Ajj Phir Totaain Gi Teray Ghar Ki Nazuk KhirkiyanAjj Ek Deewana Teray Shahar Mein Dekha Gaya

Shola-e-husn sey jal jaye na chehray ka naqaab.. Apney rukhsar sey pardey ko hataye rakhiye!

Hum na hoty to kisi aur k charchay hoty, , Khalqat-e-duniya tou kehny ko fasanay mangay. . !

Woh mere sath hi rehta hai jahan tak jaaon, Main hoon daryaa to hai woh shakhs kinara mera..

Jiss umar main aqal aati hai amooman*, Hum us umar mein, ishq kar bethey.. (amooman;usually)

Haan, Haan, Main Ishq, Sari Khatayen Meri, Mujhy Nibhaany Walo, Tum To Sb Farishty Ho…

Meh-kadey band kar dain lakh zamaney waley, Sheher mein kam nahin aankhon se pilaney waley..

Pehli Mulaqaat Thi Aur Hum Dono He Be Bass Thay Wo Zulfain Na Sambhal Paye Aur Hum Khud Ko ..

ay hasrat e deedar ye kaya raaz ha akhir… wo samne ate hain to dekha nahi jata ….

Ajj Phir Totaain Gi Teray Ghar Ki Nazuk Khirkiyan Ajj Ek Deewana Teray Shahar Mein Dekha Gaya

Bichar gaye to milain gay hum donon ek baar, Ya is bastee duniya main iskay hadood say paar..

Tu mere samne betha hai aur mein sochta hoon, Ke aatey lamhon mein jeena bhi ik sazaa ho ga..

Ek Din Mere KinaroN meiN Simat Jayegi, Thehre Paani Si Khamosh Mohabbat Uski…….!

Is sey barh ker meri koi chahat nahi.. Tu meray samney ho aur mein tujhey dekha kar’on!!

Aayiney ki aankh hi kuch kam na thi mere liye, Jaaney ab kya kya dikhaaye ga tumhara dekhnaa..