Mohabat khud batati hai Kahan kiska thikana hai Kisay aankhon main rakhna hai Kisay dil main basana hai Reha karma hai kisko aur Kisay zanjeer karma hai Mitana hai kisay dil say Kisay tehreer karma hai Issay malom hota hai Safar dushwar kitna hai Kisi ki chasm-e-girya main Chupa iqrar kitna hai Shajar jo girnay wala hai Wo saya daar kitna hai Mohabbat khud batati hai Kahan kiska thikana hai..!

Phir Aaj Koi Ghazal Usk Naam Na Ho Jaye Aaj Kahin Likhte Likhte Sham Na Ho Jaye Kar Rahe Hain Intezar Usk Izhar-e-Mohabbat Ka Isi Intezar Mien Kahin Sham Na Ho Jaye Nahi Laite Hain Uska Naam Sar?e Aam Is Darr Se Kahin Naam Uska Badnamam Na Ho Jaye Mangtay Hain Dua Jab Wo Yaad Atay Hain K Judai Mere Pyar Ka Anjam Na Ho Jaye Sochte Hain Aksar Darte Hain Tanhai Mien Usk Dil Mie Kisi Aur Ka Mukam Na Ho Jaye

Aisa nahi K Tujh Se Muhabat Nahi Humain Ghum Roz Roz Sehny ki Aadat Nahi Humain Har Bar Tere Samne Sar Ko Jhoka Liya Aur Phir Bhi Dekh Tujh se Shikayat Nahi Humain Tu Aitebar kar k Tujhe Chahate Hain Hum Tery Siwa Kisi Ki Bhi Chahat Nahi Humain Hum Jante Hain Tum Tanha Nahi Hamary Bin Auron se Pochne ki Zarorat Nahi Humain Kese Rahen Gay Bin Tere Ab Baat Maan lay Tery Bagair Rahene ki ab Aadat Nahi Humain

Jazbaat behkete hain jab tumse milta hu, Armaan machalte hai jab tumse milta hu Saath hum dono ka koi bardasht nahi karta, Sab humse jalte hai jab tumse milta hu Ankho se tum jaane kya kya keh deti ho, Toofan se chalte hain jab tum se milta hu Haatho se hath milte hain hotho se hoth Dil se dil milte hain,jab tumse milta hu Aaho me beh jaati hai tanhai ki har raat, Kai shikve dil me rahte hain jab tumse milta hu

اُس موڑ سے شروع کرتے ہیں بھر یہ زندگی
ہر شے جہاں حسین تھی ہم تم تھے اجنبی

Husn walun k chehray par kya lagti hyn aankhyen anil sidha rasta bana deti hyn dil k aangan ka inteha kardyengay sari rasmyen tor dyengay hum Anil tumhyen chaha hy jab say hamyen phr koi haad nazar nhn aai yeh mausam bhi kya mausam hyn tum bin Anil hamari bahar to tab hoti hy jab tum samney aatey ho unhyn daikhtey he laboon pay muskan aankhon me ajab say nasha chah jata hy Anil hum to bus jhoom rahey thay deedar e yaar k bad par log humyn sharabi samjh baithe

Tu jo aa jaaye to is ghar ko sanwarta dekhu Ek muddat se jo veeraan hai wo basta dekhu..!!! Khawab bankar tu bahta rahe jannat ke jharne Aur bas mai isi mausam ko nikharta dekhu..!!! Jis’se milna nahi us’se mohabbat kaisi Sochata jaau magar dil mein utarta dekhu..!!!! Dil gayaa tha to ye aankhen bhi koi le jaata Mai faqat ek hi tasveer kahan tak dekhu..!!!! Chand lamhe jo tere Ishq ke mil jaate hain In hi lamhon ko mai sadiyon mein badalta dekhu..!!!!

Mila wo bhi nahi kerte, mila hum bhi nahi kerte Bewafai wo bhi nahi kerte, bewafai hum bhi nahi kerte UnhAin ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka dukh hai gila wo bhi nahi kerte, gila hum bhi nahi kerte Gali k kisi morr pe akser takrao ho hi jata hai ruka wo bhi nahi kerte, ruka hum bhi nahi kerte Unhain jab dekhte hain sochte hain kuch kahain un se suna wo bhi nahi kerte, kaha hum bhi nahi kerte Humain wo dekhte hain, unhain hum dekhte hain raha wo bhi nahi kerte, raha hum bhi nahi kerte.

