hazaaroon laakhon hoobaan main sanam mera chalay yoon kar sitaaroon main chalay joon mahtaab aahista aahista

Teri yaadon ke chirag ab bhi es dil main jaltey hain, Sunoo kisi ko akela kar denay se koi tanha nahi hota..

Bekhudi Le Gayi Kahan Hum Ko Der Se Intezaar Hai Apna Rote Phirte Hai Sari Sari Raat Ab Yehi Rozgaar Hai Apna

Meri aankhon me dard-e-muflisi baqi hai abhi…… Ranj-o-gham, mehr-o-wafa, dillagi baqi hai abhi..!

Kon tha woh jo tha apne shab-o-roz mein gum, Mar gaye jis ki mandderon* pe kabooter mere.. (mandderon;balcony)

Yeh Sangdilon ki duniya hai yahan sunta nahi fariyad koi, Yahan hastey hain log jab bhi hota hai barbaad koi..

Shiddat-e-gham se sharminda to nahin meri wafaa saaqi, Rishte jin se gehre hon, zakham un se gehre milte hain..

Abhi to mil k chalna hai, samander ki musaafat mein Phir aagey chal k dekhein gay, kinaara kon kerta hai…

Gum Sum Ankhen,Sooni Saansen,Toot’Ti Jurti Umeedain? Darta Hun Yun Kese Katey Gi *Umar* Hai Koi Raat Nhi?

Maine chaha tha smaitoon aik bikhrey shakhss ko, Kitne tukrron mein najane zaat meri batt* gayi.. (batt;divide)

Mohabbat Ko Koi Samjhy To Aakhir Kis Tarha Samjhay, Yah Zaalim Inteha Tak Ibteda Maloom Hoti Hai……

Tere hath se mere hath tk, wo jo hath bhr ka tha fasla. Usy napty usy kat’ty mri sari umr guzr gai…!

Talb-e-dard mein dil hadh se guzarta kab tha, Tum ne poocha tha ke aur, us ne kaha aur sahi.. Jameel ul Din Aali

Tumhara kia hy tumhey tu bas bazi sy taluq hy wajbi sa ye khail hy meri zindagi ka, ka mera jo kuch hy dao par hy

Nafrato’n k tamacho’n ne mujy diya hai ye sabaq.. .. Azeem jurm hai insan ka insan se mohabbat krna..