Hazaar Iss Dil Ko Samajhaya …Udaasi Kam Nahi Hoti,Kabhi Sab’hon Ne Bhule Se Agar Khushi Dedi,Bahut Shaamo Ne Tadpaya …Udaasi Kam Nahi Hoti,Mujhe Izhaar Ki Surat Koi De De Mere Maula,Agar Na Lab Khule …Udaasi Kam Nahi Hoti,Shikasta Hi Sahi Daman Main Nanhi Si Khushi Tou Ho,Jab Aansoo Hi Ho Sarmaya …Udaasi Kam Nahi Hoti,Mere Pehloo Main Lakhon Gham Bhi Aksar Soye Rehte Hai,Yeh Kaisa Saaniha AyaaUdaasi Kam Nahi Hoti…

Udaasiyon Ka Ye Mausam Badal Bhi Sakta ThaUdaasiyon Ka Ye Mausam Badal Bhi Sakta ThaWoh Chahta To Maray Sath Chal Bhi Sakta ThaWoh Shakhs Tu Nay Jisay Chhornay Main Jaldi KiTeray Mizaaj Ke Saanchay Main Dhal Bhi Sakta ThaWoh Jaldbaz Khafa Ho Kar Chal Diya WarnaTanazeaat Ka Koi Hal Nikal Bhi Sakta ThaAnaa Nay Hath Uthanay Nahi Diye WarnaMeri Duaa Say Wo Pathar Pighal Bhi Saktha ThaTamaam Umer Tera Muntazir RahaYe Aur Baat Ke Raasta Badal Bhi Sakta Tha

Ajh Karna Hai Ousey Rukhsat Mujh KoJis Say Bey Andaza Muhabat Hai Mujh KoOusey Chor Kay Jaaun Toh Jaun KeiseyDarr O Diwaar Say Ho Gai Vehshaat Mujh KoMain Kay Na Qais Na Majhun Na Farhaad HuwaNisbat E Ishq Say Hui Nadamat Mujh KoMain Toh Ousey Rag E Jaan Samjhey Huwa ThaKia Samjha Tha Kitni Hai Hairat Mujh KoWoh Samney Hai Aur Aur Mera Takhaiyurr DekhooWoh Na Bhi Hho Toh Samjhe Chashm E Hairat Mujhy KoMer Khawab Meri Ankhain Bhi Liye Jatey HoDey Kay Ik Umar Ki Fursaat Mujh Ko

Perh Bhi Na Paeay Thay K Wo Mit Bhi Gaee ThiBijlee Nay Ghataon Pe Jo Tehreer Likhi Thi Lehratay Howay Aey Thay Wo Aman Ka PerchamPercham Ko Uthaey Howay Nazay Ki Ani Thi Du Bay Howay Taron Pe Mein Kya Ashk BahataCharhtay Howay Soraj Say Meri Ankh Lagi ThiIs Waqat Wahan Dhouwan Koun Dekhnay JaeyAkhbar Mein Perhlein Gay Kahan Aag Lagi Thi Shabnam Ki Travish Say Bhi Dhukta Tha DilEZarKali Ghataon Ko Barasnay Ki Perhi Thi Palkon K Sitaray Bhi Uralay GaeyWo Dard Ki Andhi K SarESham Chali Thi

aj to be sabab udas hai jeeishq hota to koi bat bhi thijalata phirata hun kyun dopehron meinjane kya cheez kho gai meriwaheen phirata hun main bhi khak basaris bhare shahar mein hai ek galichupata phirata hai ishq duniya sephailati ja rahi hai rusvaihamnashin kya kahun ke vo kya haichod ye bat nind udane lagiaj to vo bhi kuch khamosh sa thamain ne bhi us se koi bat na keek dam us ke hath chum liyeye mujhe baithe baithe kya sujhitu jo itana udas hai ‘nasir’tujhe kya ho gaya bata to sahi

Rangat Terii Zulfon Kii Ghataaon Ne ChuraaiiKhushbuu Tere Aanchal Se Havaaon Ne UdaaiiPaimaane Kaa Dil Tuut Na Jaaye To Kahuun MainHai Chiiz Gazab Kii Jo Nigaahon Ne PilaaiiQaidii Terii Zulfon Kaa Hai Aazaad Jahaan SeMujh Ko Ye Rihaaii To Sazaaon Ne DilaaiiMaanaa Kii Bahaaron Ne Khilaayaa Hai Gulon KoUlfat Kii Kalii Dil Men Vafaaon Ne KhilaaiiThamTham Ke Barasanaa Kabhii JhamJham Ke BarasanaaSaavan Ko Adaa Ye Mere Ashkon Ne SikhaaiiManzil Pe Pahunch Kar ‘Nasiim’ Ehasaas Huaa HaiJis Raah Se Pahunchaa Ye Khataaon Ne Dikhaaii

