Koi aisa gehra dukh bhi nahi Jisay dukh samnjhoo’n Aur tum se kahoo’n Bus Yunhi Chup Ho Jata Hoon Kisi ujray ghar ki mamti per Jab sham dhalay Kisi cheel ko sir nehuwrraye huay mein paata hoon Kho jata hoon Tum poochtay ho : Koi dukh tou nahi? Mein aik nazar tumhain dekhta hoon Aur kehta hoon Koi aisa gehra dukh bhi nahi jisay dukh samjhoo’n Aur tum se kahoo’n Jab dekhta hoon aisa manzar Mein maazi mein kho jaata hoon Bus Yunhi Chup Ho Jata Hoon. . !

Dil Ki Masoom Ragai?n Toot?ti Hain Yaad Itna Bhi Na Aaye Koi

jahal hurd nay dn ya dikhaaya ghat gaya insaan barh gya saaya

Bari masom si apnaiyat thi, Wo muj se roz jab milta nahin tha.

Sirf halaat hi nahin badle, Hauslon main bhi kuch kami si hai..

Aik tum hi na Mill sakey werna Millny waly Bichar Bichar k milly

Gar mohabbat ki hadh naheen koi, Dard ka bhi hisaab kyon rakhoon..

Haal anjaam-e-ishq kya kahiye, Ab to hum bhi lage hain pachtaaney..

Khud Ko Khonay Ka Bhee Pata Na Chala, Osko Paanay Ki Intehaa Kardi..

Nahi Ishq Ka Dard Lazzat Se Khaali, Jissay Zouq Ha Wo Maza Janta Hai.

Ghanimat hai k is dard e hawas me, Tera milana bahot dushwar bhi hai.

Lo phir meri neend ka imtehaan, Iss baar bhi khabon mai layengi aapko.

Ab sanwarty raho bla se meri, Dil ne sarkar khud-kushi kr li…!!!

Zolam kar k wo sub se pochata hai, Is tarah dil ka sakhan bhi hai koi.

Dard ka hai yeh kaun saa mausam, Main to jalne laga hoon chaaon mein..