jahan phoolon ko khilana tha waheen khilate to acha thatumhin ko hum ne chaha tha tumhin milate to acha thakoi aakar hamen puche tumhen kaise bhulaya haitumhare khat ko ashkon se shabegam mein jalaya haihazaron zakhm aise hain agar silate to acha thatumhen jitana bhulaya hai tumhari yaad aayi haibaharenau jo aayi hai wo hi khushbu lai haitumhare lab meri khatir agar hilate to acha thamila hai lutf bhi hum ko hasin yadon ke jhilmil meinkatati hai zindagi tum bin magar itni si hai dil meinagar tum aate to acha tha agar milate to acha tha  Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saadullah Shah

Zindagi us k tasawar me kati, Door reh kar bhi wohi kaam aea.

Na Jina Mila, Na Marna MilaMila To Teri Yaadon Me Tarapna Mila

firaq se bhi gaye hum visal se bhi gayesubuk huye hain to aishemalal se bhi gayejo butkade mein the wo sahibanekashfokamalharam mein aaye tp kashfokamal se bhi gayeusi nigah ki narmi se dagmaga gaye qadamusi nigah ki tevar sambhal se bhi gayegamehayatogamedost ki kashakash meinhum aise log to ranjomalal se bhi gayewo log jin se teri bazm mein the hangamegaye to kya teri bazmekhayal se bhi gayehum aise kon the lekin qafas ki ye duniyaki parshikaston mein apni misal se bhi gayecharagebazm abhi janeanjuman na bujhaki ye bujha to tere khadokhal se bhi gayePoet of the poem/ghazal or Nazam: Aziz Hamid Madni

Aaj tafseel nahi bas itna suno, Bohat aaj yaad aa rahe ho tum..

Ye muje chain kion nahin parta, Aik hi shakhs tha jahan me kia.

Rim jhim rim jhim baras rahi hai, Yaad tumhaari qatraa qatraa…

Na Milte Na Bicharne Ka Gham HotaNa Pass Hum Hote Na Door Tum Hote..!!!

Tarha Tarha Se Bhulaya Magar Ye Haal Hua, Har Ek Khayal Se Paida Tera Khayal Hua…

Tadap Uthoge Jab Hum Yaad AayengeDhoondhoge Hume Jab Hum Dur Chale JaayengeHumaari Yaadon Ke Nishan Dil Me PaayogeJab Tumhari Dhadkano Me Hum Chupp Kar Muskuraayenge

Tumhara zarf hai tumko mohabbat bhool jati hai.. Hamay tu jisnay bhi hans kar pukara yaad rahta hai.. Sadain aik si yaksaniyat mai doob jati hain.. Zara sa mukhtalif jisnay pukara yaad rahta hai.

Yaad Aate Hain Wo School Ke DinNa Jaate The School Doshton Ke BinKaisi Wo Doshti Thi Kaisa Tha Wo PyarEk Din Ki Judai Se Darte The Jab Aata Tha SaniwarChalte Chalte Pathron Main Marte The ThokarKabhi Hashte Gaate To Kabhi Chalte The RokarKandhon Main Keetab Liye Haath Main Botel PaaniKise Pata Tha Bachpan Ki Doshti Bichhura Degi JawaaniYaad Aate Hain Wo Shayahi Se Range HaathKaya Din The Wo Jab Karte The Lunch SaathChhutti Ki Ghanti Sunte Hi Wo Bhag Ke Kamre Se Bahar AanaFir Hashte Hashte Doshton Se Mil JaanaKaash Wo Dosht Aaj Bhi Mil JaateDil Main Fir Se Bachpan Ke Phool Khil Jaate

ek juedard dil se jigar tak ravan hai ajpighala hua ragon mein ik aatishfishan hai ajlab si diye hain ta na shikayat kare koilekin har ek zakhm ki muh mein zaban hai ajtarikiyon ne gher liya hai hayat kolekin kisi ka ruehasin darmiyan hai ajjine ka waqt hai yahi marane ka waqt haidil apni zindagi se bahut shadaman hai ajho jata hun shahid har ahalevafa ki sathhar dastaneshauq meri dastan hai ajaaye hain kis nishat se hum qatlgah meinzakhmon se dil hai chur nazar gulfishan hai ajzindaniyon ne tod diya zulm ka gururwo dabdaba wo raubehukumat kahan hai ajPoet of the poem/ghazal or Nazam: Ali Sardar Jafri

Ik wohi shakss mujhe yaad raha, Jiss ko samjha tha bhool jaonga..

Haal e dil hum bhi sunate lakin, Jaab wo rukhsat hoa tab yaad ae.