparHar Ek Is Viswaas Se Khelta Raha,Bada Eitbaar Tha Jis Chaandni ParWo Bhi Juda Ho Gai,Jara Baadal Kya ChaayeWo Apna Vishwaas Kho Gai,Har Rishte Ki Gehraai MeMeine Daulat Ka Prabhaav Dekha,Milna Milaana To Khoob ThaPar Unme Khushboo Ka Aabhaav Tha.ChaandKoi Mere Dil Se Khelta HaiKoi Mere Desh Se Khelta Hai,Wo Uparwaala Jaane Kahaan Baitha HaiKya Wo Bhi Meri Hi Tarah,Is Jahaan Ki, Makkaariyon Ko Jhelta Hai.

Kaho Woh Chand Kaisa ThaJidhar Sub Kuch Lootaa AayeJidhar Sub Kuch Gawa AayeKaha Sae’lab K Jaisa Buhat Chaha K Bach NikleinMagar Sub Kuch Baha AayeKaho Woh Hijr Kaisa ThaKabhi Choo Kr Usey DekhaTo Tum Ne Kya Bhala PayaKaha Bus Ik Aag K Jaisa, Usey Choo Kr ToApni Rooh Ye Tun Man Jala AayeKaho Woh Wisl Kaisa ThaTumhein Jab Cho Liya Us NeTo Kya Ehsas Jaga ThaKaha Ik Raastey Jaisa , Jidhar Se Bus Guzarna ThaMakaa’n Lekin Bana AayeKaho Woh Chand Kaisa ThaFalak Se Jo Utar AayaTumhari Aankhon Mein BusneKaha Woh Khwab Jaisa Tha ,Nahin Thi Tabeer Koi UskiUsey Ik Shab Sula AayeKaho Wo Ishq Kaisa ThaBina Soche Bina SamjhayBina Parkhey Kiya TumneKaha Titli Ke Rung Jaisa ,Buhat Kachaa Anokha SaJabhi Us Ko Bulla AayeKaho Wo Naam Kaisa ThaJisey Saehrao’n Per Likha TumneKaha Bus Mausamoo’n Ki Tarah, Najane Kis Ghari Kis PalKisi Ro’o Mein Mita Aaye

Pura Dukh Aur Aadha ChandHijr Ki Shab Aur Aesa ChandDin Main Wehshat Behl Gae ThiRaat Hoe Aur Nikla ChandKis Maqtal Say Guzra HogaItna Sehma Sehma ChandYadoon Ki Aabad Gali MainGhoom Raha Hai Tanha ChandMeri Kerwat Per Jag OothayNeend Ka Kitna Kacha ChandMeray Moun Ko Kis Hairat SayDaikh Raha Hai Bhola ChandItnay Ghanay Badal Kay PeechayKitna Tanha Hoga ChandAansoo Rokay Noor NahaeyDil Darya Tun Sehra ChandItnay Roshun Chehray Per BhiSooraj Ka Hai Saaya ChandJab Pani Main Chehra DaikhaTu Nay Kis Ko Soocha ChandBargud Ki Aik Shaakh Hata KerJanay Kis Ko Jhanka ChandBadal Kay Raysham Jholay MainBhour Samay Tak Sooya ChandRaat Kay Shaanay Per Sar RakhayDaikh Raha Hai Sapna ChandSookhay Patton Kay Jhurmat PerShabnam Thi Ya Nunha ChandHaath Hila Ker Rukhsat HogaOos Ki Soorat Hijr Ka ChandSehra Sehra Bhatak Raha HaiApnay Ishq Main Sacha ChandRaat Kay Shayad Aik Bajay Hain

gham mujhe hasrat mujhe vahashat mujhe sauda mujheek dil deke khuda ne de diya kya kya mujhehai husulearazu ka raz tarkearazumain ne duniya chod di to mil gai duniya mujhekah ki soya hun ye apne iztarabeshauq sejab wo aayen qabr par fauran jaga dena mujhesubah tak kya kya teri umeed ne tane diyeaa gaya tha shamegam ek neend ka jhonka mujheye namazeishq hai kaisa adab kisaka adabapne payenamaz par karne do sajda mujhedekhte hi dekhte duniya se main uth jaungadekhati ki dekhati rah kjayegi duniya mujhegham mujhe hasrat mujhe vahashat mujhe sauda mujheek dil deke khuda ne de diya kya kya mujhehai husulearazu ka raz tarkearazumain ne duniya chod di to mil gai duniya mujhekah ki soya hun ye apne iztarabeshauq sejab wo aayen qabr par fauran jaga dena mujhesubah tak kya kya teri umeed ne tane diyeaa gaya tha shamegam ek neend ka jhonka mujheye namazeishq hai kaisa adab kisaka adabapne payenamaz par karne do sajda mujhedekhte hi dekhte duniya se main uth jaungadekhati ki dekhati rah kjayegi duniya mujhePoet of the poem/ghazal or Nazam: Seemab Akbarabadi

