vahashatedil silaeabalapai le lemujh se ya rab mere lafzon ke kamai le leaql har bar dikhati thi jale hath apnedil ne har bar kaha aag parai le lemain to us subahedarakhshan ko tavangar janunjo mere shahar se kashkolegadai le letu gani hai magar itni hain sharayat meriye mohabbat jo hamen ras na aayi le leapne divan ko galiyon me liye phirta hunhai koi jo hunarezakhmnumai le lePoet of the Poem/Ghazal or Nazam: Ahmed Faraz

Saza Pe Chhod Diya, Jahaa Pe Chhod Diya..Her Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chhod Diya !!Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De..Usi Ka Kaam Tha, Us Ki Raza Pe Chhod Diya !!Ab Us Ki Marzi Bhujha De, Ya Jala De..Chirag Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chhod Diya !!Aab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehenge Hum..Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chhod Diya !!Is Liye To Wo Kehte Hain Dewana Hum Ko..Ki Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chhod Diya !! 

Aur Kya EhdEWafa Hote Hai,Log Milte Hai Juda Hote Hai,Kab Bichhad Jaye Hum Safar Hi To Hai,Kab Badal Jaye Ek Nazar Hi To Hai,JaanODil Jis Par Fida Hote Hai,Aur Kya AhdEWafa Hote Hai,Baat Nikli Thi Is Zamane Ki,Jisko Aadat Hai Bhool Jaane Ki,Aap Kyon Humse Khafa Hote Hai,Aur Kya AhdEWafa Hote Hai,Jab Rulate Hai Jee Bhar Ke Hamein,Jab Sata Lete Hai Jee Bhar Ke Hamein,Tab Kahin Khush Wo Zara Hote Hai,Aur Kya AhdEWafa Hote Hai

Kahaa Thaa Kis Ne Ke AhadEVafaa Karo Us SeJo YuuN Kiyaa Hai To Phir KyuuN Gilaa Karo Us SeYe AhlEBaz Tunak Hausalaa Sahii Phir BhiiZaraa FasaanaaEDil Ibtidaa Karo Us SeYe Kyaa Ke Tum Hii GamEHijr Ke Fasaane KahoKabhii To Us Ke Bahaane Sunaa Karo Us SeNasiib Phir Ko_Ii TaqriibEQarb Ho Ke Na HoJo Dil MeN HoN Vahii BaateN Kiyaa Karo Us Se‘Faraz’ TarkETa’alluq To Khair Kyaa HogaaYahii Bahut Hai Ke Kam Kam Milaa Karo Us Se

wafa ke khwab muhabbat ka aasara le jaagar chala hai to jo kuch mujhe diya le jamaqamesudoziyan aa gaya hai phir jananye zakhm mere sahi tir to utha le jayahi hai qismatesahara yahi karam teraki bund bund ata kar ghata ghata le jagururedost se itna bhi dilshikasta na hophir uth ke samane damaneiltaja le janadamaten hon to sar baredosh hota hai‘faraz’ jan ke evaz aabaru bacha le jaPoet of the Poem/Ghazal or Nazam: Ahmed Faraz

muhabbat ke sagar chalakane lage hainwo dil ban ke dil mein dhadakane lage hainye kaisi vafaon ke ritu aa gai haikhayalon mein ek bekhudi cha gai haiqadam zindagi ke bahakane lage hainumangon ke phoolon se daman bhara haimera khwab kaise haqiqat bana hainigahon mein jugnu jhamakane lage hainsitaron se aage hai duniya wafa kemagar hum ne ke hai tamanna wafa kejahan aj hairat se takane lage hainPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ibrahim Ashk

Har Sham Kehtay Ho Kal Shaam Milain GyAti Nai Woh Sham Jis Sham Milain GyYoun Acha Nai Lgta Yeh Shamun Ka BadalnaKal Sham B Kaha Tha K Kal Sham Milain GyAti Hai Jo Milnay Ki Ghari Kartay Ho BahanaYoun Milna Acha Nai Kis Kam Se Milain GayYeh Rah E Muhabbat Hai Yahan Chalna Asan NaiUngli Uthay Gi Yahan Ilzam Milain GyMumkin Nai Shamu Ko Abhi Milna Jo HmaraHum Donu K Tu B Naam Milain GyUmeed Hai Woh Din Aye GaSubh Sham Milain Gy Sare Aam Milain Gy..!!!

