Churi Ki Nok Se Zakhmo Pe Wo Marham Lagate Hain,Zkham Bhi Khud He Dete Hain Khud He Aansu Bhate Hain,Ye Kaisa Pyar Hai Unka Koi To Hmko Smjhao,Sitmgar Hain Ya Hain Dilbar Hain Wo Jo Yad Ate Hain

Zakham Nasoor Huwe, IlaajEDard Mumkin Na HuwaAshq Bahaane Ka Mera Silsila Bhi Dekho Kam Na HuwaMujhe Hairat Huwee Apne Zakhmon Ko Dekh Kar Kyun KiIn Masoomo’n Ke Liye Ab Tak, Koi EjaadEMarham Na HuwaShare By : Bindu Mahajan

Dostii Jab Kisii Se Kii JaaeDushmano Kii Bhii Raae Lii JaaeMaut Kaa Zahar Hai Fizaaon MenAb Kahaan Jaa Ke Saans Lii JaaeBas Isii Soch Men Huun Duubaa HuaaYe Nadii Kaise Paar Kii JaaeMere Maazii Ke Zakhm Bharane LageAaj Phir Koii Bhuul Kii JaaeBotalen Khol Ke To Pii BarasonAaj Dil Khol Ke Bhii Pii Jaae

Apne Hathon Se Chiraghon Ko Bujane Lag JaenTum To Kehte Ho K Hum Tikane Lag JaenOs Ko Sochein To RagEJan Se Bhi Nazdeek Hy WoAor Dhondein To Kae Zamane Lag JaenHum Iss Aas Pe Bethay Hyn ShikishtEKhayalAin Mumkin Hy K Wo Ehd Nabhane Lag JaenMana K Zakhim Judai Ka Buhat Gehra HayAor Aisa Bhi Nahin Hy K Hum Dikhane Lag Jaen

Dosti jab kisi se ke jayedushmanon ke bhi raye li jayemaut ka zeher hai fizaon meinab kahan ja ke sans li jayebas isi soch mein hun duba huaye nadi kaise par ke jayemere mazi ke zakhm bharne lageaj phir koi bhool ke jayebotalen khol ke to pi barasonaj dil khol ke bhi pi jayePoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rahat Indori

Mujh Se Milne Ko Woh Kerta Thaa Bahane KitneAb Guzare Ga Mere Saath Zamane KitneMain Giri Thi To Buhut Log Ruke Thay LekinSochti Houn Mujhe Aaye Thay Uthaane KitneJis Tarah Main Ne Tujhe Apna Bana Rakha HaiSochte Hongey Yehi Baat Na Jaane KitneTum Naya Zakhm Lagao Tumhein Is Se Kya HaiBharne Wale Hain Abhee Zakhm Purane Kitne…

Is Dil Mein Khayaal Jab Tumhaare Hote Hai,Mere Daaman Mein Chaand Aur Sitaare Hote Hai,Ek Main Aur Meri Tanhai ShabEHizar Mein,Aur Tumhari Yaadon Ke Sahare Hote Hai,Tera Aana,Muskurana,Mujhse Lipat JaanaHaath Mein “Kamal” Ye Chalti Hai KhudBaKhud,Ek Khayaal Aur Kamaal Kitne Saare Hote Hai,Jab Kalam Ko Zakhmo Ke Ishaare Hote Hai..!!!

aayi na phir nazar kaheen jane kidhar gaiun tak to sath gardisheshamosahar gaikuch itna besabat tha har jalvaehayatlaut aayi zakhm kha ke jidhar bhi nazar gaiaa dekh mujh se ruthane vale tere bagairdin bhi guzar gaya meri shab bhi guzar gainadim hai apne apne qarinon pe har nazarduniya lahu uchal ke kitani nikhar gaiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Baqi Siddiqui

apni aankhon ki samundar mein utar jane detera mujarim hun mujhe dub ki mar jane deae naye dost main samajhunga tujhe bhi apanapahale mazi ka koi zakhm to bhar jane deaag duniya ki lagai hui bhuj jayegikoi aansu mere daman pe bikhar jane dezakhm kitne teri chahat se mile hain mujhkosochata hun ki kahun tujhase magar jane de Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nazeer Baqri

