Larkiya Be Wafa Nhe Hote….Wo To Majboriyo My Lipte Hain,Apny Shidat Bhary Heyalo May,Apny Andr Chupi Ik Aurat May Wo Hmesha Hi Drte Rehte Hain,Na To Jete Hain ,Na To Mrte Hain,Larkiya Be Wafa Nhe Hote…..Pr Hamesha Drte Rehte Hain,Apni Reet Ar Rawajo Sy,Any Waly Naey Azabon Sy,Zardorat May Khily Gulabo Sy,Pyar Krte Hain Aur Chupate Hain,Larkiya Be Wafa Nhe Hote….Kiun K Majboriyo May Lipti Hain,Ar Hr Lamha Drte Rehte Hain,Apny Pyar Sy,Apny Saye Sy,Apny Rishto Sy,Dil Ki Darkan Sy,Apni Khuwaish Say,Apni Khushiyon Say,Larkiya Be Wafa Nahe Hote..

is waqt to yun lagata hai ab kuch bhi nahi haimahatab na suraj na andhera na saveraaankhon ke dariche mein kisi husn ke jhalakanaur dil ke panahon mein kisi dard ka deramumkin hai koi vaham ho mumkin hai suna hogaliyon mein kisi chap ka ek aakhiri pherashakhon mein khayalon ke ghane ped ke shayadab aake karega na koi khwab baseraik bair na ik mahar na ik rabt na rishtatera koi apna na paraya koi meramana ki ye sunsan ghadi sakht badi hailekin mere dil ye to faqat ek ghadi haihimmat karo jine ko abhi umr padi haiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz

wafa ke bhes mein koi raqibeshahar bhi haihazar! ke shahar ke qatil tabibeshahar bhi haiwohi sipahesitam khemazan hai charon tarafjo mere bakht mein tha ab nasibeshahar bhi haiudhar ke aag idhar bhi pahunch na jaye kaheenhawa bhi tez hai jangal qaribeshahar bhi haiab us ke hijr mein rote hain us ke ghayal bhikhabar na thi ke wo zalim habibeshahar bhi haiye raz naraemansur hi se hum pe khulake chubemimbaremasjid salibeshahar bhi haikadi hai jang ke ab ke muqabile pe ‘faraz’amireshahar bhi hai aur khatibeshahar bhi haiPoet of the Poem/Ghazal or Nazam: Ahmed Faraz

aaye kuch abr kuch sharab aayeus ke bad aaye jo azab aayebamemina se mahatab utaredastesaqi mein aaftab aayehar ragekhun mein phir charagan hosamane phir wo benaqab aayeumr ke har waraq pe dil ko nazarteri meherowafa ke bab aayekar raha tha gamejahan ka hisabaj tum yad behisab aayena gai tere gam ke saradaridil mein yun roz inqalab aayejal uthe bazmegair ke darobamjab bhi hum khanamankharab aayeis tarah apani khamashi gunjigoya har simt se jawab aaye‘faiz’ thi rah sar basar manzilhum jahan pahunche kamayab aayePoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz

kis se puchen hum ne kahan wo cheharaeroshan dekha haimehfil mehfil dhundh chuke hain gulshan gulshan dekha haikis ko dekhen kis ko na dekhen, phul bhi hain kaliyan bhi magarjis se lagayi aankh usi ko dil ka dushman dekha hairangebaharesubahegulistan kya dekhe wo diwanajis ki nazar ne ek hi gul mein sara gulshan dekha haiahlewafa ke khoon ke chinten dur tak udakar jati hainmera tadapana dekhane wale apna bhi daman dekha hai?aj unhen jo chahe samajh lo warna yahi ‘taskin’ hain jinhenkal tak hum ne kuebutan mein khakbadaman dekha haiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Taskeen Qureshi

O Tum Ne Thaan Hi Li HaiHamaray Dil Se Niklo GeTu Itna Jaan Lo PiyarayWafa Ki Seerhiyon Per Her Her Qadam Phaila Hoa HaiYeh Aarzo’on Ka Laho Zaaya Na Jaye GaSamnader Saamnay Hoga Ager Saahil Se Niklo GeSitaaray! Jin Ki Aankhon Ne Hamain Ik Saath Daikha ThaGawahi Dainay Aaayen Ge!Puranay Kaghazon Ki Balcony Se Buhat Se Lefz Jhankain GeTumhain Wapis Bulayen GeKayee Waaday, Fisadi Qerz Khwahon Ki Tarah Restay Main Rokain GeTumhain Daaman Se Pekrain Ge!Tumhari Jaan Khayen GeChupa Ker Kis Tarah ChehraBheri Mehfil Se Niklo GeZara Phir Soch Lo JanaaNikal Tu Jao Ge ShayedMager Mushkil Se Niklo Ge!