Ya rab! gamehijran mein itna to kiya hotajo hath jigar pe hai wo dastedua hotaik ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafatya gham na diya hota ya dil na diya hotagairon se kaha tum ne gairon se suna tum nekuch hum se kaha hota kuch hum se suna hotaumeed to bandh jati taskin to ho jatiwada na wafa karte wada to kiya hotanakametamanna dil is soch mein rehta haiyun hota to kya hota yun hota to kya hotaPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Charag Hasan Hasrat

wafa ke shish mahal mein saja liya main newo ek dil jise pathar bana liya main neye soch kar ki na ho tak mein khushi koigamon ki ot mein khud ko chupa liya main nekabhi na khatm kiya main ne roshani ka muhazagar chirag bujha, dil jala liya main nekamal ye hai ki jo dushman pe chalana thawo tir apne kaleje pe kha liya main ne‘qateel’ jisaki adavat mein ek pyar bhi thaus aadmi ko gale se laga liya main nePoet of the Poem/Ghazal or Nazam: Qateel Shifai

Is ada se wo wafa karte hainkoi jane ke wafa karte hainhamako chodoge to pachataogehansanae valon se hansa karte hainye batata nahi koi mujhkodil jo aa jaye to kya karte hainhusn ka haq nahi rehta baqihar ada mein wo ada karte hainkis qadar hain teri aankhen bebakin se fitne bhi haya karte hainis liye dil ko laga rakkha haiis mein dil ko laga rakkha hai“dag” tu dekh to kya hota haijabr par jabr kiya karte hain Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : DaaG Dehlvi

Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh DenaBikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh DenaHawaeMousam eGham Uss k Shehar Jaye ToMery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh DenaYeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k AzaabUssi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh DenaBohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti HainJudayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh DenaVo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna ChaheyMain Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh DenaWafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila HoonKoi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena

hum dosti ehasaan wafa bhool gaye hainzinda to hain jine ke ada bhool gaye hainkhushbu jo lutate hain masalate hain usi koehasas ka badala ye milta hai kali koehasas to lete hain sila bhool gaye hainkarte hain muhabbat ka aur ehasas ka saudamatalab ke liye karte hain iman ka saudadar maut ka aur khaufekhuda bhool gaye hainab mom mein dhalakar koi pathar nahi hotaab koi bhi qurban kisi par nahi hotaq bhatake hain manzil ka pata bhool gaye hainPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Payam Saeedi

Us Se Poochna To HaiKia Silla Wfaon KaHai Yehi K Din Aur RaatUs Ko Sochtya RahnaKhud Ko Khojtay RahnaUs Se Poochna To HaiKia Yehi Mohabbat HaiUs K Hi Khwabon SeApni Dua’n KoKhud Hi Beasar KarmaKhud Ko Besamar KarmaUs Se Poochna To HaiZindagi Yehi Hai KiaUs Ka Saath Ho Aur BusDarmian Koi Na HoDil Ho Wahamon K BeechRaazdaan Koi Na HoUs Se Poochna To HaiUs K Baad Bhi KaiseDin Ye Kyun Nikalta HaiRaat Kyun Ye Dhalti HaiUmar Bhi To Chalti HaiSaans Kaise Chalti HaiUs Se Poochna To HaiKhud Bhi Sochna To Hai

Wo Kabhi Na Wafa Karne Ka Tana De GayaWo Muje Nafrat Karne Ka Bahana De GayaTum Muj Se Muhabat Krna Hi Chor DoHukam Kaisa Ye Zalemana De GayaWada To Us N Tora Hai Muj SePhir Kyu Ye Zakam Katelana De GayaWo Kisi Or Ki Khushiyo Ki Dua Magta HaiMuje To Zindagi Bhar Gam Ka Fasana De GayaSare Puchte Hai Kai Diya Us Ne Kai BataoWo Maire Hath Mai Muhabat Ka Talaq Nama De GayaMairi Maot To Us Ki Dewangi Mai Hui ThiOr Wo Rone K Liye Muje Zamana De GayaAgar Wo Mairi Kaber Pe Ek Phool B Rak DetoK Wo Phir Se Apna Dil Dewana De De Gaya….

Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain GainDil Lagayein Gain To Na ShartEWafa Rakhain GainNa Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm UnhainDard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain GainJaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar DeHam Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain GainSab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat HamdamGhar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain GainUnki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain KabhiUnki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain GainToot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay KiEk Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain