Thehre hoa kion hai mere jivan k safar main, To aik hi pall hai to basar kion nai hota.

Phir to ne cheer di hai gai saitoon ki baat, Wo guftagoo na kar ke tujhe bhi malal hoa.

Phaili hain fizaaon main iss tarah teri yaadein, Jiss simt nazar uthii awaaz teri aayi..

Yaadon ki aag thi ke khayaalon ki chandni, Shaab bhar mere makaan main aik roshni rahi..

Chehekte bolte sheheron ko kya hua Nasir, Ke din ko bhi mere ghar mein wohi udaasi hai..

Tumhare hussan ko meri nazar lagi hai zaroor, Kahan ho pehle se tabdeel ho gaye ho tum..

Yaad bhi raah ki diwar samjhate hain muje, Me samjhata tha mere yaar samjhate hain muje.

Jab tak hum masroof rahe ye dunia thi sunsan, Din dhalte hi dehan me ae kaise kaise log.

Aankh Khultay Hi Yaad Aa Jatay Ho, Ay Khyal-E-Yaar Kya Tumhain Aur Koi Kaam Nahi….

Chopke chopke raat din ansu bahana yaad hai, Hum ko abb tak ashiqi ka wo zamana yaad hai.

Tujhko Socha to bahot Pr likha kam MaineKe Teri Tareef Ke Qaabil Mere Alfaz Kahan….?

Mera kamraa hai ke ik duniya teri yaadon ki, Chairroon jiss cheez ko teri nishani nikley..

Ganwaa diya unhen ab unki yaad kyon aaye, Main doston se yeh rishta bhi torr kar dekhoon..

Jinhein Bhulaney Mein Yaro, Barey Zamaney LagayJub Dil Dukha Tou Wohi Loog Yaad Aney Lagey

Dhondata phirta hon logon me shabahat us ki, K wo khawabon me bhi lagti hai khealon jaisi.