Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun, Na Kisi Ke Dil Ka Karaar HunKisi Ke Kaam Na Aa Sake, Main Wo Ek MushteGubaar HunMera RangRoop Bigad Gaya, Mera Yaar Muzse Bichhad GayaJo Chaman Khiza Se Ujad Gaya, Main Usi Ki FaslleBahaar Hun

HarfESada Jise Samjha Wo To Paheli NikliMeri Dushman Mere Bachpan Ki Saheli NikliJaane Kya Baat Thi,Kaunsi Waje Thi JoBhaai Ghar Par Aur Behen Ghar Se Akeki NikliBichde Log Achanak Mere Apne HogaeMere Naam Jab Buzrugoan Ki Haweli Nikli

Tum Se Meri Bat Hoi ThiTum Ne Mujh Ko Samjhaya ThaApni Zaat Se Bahar NikloGhar Ko Lauto, Ghar Ko DekhoAur Bhi Log Tumhare Dam Se Zinda HainTum Main Apni Sari KhushiaanDekh Rahe HainSoch Liya HaiDekh Liya HaiLaut Aaya HonLekin Mere Andar Koi Tot Gaya Hai

Badi Gahri Udasi Hai,Mohabbat Aaj Pyasi Hai,Gar Ulfat Kuch Bhi Baaki Hai To Mujhse Milne Aa JaoJab Tere Yaad Aati Hai To Ek Tufaan Laati HaiMager Tumko Nahi Laati Ye Khaali Hath Aati HaiMeri Ujadi Muhabat Per Kabhi Khushiya Mana JayoGar Ulfat Kuch Bhi Baaki Hai To Mujhse Milne Aa Jao

Wo Mujhse Meri Udasion Ki Waja Pochta He,Kaisa Pagal He Dhalti Rat K Sannate Ki Wajah Pochta Hai,Wo Mujhse Meri Barsati Aankhon Ki Waja Pochta Hai,Kaisa Pagal Hai Barish K Barasne Ki Wajeh Pochta Hai,Wo Mujhse Meri Pasand K Bare Me Pochta Hai,Kaisa Pagal Hai Khud Apne Bare Main Pochta Hai

Nishan Tak Na Milenge Meri Wafa K Use,K Maine Rah Badl Di Hay Aazma K Usy!Kbhi Na Harf Koi Uski Sadgi Ka Khula,Warq Warq Parha Maine Dil Laga K Usy!Jo Sab Ka Haal Hua Tha Wo Mera Haal Hua,Bani Na Baat Koi Bat Bhi Suna K Usy!Mjhy Yaqeen Hy Wo Laut Kr Bhi Aega,Magr Udaas Hu Ab Raasta Dikha K Usy!

Tum Udaas Na HonaZindagi Ki Rahoon MainOonch Neech Hoti HaiFaslay Bhi Berhty HainChahtain Bhi Lutti HainRaet Ke Toofanon MainSansain Bhi Rulti HainYeh Bhi Aain Mumkin HainAaj Hum Ikhathay HainKal Ko Saath Hoon Na HoonChahe Kuch Bhi Hoo Janaan!!Hosloon Ko Na KhonaBe Wajah Bhi Na RonaTum Udaas Na Hona

Beetay Huwe Dinon Ko Bhulaya Nahi JataJo Roo Rahay Hon Unko Rulaya Nahi JataHasnay Walon Ko Rulana Aasan HaiLekin Ronay Walon Ko Kabhi Hasaya Nahi JataApno Or Geroon Ko Bhulana Asaan Hai LekinDil Todnay Walay Ko Bhulaya Nahi JataUmeed Ban Ke Log Zindagi Mai Atey HainKhawab Ben Ke Ankhon Mai Sama Jate Hain

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi MujheIs Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi MujheMain Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay DouUs Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi MujhePathar Samajh Kar Paonâ Se Thokr Laga DiaAfsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi MujheKya Umedein Baandh Kar Aaya Tha SamnayUs Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe…!!!

