Jo burai thi mere naam se mansoob hoi, Dosto kitna bura tha mera acha hona.

Aur bhi kar deta hai dard mein izaafa, Tere hotey huye sab ka dilaasa dena..

Chalti hai abb to sans bhi iss ehtiat se, Jiase guzar rahi ho kisi pul sirat se.

Doston se bichra hua parinda dekh kar, Bojh dil ka lag raha hai kis qadar halka mujhe..

Phir uss ke baad zamane ne mujh ko rond dala, Main gir parra tha kissi aur ko uthaate huye..

Wo jo geet tum ne suna nahin meri umer bhar ka riaz tha, Mere dard ki thi wo dastan jise tum hansi me ura gae.

Ruthi Si Zindagi ko Manana To Aata Hai, Logon ko Hasana To Aata Hai, Kya Hua Jo Na Bas Sake Kisi Ke Dil Mein, Logon Ko Apne Dil Mein Basana To Aata Hai.

Mohabbat bheek hai shayed, Bari mushkil se milti hai..

Dard mene kamaa liye kaafi, Zabt ki abb zakaat wajib hai..

Mer Zindagi Sulgi Aag Hai Kabhi Jal Gayi Kabhi Dhuan Dhuan;

Dard bhi iss tarah se hota hai, Jese phir dard hi naheen hona..

Raat ke pichley peher uthataa hai, Dard-e-dil tahajjud guzaar ho jese..

Kion hath me tere pathar nazar aea, Diwana agr tha to me dunia k lie tha.

Ik mohabbat ka mashghala le ker Zindagi khoob phir tabah ki hum ne…

Tota hai zor taiz hawaon ka akharash, Ye aur bat kitne parindon ke par gae.