ﺧﺪﺍ ﻧﮯﺻﺒﺮ ﮐﺮﻧﮯﮐﯽ ﺗﻮﻓﯿﻖ ﮨﻤﯿﮟ ﺑﺨﺸﯽ ﮨﮯ
ﺍﺭﮮ ﺟﯽ ﺑﮭﺮ ﮐﮯ ﺗﺮﭘﺎﺅ ﺷﮑﺎﯾﺖ ﮐﻮﻥ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ۔

Meri Ankon Ke Smndar Men Jalan Kaisi Hai Phr Dilko Tarpne Ki Lagan Kaisi Hai Barf Ke Rup Men Dhal Jayege Ristey Mujse Pucho Mohabbat Ki Agan Kaisi Hai! Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahin Ab Tere Shehar Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hai Mein Tere Wisal Ki Khuwahish Ko Na Marne Doonga Mausam-E-Hijar Ke Lehje Mein Thakan Kaisi Hai Regzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida Us Ki Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai Mujhe Masoom Si Pagal Larki Pay Taras Ata Hai Usey Dekho To Muhabbat Mein Magan Kaisi Hai

kis ko bataye kaya hai mohbbat kaya ye wafa hai Eak dard hi musalsal es pyaar ka silsila hai roke roke na jazbein hamare choty se dil main kitna tofa hai leke ham jai ye pyaar ab kaha es rishty ka bas naam hi rah gaya hai mohbbat k naam se darta hai ye dil pyaar kerna bas eak saza hai kitne hai tanha ham kitne adore k gham ke seiwa na kuch bhi mila hai koi kisi ka hota nahi hai ye pyaar na ab phele jaisa hai Kanta na hota, toh phool ki hefazath na hoti, Andhera na hota,to roshini ki zarurath na hoti, Agar mil jati har khushi duniya me, Toh dil ki mulaqath dard se na hoti

Tumhein soch-soch kar, tan mein jagi aungdayee Kaisi-kaisi aithan jagi, aag lagaye bahki purwayee; Kitna najuk pal hai yeh, jab tum hi tum dikhti ho Chahat ke changul mein fans, pighle yeh garmayee. Najar-najar ka khel hai yeh, najron nein aag lagayee Ras-Ras boondein tapak rahi, hothon ki hai badhayee; Gaal-gulala- kamal se chikne, chchuwan se ho fislayee Chehra chaand sa lagne lage, roshani faila jab muskayee Sach boloon to jab tum aati ho, mujhe achcha lagta hai Khul khayal khilne lagte hain, armanon ki rang-rangayee; Aas-pass sab jaanch-jaanch, tum aanch-aanch aungnayee Bandhan mein chandan sa lagta, jaise jism-jism amrayee.

ﺁﺗﯽ ﮨﮯ ﭼﺎﮨﺘﻮﮞ ﮐﯽ ﮐﮩﺎﻧﯽ ﭘﮯ ﺍﺏ ﮨﻨﺴﯽ
ﺗﻢ ﺳﮯ ﺑﭽﮭﮍﮐﮯ ﺳﻮﭺ ﮐﮯ ﺭﺥ ﮨﯽ ﺑﺪﻝ ﮔﮱ
ﺍﺏ ﺗﻢ ﮐﻮ ﺩﯾﮑﮫ ﮐﮯ ﺑﮭﯽ ﺩﮬﮍﮐﺘﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﮯ ﺩﻝ
ﺗﻢ ﻭﮦ ﻧﮩﯿﮟ ﺭﮨﮯ ﯾﺎ ﻣﯿﺮﮮ ﺩﮐﮫ ﺑﺪﻝ ﮔﮱ

جو محبت میں درد پاتے ہیں
انکے دل میں خدا آتے ہیں
سوچ کر ہم کچھ نہیں کہتے
جو دل میں ہے، کہہ جاتے ہیں
بھیڑ ہم سے دور جاتی ہے
اور ہم تنہا رہ جاتے ہیں
چاند سنگ دو قدم چلکر
بیتے دن ہم کو یاد آتے ہیں

ﻭﮦ ﺁﭨﻮ ﮔﺮﺍﻑ ﺑُﮏ ﮐﯽ ﺑﺠﺎﺋﮯ ﮈﺍﺋﺮﯼ ﻟﮯ ﺁﺋﯽ ﺍﻭﺭ ﮐﮩﺎ
‘ﮐﭽﮫ ﻟﮑﮭﯿﺌﮯ ﺟﻮ ﯾﺎﺩ ﮔﺎﺭ ﮨﻮ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ !!
ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﮐﻮﺭﮮ ﮐﺎﻏﺬ ﮐﻮ ﮐﻮﺭﺍ ﭼﮭﻮﮌ ﮐﺮ
ﺳﺐ ﺳﮯ ﻧﭽﻠﯽ ﺳﻄﺮ ﭘﺮ ﺍﭘﻨﮯ ﺩﺳﺘﺨﻂ ﮐﺮ ﺩﯾﺌﮯ
ﺍﻭﺭ ﺳﺎﺗﮫ ﻟﮑﮭﺎ
ﺟﻮ ﺑﮭﯽ ﺍﻭﭘﺮ ﻟﮑﮫ ﺩﻭ ﻣﯿﮟ ﺍﺱ ﺳﮯ ﻣﺘﻔﻖ ﮨﻮﮞ
ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﺧﻮﺩ
ﺗﯿﺮﮮ ﻓﯿﺼﻠﮯ ﮐﺎ ﻣﻨﺘﻈﺮ ﮨﻮﮞ۔ـ