Kahiin Aisaa Naa Ho Daaman Jalaa LoHamaare Aansuon Par Khaak DaaloManaanaa Hii Zaruurii Hai To Phir TumHamen Sab Se Khafaa Hokar Manaa LoBahut Ro_Ii Hu_Iin Lagatii Hain AankhenMerii Khaatir Zaraa Kaajal Lagaa LoAkelepan Se Khauf Aataa Hai Mujh KoKahaan Ho Ai Mere Khvaabon KhayaalonBahut Maayuus Baithaa Huun Main Tum SeKabhii Aakar Mujhe Hairat Men Daalo(Liaqat Ali Asim)

Tum Apna RanjOGhum Apni Pareshaani Mujhe De Do Tumhe Ghum Kii Kasam Is Dil Ki Viiraani Mujhe De Do Ye Mana Main Kisi Kaabil Nahin Hun In Nigahon Men Bura Kya Hai Agar Ye Dukh Ye Hairaani Mujhe De Do Main Dekhun To Sahi Duniya Tumhen Kaise Satati Hai Koi Din Ke Liye Apani Nigahbani Mujhe De Do Wo Dil Jo Maine Manga Thaa Magar Ghairon Ne Paya Bari Kaif Hai Agar Usaki Pashemani Mujhe De Do

Jaagti Raat K Honton Pe Fasaney JaisyEk Pal Men Simat Aaye Hon Zamany JaisyAqal Kehti Hai Bhula Do Jo Nahi Mil PayaDil Wo Pagal K Koi Baat Na Maany JaisyRaasty Men Wohi Manzar Hen Puraany Ab TakBus Kami Hai To Nahi Log Puraany JaisyAaina Dekh K Ehsas Yehi Hota HaiLe Gaya Ho Waqt Umron K Khazaany JaisyRaat Ki Aankh Se Tapka Hua AansuMakhMali Ghaas Pe Moti K Hon Daany JaisyShare By : Asim Aslam

Kitna Pyaar Diya Usse Par Mila Kuch Bhi Nahi,Itni Gehri Chahat Ka HasilOHasool Kuch Bhi Nahi,Woh Humse Khafa The To Jaan Nikal Gayi Thi Hamari,Hum Unse Khafa Hai To Unko Malaal Kuch Bhi Nahi,Is Kadar Dukh Diye Hai Na Jaane Kis Khata Par,Par Hum Bhi Sabar Kar Gaye Aur Kiya Sawal Kuch Bhi Nahi,Uski Khushi Mein Hansne Wale Khaas Hai Uske Liye,Dukh Mein Uske Saath Hum, Hamari Misaal Kuch Bhi Nahi..!!!

Kuch Khood B They Afsurda Se,Kuch Tum B Hum Se Rooth GayeKuch Khood Hi Zakhm K Aadi The,Kuch Sheeshey Haath Se Choot GayeKuch Khood B They Hassas Boht,Kuch Apne Muqaddar Rooth GayeKuch Tum Ko Such Se Nafrat Thi,Kuch Hum Se Na Bole Jhoot GayeKuch Logo Ne Uksaya Tumhein,Kuch Apne Muqaddar Phoot GayeKuch Khood Itne Mohtat Na They,Kuch Log B Hum Ko Loot GayeKuch Talkh Haqaa’iq They Itne,K Khuwab Hi Sarey Toot Gaye

Hothon Pe Hasi Dekh Li,Dil Ke Andar Nahi Dekha,Yaaro Ne Mere Gam Ka Samundar Nahi Dekha,Kitni Haseen Hai Duniya Ye Dekha,Hai Apne Mar Mar Ke Jeenewalo Ka Manzar Nahi Dekha,Sheeshe Ka Makaan Tumne Bana To Liya Ae Dost,Lekin Waqt Ke Haath Ka Pathar Nahi Dekha,Rishto Ke Tootne Ka Dard Aap Kya Samjhe,Vo Lamha Kabhi Aapne Jee Kar Nahi Dekha,Bhatke Roshni Ki Talaash Mein Na Jaane,Kaha Kaha Afsos Ki Apni Rooh Ke Andar Nahi Dekha…!!!