Socha nahi acha bura dekha suna kuch bhi nahimanga khuda se raat din tere siva kuch bhi nahidekha tujhe socha tujhe chaha tujhe puja tujhemeri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahijis par hamari aankh ne moti bichaye raat bharbheja wahi kagaz use hum ne likha kuch bhi nahiik sham ke dahaliz par baithe rahe wo der takaankhon se ke baten bahut muh se kaha kuch bhi nahido char din ke baat hai dil khak mein so jayegajab aag par kagaz rakha baki bacha kuch bhi nahiahasas ke khushbu kahan, aavaz ke jugnu kahankhamosh yadon ke siva, ghar mein raha kuch bhi nahiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Bad

gulon mein rang bhare, badenaubahar chalechale bhi aao ki gulshan ka karobar chaleqaffas udas hai yaro, saba se kuch to kahokaheen to bahrekhuda aj zikreyar chalekabhi to subh tere kunjelab se ho aagazkabhi to shab sarekakul se mushkabar chalebada hai dard ka rishta, ye dil garib sahitumhare naam pe aayenge gamgusar chalejo hum pe guzri so guzri magar shabehijranhamare ashk teri aaqabat sanwar chalehuzooreyar hui daftarejunun ke talabgirah mein leke gareban ka tar tar chalemaqam ‘faiz’ koi rah mein jacha hi nahijo kueyar se nikle to suedar chalePoet of the poem/ghazal or Nazam: Faiz Ahmed Faiz

gesue tabadar ko aur bhi tabadar karhoshokhirad shikar kar qalbonazar shikar kartu hai mahitebekaran main zara si aabajuya mujhe hamkinar kar ya mujhe bekinar karmain hun sadaf to tere hath mere gohar ke aabarumain hun khazaf to tu mujhe gauhareshahawar karnagmaenaubahar agar mere nasib mein na hois dam e nim soz ko tairakebahar karishq bhi ho hijab mein husn bhi ho hijab meinya tu khud aashakar ho ya mujh ko aashakar karbagebahisht se mujhe hukmesafar diya tha kyonkarejahan daraz hai ab mera intazar karrozehisab jab pesh ho mera daftareamalaap bhi sharmasar ho, mujh ko bhi sharmsar karPoet of the poem/ghazal or Nazam: Allama Iqbal

Dil Dard Ki Shiddat Se KhoonGashtaOSee Paara,Is Sheher Mein Phirta Hai Ek WehsheeOAwara,Shayar Hai Ke Aashiq Hai, Jogi Hai Ke Banjara,Darwaza Khula Rakhna,Seene Se Ghata Uthe, Aankhon Se Jhari Barse,Phaagan Ke Nahi Badal, Jo Chaar Ghadi Barse,Barkha Hai Ye Bhaado Ki, Barse To Badi Barse,Darwaza Khula Rakhna,Aankhon Mein Ek Alam, Aankhon Mein To Duniya Hai,Honthon Pe Magar Mohrein, Munh Se Nahi Kehta Hai,Kis Chiz Ko Kho Baitha Hai, Kya Dhundne Nikla Hai,Darwaza Khula Rakhna,Shikwon Ko Utha Rakhna, Aankhon Ko Bichha Rakhna,Ek Shama Dareeche Ke Chaukhat Pe Jala Rakhna,Mayoos Na Phir Jaaye, Haan PaasEWafa Rakhna,Darwaza Khula Rakhna Darwaza Khula Rakhna.

ke wafa hum se to gair use jafa kahate hainhoti aayi hai ke achon ko bura kahate hainaj hum apni pareshaniekhatir un sekahane jate to hain, par dekhiye kya kahate hainagale vaqton ke hain ye log, inhen kuch na kahojo mayonagmen ko andoharuba kahate haindil mein aa jae hai, hoti hai jo fursat gash seaur phir kon se nale ko rasa kahate hain?hai paresarahadeidarak se apna masjudqible ko, ahalenazar, qiblanuma kahate hainpaeafagar pe jab se tujhe raham aaya haikharerah ko tere hum mehregiya kahate hainik sharar dil mein hai, us se koi ghabarayega kyaaag matalub hai hamako, jo hawa kahate haindekhiye lati hai us shokh ke nakhvat kya rangus ke har baat pe hum namekhuda kahate hainvahashatoshefta ab marsiya kahaven shayadmar gaya “ghalib”eashuftanava kahate hainPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mirza Ghali

chand roz aur meri jan faqat chand hi rozzulm ke chanv mein dam lene par majabur hain humik zara aur sitam sah lain tadap lain ro lainapne ajdad ke miras hai mazur hain humjism par qaid hai jazbat pe zanjire haifikr mahabus hai guftar pe taziren hainaur apani himmat hai ki hum phir bhi jiye jate hainzindagi kya kisi muflis ke qaba haijis mein har ghadi dard ke paiband lage jate hainlekin ab zulm ke miyad ke din thode hainik zara sabr ki fariyad ke thode hainarsaedahar ke jhulasi hui virani meinhum ko rahana hai par yun hi to nahi rahana haiajanabi hathon ka benam garanbar sitamaj sahana hai hamesha to nahi sahana haiye teri husn se lipati hui aalam ke gardapani do roza javani ke shikaston ka shumarchandani raton ka bekar dahakata hua darddil ke besud tadap jism ke mayus pukarchand roz aur meri jan faqat chand hi rozPoet of the poem/ghazal or Nazam: Faiz Ahmed Faiz