Dakho Aik Laash Pari HayLahu Me LithriKhaak AludaBikhri BhikriGhair Ya ApnaKon Hay JaneAao Dekhein Or PehchanienNaqsh Mita Daly Goli NeRangat Khoon Me Doob Gai HaiJaib Tatolo Kia Rakha HayYe Do Khoon Se Tar Gajray HainDas Das Kay Do Note Rakhe HainHaath Jo Neechy Daba Hua HayIs Ki Sakht Garift Me Kia HayShayad Hay School Ka BastaYe Ek Parcha HayKhat Hay ShayadTooti Phooti C Urdu MeRangeen Pencil Kay Rango Se Likha Hua HayAj Jo Bhoolay Basta MeraKatti Ho Jaye Gi App SeToffee Or Biscuit Bhi LanaPeyare Abbu Jaldi Ana!Piyary Abu Jaldi Ana!

Udaas Chand Khulay Paaniyon Mein Chhorr GayaWoh Apna Chehra Mere AansuOn Mein Chhorr GayaHawa K Jhonkay Se Larzi Thi Aik ShaakhEGulKissi Ka Dhayaan Mujhe KhushbuOn Mein Chhorr GayaGalay Milay Thay Muhabbat Ki Taiz Dhoop Mein HumYeh Kaun Urrtay Huay Baadlon Mein Chhorr GayaYeh Kiss Ne Hum Ko Sajaya Geeli Mitti SePhir Is K Baad Ghhani Baarishon Mein Chhorr GayaSafar K Pehlay Parraao Mein Marnay Wala ShakhsAjeeb Khauf Humaray Dilon Mein Chhorr GayaIs Ehtamaam Se Bikhray Huay Hain Phool HASSANNishani Jaisay Koi Raaston Mein Chhorr Gaya..!!

Tadapna Sikha Hai Humne Gumoo Ke Muskurane SeKhushi Ke Ek Aansoo Se Kabhi Pareshan Rato SeJo Rate Kat Gai Hain Vo Hume Sone Nahi DetiKi Ab Jugne Lage Hain Hum Chiragoo Ke Bhujhane SeBana Di Raushni Ne Vo Andhera Jindgi ApniJo Ab Badhta Hi Jata Hai Sahar Ke Muskurane SeAndhero Me Chupa Lete Hain Khud Ko Kuch Nahi KahteKi Ab Darne Laga Hai Dil Sare Bajar Batoo SeKisi Ki Kya Khata Thi Jo Kabhi Hum Dekh Na PayeHumari Baanh Ka Saya Kisi Anjan Baanho MeYahi Hai Reet Duniya Ki Hume Maloom Na Tha KuchKi Ab Aane Lagi Hai Sharm In Besharm Baanho Pe

Kitni Mushkil Se Kati Kal Ki Meri Raat Na PoochDil Se Nikli Hui Honton Me Dabi Baat Na PoochWo Kis Adaa Se Merey Saamnay Se Guzraa AbhiKis Tarha Mainay Sambhaley Merey Jazbaat Na PoochWaqat Jo Badley To Insaan Badal Jaatey HainKya Nahi Dikhlaatey Yeh GardishEHalaat Na PoochWo Kisi Ka Ho Bhi Gaya Or Mujhey Khabar Na HuiKis Tarhan Usney Chudaya Hai Mujh Se Haath Na PoochIs Tarhan Pal Mein Mujhay Begana Kar Diya UsnayKis Tarhan Apno Se Khaai Hai Mainey Maat Na PoochAb Tera Pyaar Nahi Hai To Sanam Kuch Bhi NahiKitni Mushkil Se Bani Thi Dil Ki Kayenaat Na Pooch

Ye Akaylay Paan Ki Udasiyaan, Ye Firaq Lamhay Azab SayKabhi DashatEDill Pay Aa Rukian Tairee Cahatoon K Sahab SayMain Hoon Tuj Ko Jaan Say Azeez Tar Main Ye Kaysay Maan Loon AjnabiTairee Baat Lagti Hay Wahim Si Tairay Lafz Lagtay Hain Khawab SayYe Jo Maira RangORoop Hay Yunhi Besabab Nahie DostoonMairay Khoshboon Say Hain Silsilay Mairee Nisbatian Hain Gulab SayUsay Jeetnahay Tu Humnasheen Yunhi Guftagosay Na Kaam LayKoee Chand La K Jbeen Pay Rakh , La Koee Guhar TeehEAab SayWohi Mutabar Hay Mairay Leyain, Wo Hi HasilEDillOJaan HayWo Jo Baab Tum Nay Chora Liyaa Mairee Zindagi Ki Kitab Say

