Lagta hai ik baar phir mohabbat ho hi jaye gi, Raat phir khawb main khud ko marte dekha hai..

Haan haan nahi hai kuch bhi mere ikhtiyar mein, Haan haan wo shaks mujhse bhulaya nahi geya..

Ham Ne Kanton Ko Bhi Bari Narmi Se Chua Hai, Log Kitny Bedard Hain Pholon Ko Masal Dety Hain..

Dil tujh se bicharr kar bhi kahan jaye ga aye dost, Yadon ke khilone se behel jaye ga aakhir..

Hai shoq-e-safar aesa ke ek muddat se hum ne, Manzil bhi nahin paayi, aur rasta bhi nahin badla..

Aye maut tu aa ja ke shidat say tera intazar hai, Ke zindagi jeenay ko ab hamara dil nahi karta..

Badnam kerty haan loog humain jinkay naam say, Khuda kasam jee bhar kay dykha bi nai humnay ussy..

Roti khareed laya hoon mein khoon bech kar, Ae mufti e sheher bata yeh mujhper halal to hai…

Phir jaag utha hai dil mein puraney dinon ka dard, Jee chahta hai ke phir koi taaaza ghazal likhoon..

Agar maaloom hota ishq yun majboor kar day gaa?, Bohat pehlay hee iss aafat sey tauba kar chukay hotay?!

Zindagi mein log dukh k siwa de bhi kya saktey hein Marney ke baad do gazz kafan detey hein wo b ro ro k.

Tehreer me simat’tay hain kahan dilon k dard, behla raha hun khud ko zara kaghazon k sath..! —

Shidat-e-Dard say Sharminda Nahe meri wafa GHALIB, Jin say Rishtay Gehry hoon Wo Zakham bhe Gehry dety hen

Akaila raat bhar tarpa mareez e shaam e gham saqi Na tum aaye na neend aai na chain aaya na moat aai…

Dard mei koi Mausam pyara nahi hota , Dil ho pyasa to pani se guzara nahi hota , koi dekho to zra meri ye bebasi faraz …, Hum sbhi k ho jaty hain koi hmara nahi hota