Tujhe Chaand Chahiye To Chand DoongaJaan Chahiye To Jaan Bhi DoongaPyar Chahiye To Pyar Doonga MainDil Ka Qaraar Tujhko Main Hi DoongaTere Paas Pass Main RahoongaPyar Chahiye To Pyar Doonga MainTeri Dharkano Mein Rahoon MeinTeri Thandhi Thandhi Aahoon MeinTeri Bahaki Bahaki Sansoon Mein Ma RahoongaTujhe Chaand Chahiye To Chand DoongaJaan Chahiye To Jaan Bhi DoongaPyar Chahiye To Pyar Doonga MaiEk Pyaas Hi Ahsaas Hai Sawal HaiJawab Ki Taslaash HaiAb Ke Liye Ab Jine DoMujhe Zindagi Ko Peene DoMaut Se Milkar Yeh Dil Ab Chikahta Hai Jiney KoAb Bhi Rahoon Mein Bahoon MeinTere Sapnoon Mein Khawaboon MeinTeri Dil Ke Kuch Kahyalo Mein Ma RahoongaTujhe Chaand Chahiye To Chand DoongaJaan Chahiye To Jaan Bhi DoongaPyar Chahiye To Pyar Doonga MainDo Diloon Hai Iss Jahan SeDard Aaya Yeh Kahan SeBhool Bhi Jaoo Pas Aaoo NaKah Sakey Na Aaj Tak JoMujhse Tum Woh Baat Keh DoNa Chuapaoo Maan Jaoo NaMujhko Dil Ka Haal Tum Sunaoo NaTera Tan Mein Jhal Raatoon MeinTere Mann Mein Bhi Baatoon MeinTere Pyar Ki Saugatoon Mein Ma RahoongaTujhe Chaand Chahiye To Chand DoongaJaan Chahiye To Jaan Bhi DoongaPyar Chahiye To Pyar Doonga Main

gaye dinon ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya woajeeb manus ajanabi tha mujhe to hairan kar gaya wokhushi ki rut ho ki gham ka mausum nazar use dhundhati hai har damwo buegul tha ki nagmaejan mere to dil mein utar gaya wowo maikade ko jaganevala wo raat ki neend udanevalana jane kya us ki jee mein aayi ki sham hote hi ghar gaya wokuch ab sambhalane lagi hai jan bhi badal chala rang aasman bhijo raat bhari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya woshikastapa rah mein khada hun gaye dinon ko bula raha hunjo qafila mera hamsafar tha mislegardesafar gaya wobas ek manzil hai bulhavas ki hazar raste hain ahaledil kiye hi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya wowo jis ki shane pe hath rakh kar safar kiya tune mannzilon kateri gali se na jane q aj sar jhukaye guzar gaya wowo hijr ki raat ka sitara wo hamnafas hamsukhan hamarasada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya wobas ek moti si chab dikhakar bas ek mithi si dhun suna karsitaraesham ban ki aaya barangekhayalesahar gaya wona ab wo yadon ka chadhata dariya na fursaton ki udas barkhayun hi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gahara tha bhar gaya wowo raat ka benava musafir wo tera shayar wo tera ‘nasir’teri gali tak to hum ne dekha phir na jane kidhar gaya woPoet of the poem/ghazal or Nazam:Nasir Kazmi

ye kuche ye nilam ghar dilkashi keye lutate hue karawan zindagi kekahan hain, kahan hain muhafiz khudi ke?sanakhwanetaqdisemashriq kahan hain?ye purpench galiyan, ye bekhab bazarye gumanam rahi, ye sikkon ke jhankarye ismat ke saude, ye saudon pe takararsanakhwanetaqdisemashriq kahan hain?ta’affun se pur nimroshan ye galiyanye masali hui adhkhili zard kaliyanye bikati hui khokali rangraliyansanakhwanetaqdisemashriq kahan hain?wo ujale darichon mai payal ke chanchantanaffus ke ulajhan pe tabale ke dhandhanye beruh kamaron mai khansi ke dhandhansanakhwanetaqdisemashriq kahan hain?ye gunje hue qahqahe raston parye charon taraf bhid si khidakiyon parye aawazen khinchate hue aanchalon parsanakhwanetaqdisemashriq kahan hain?ye phoolon ke gajare, ye pikon ke chinteye bebak nazaren, ye gustakh fiqareye dhalake badan aur ye madaquq cheharesanakhwanetaqdisemashriq kahan hain?ye bhuki nigahen hasinon ke janibye badate hue hath sinon ke janiblapakate hue panv zinon ke janibsanakhwanetaqdisemashriq kahan hain?yahan pir bhi aa chuke hain jawan bhitanumand bete bhi, abba miyan bhiye biwi bhi hai aur bahan bhi hai, man bhisanakhwanetaqdisemashriq kahan hain?madad chahati hai ye hawwa ke betiyashoda ke hamjins radha ke betipayambar ke ummat zulaikha ke betisanakhwanetaqdisemashriq kahan hain?zara mulk ke rahbaron ko bulaoye kuche ye galiyan ye manzar dikhaosanakhwanetaqdisemashriq ko laosanakhwanetaqdisemashriq kahan hain?Poet of the poem/ghazal or Nazam: Sahir Ludhianvi