Dukh Anmol Hotay HainDukh Anmol Hotay Hain..!!Qudrat Ki Wadiyat Hotay Hain…Kabhie Kuch Day Ke Jatay HainKabhie Sab Kuch Cheen Layte HainKabhie Baychain Kartay HainKabhie Jeena Sikhatay HainKabhie Bantay Hain Jab AnsoooUmer Bhar Lahoo Rulatay HainKabhie Lab Ki Haseee Ban KarNaee Duniya Sajatay HainKabhie Meethi Kasak BankarAnjani Khalish BankarMakeenEDil Yeh Bantay HainKisi Soorat Nahi Mit’tayJo In Se Door Bhago TuKahin Jane Nahi DayteNa Zinda Rehnay Dayte HainNa Yeh Azaad Kartay HainNahin Jiski Dawwa KoiMagar Yeh Bhi Haqeeqat HaiHer Aik Ko Tu Nahi MiltayBaray Nayaab Hotay Hain

IbadatEYaar Ko Aiya Hun Main Kafar NahiKaise Keh Dun Tera Ghar Khuda Ka Ghar NahiPhir Kiyon Wo Saye Ki Tarha Mere Saath Hai,Zamana Keh Raha Hai Wo Tera Hamsafar NahiDin Raat Tere Khayalon Main Khoia Rehta Hun,Kab Huie Sehar Kab Dhali Shaam Khabar NahiMujhko Mujhi Main Dhondhti Hai Begano Ki Tarha,Mat Dilao Mujhay Yakee Yeh Uski Nazar NahiMujhay Kitaab Main Rakh Kar Wo Bhool Gaya Shayad,Main Kaise Keh Doon Ki Usko Meri Qadar NahiVeeran Bastiyon Ka Bashinda Hoon Mujhay Na Darao,Sab Kush To Lut Chuka Hai Ab Kisi Ka Dar NahiAb ‘Veer’ Ko Koi Khushi Koi Ghum Na Dena Yaro,Aakhir To Ek Paimana Hoon Main Koi Sagar Nahi

Wahan Ki Roshniyoun Nay Bhi Zulm Dhay BohatMain Is Gali Main Akaila Tha Aur Saay BohatKisi Kay Sur Pay Kabhi Tout Kay Gira Hi NahiIs Asman Nay Hawa Main Qadam Jamay BohatNajanay Rut Ka Taswur Tha Ya Nazar Ka FareebKali Wohi Thy Magar Rung Jhilmilay BohatHawa Ka Rukh Hi Achanak Badal Gaya WarnaMehuk Kay Qafilay Sehra Ki Simt Aay BohatYeh Kayanat Hay Mari Hi Khak Ka ZaraMain Apnay Dasht Say Guzra Tu Bhaid Paay BohatJo Mouteyoun Ki Talab Nay Kabhi Udas KiyaTu Hum Bhi Rah Say Kunkar Samait Laay BohatBus Ik Raat Thaiharna Hay Kiya Gila KijyayMusafiroun Ko Ganemut Hay Yeh Saray BohatJumi Rahay Gi Nigahoun Main Teergi Din BharKay Raat Khwab Main Taray Utar Kay Aay Bohat

Hum Aftaab Se Dhaltay Hain Kuch Khaber Hai TumhainKhud Apni Agg Mai Jaltay Hain Kuch Khaber Hai TumhainJo Sang Tout Na Paye Jahan Ki Kosish SeHumaray Ghum Mai Pighaltay Hain Kuch Khaber Hai TumhainTabahiyoo’n Pay Humari Jo Kal Tak Khush ThaySunna Hai Hath Wo Maltay Hain Kuch Khaber Hai TumhainTumhari Raah Mai Ankhain Bichaa Rahay Thay KabhiJo Ajj Raah Badaltay Hain Kuch Khaber Hai TumhainBulandiyoo’n Pay Na Dhoondho Kay JoharENayaabZamee’n Ki Goud Mai Paltay Hain Kuch Khaber Hai TumhainZamaana Jaisay Behalta Hai Meri Jaa’n Hum Se BhiUsi Terhan Se Behaltay Hain Kuch Khaber Hai TumhainHum AabbESaaim Ki Manind Sari Raat AdeelBina Tumharay Machaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain