Be noor dhond lake ko sawaira nahin kehte, Dobhe hoe taroon ka seher naam nahin hota.

Dekho Ke Phir Hawaon Ke Tewar Badal Gaye, Sahil Ki Rait Par Koi Kuch Likh Raha Na Ho,

Main apne aap me chupke se laut aata hoon, Kisi bhi simt se jab hauslaa nahin milta..

Koi Hamdard Na Tha, Koi Bhi Dard Na Tha, Phir Aik Hamdard Mila Phir Us Se Dard Mila..

kafiaat chasm iski mujhe yaad hai sooda saaghr ko maray haath say lena kahh chala main

Arsa e umer me kia kia na rutain ain magar, Koi thehri na yahan dard k mosam ki tarah.

Jaane kab kon maar de mujhe qaafir keh ke, Sheher ka sheher musalmaan hua phirta hai..

Roshani le k bahot door khari hai dunia, Muj se kehti hai tere pass to saea bhi nahin.

Zikar us ka hi sahi bazAM me bethe ho faraz, Dard kaisa hi othe hath na dil pe rakhna.

Chale to paon k neche kuchal gai koi shee, Nashe ki jhonk me daikha nahin k dunia hai.

Zabt kehta hai khamoshi me bassar ho jaye, Dard ki zidd hai duniya ko khabar ho jaye..

Tang hota ja raha ha halae yaksaniyat, Kiya inhi pheke dinon me ghot k marna hai muje.

Yeh jo meri jaan gai hai mohabbat mein, Yeh tera sadqa diya hai nazar utari hai…

Na wafaon pe nazar hai na khafaon ka malal, Dil me wo dard wo ehsas kahan hai k jo tha.

Zulam chop chap sahe jao ge akhir kab tak, Ae asiran e qafas mohn me zaban hai k nahin.