Shayed koi manzil nahin is raah pe parrti, Waapis nahin aata koi yaadon ke safar se..

Kahen ye tarak e muhabbat ki ibtada to nahin, Wo muj ko yaad kabhi is qadar nahin ae.

Raat phir ae gi phir zehan k darwaze paar, Koi mehnadi me range hath se dastak de ga.

Zehan k sab raste jate hain yadoon ki taraf, Kam se kam ik rasta rehta bholane k lie.

Dharka hai dil e zaar tere zikar se pehle, Jab bhi kisi mehfil me teri bat chali hai.

KaruuN Na Yaad Magar Kis Tarah BhulaaUuN UseGazal Bahaanaa KaruuN Aur GunGunaaUuN Use

Is zindagi mein itni faraghat kisey naseeb, Itna na yaad aa ke tujhe bhool jayen hum..

Ye Ilam Ka Soda Yeh Kitabain Yeh Risalay, Aik Shakhs Ki Yadon Ko Bhulanay K Liye Hain,

Fasal e gull ai to phir phool khile shakhon par, Phir muje yaad koi zakham purana aea.

Khat to wapis kar die lakin bator e yadgar, Abb bhi mere pass tere ik nishani aur hai.

Ganwa dia unhen abb un ki yadain kion ae, Me doston se ye rishta bhi toor kar daikhonn.

Qateel muj ko bura us ne keh dia bhi to kia, Yahi bahot hai muje yaad kar raha tha koi.

Chandani phol hawa jaam sitare khoshbo, Zeher k naam hain sub jiss shab nahin hota koi.

Charagh e bazam abi jaan e anjaman na bhoja, Ke ye bhoja to tere khado khal se bhi gae.

Chandani raton me malom nahin muj ko adam, Bhole bisare hoe gham kis lie yaad ate hain.