ZakhmEUmmiid Bhar Gayaa Kab KaaQais To Apne Ghar Gayaa Kab KaaAap Ik Aur Niind Le LiijiyeQaafilaa Kuuch Kar Gayaa Kab KaaDukh Ka Lamhaa Azal Abad LamhaaVaqt Ke Paar Utar Gayaa Kab KaaApna Muunh Ab To Mat Dikhaoa MujheNaasiho, Main Sudhar Gayaa Kab KaaNasshaa Hone Kaa BeTarah Thaa KabhiPar Vo Zaalim Utar Gayaa Kab KaaAap Ab Puuchney Ko Aaye Hain?Dil Merii Jaan, Mar Gayaa Kab Kaa

Ye haqiqat hai ki hota hai asar baton meintum bhi khul jaoge do char mulaqaton meintum se sadiyonki vafaon ka koi nata na thatum se milane ke lakiren thi mere hathon meintere vadon ne hamen ghar se nikalne na diyalog mausam ka maza le gaye barasaton meinab na suraj na sitare na shaman na chandapne zakhmon ka ujala hai ghani raton meinPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saeed Rahi

Ik na ik shamma andhere mein jalaye rakhiyesubah hone ko hai mahaul banaye rakhiyejin ke hathon se hamen zakhmenihan pahunche hainwo bhi kahate hain ki zakhmon ko chupaye rakhiyekon jane ki wo kis rahguzar se guzrihar guzargah ko phoolon se sajaye rakhiyedamaneyar ke zinat na bane har aansuapni palkon ke liye kuch to bachaye rakhiye Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Tariq Badayuni

Zakham E Tanhaayi Main Khushboo E Hina Kis Ki ThiSaaya Deewar Par Mera Tha, Sada Kis Ki ThiUs Ki Raftaar Se Lipti Rahi Aankhain MeriUs Ne Murr Kar Bhi Na Dekha Ke Wafa Kis Ki ThiAansoun Se Hi Bhar Gaya Daaman MeraHath Tou Maine Uthaya Tha Dua Kis Ki ThiMeri Aahon Ki Zubaan Koi Samjhta KaiseZindagi Itni Dukhi Mere Siwa Kis Ki ThiAag Se Dosti Us Ki Thi Jala Ghar MeraDe Gaye Kis Ko Saza Aur Khata Kis Ki Thi.

Har Ek Chehray Ko Zakhmon Ka Aaina Na KehoYeh Zindagi Tu Hai Rehmat Issay Saza Na KehoNa Jaanay Ko Koun Si Majbooriyon Ka Qaidi HoWho Saath Choor Gaya Hai Tu Bewafa Na KehoTamam Shehar Nay Nazron Pay Kion Uchaala MujhayYeh Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsaa Na KehoYeh Aur Baat K Dushman Howa Hai Aaj MagarWho Mera Dost Tha Kal Tak Ussay Bura Na KehoHumaray Aaib Humain Ungliyon Pay GinwaaoHumari Peet K Peechay Humain Bura Na Keho

Yun Shikast Se Dar Nahi JatayKoi Bichrrey To Mar Nahi JatayDoosri Baar Pyar Karney SeZakhm Pehlay K Bhar Nahi JatayMain Urranein To Kab Ki Bhool ChukaBas Mery BalOPar Nahi JatayAankh Khulney Se TootTi Hay NeendKhuwab Gir Kar Bikhar Nahi JatayHijr K Sahilon Se Takra KarDil K Darya Utar Nahi JatayMain To Shayer Hoon..So Hoon AwaraAap Kiun Apney Ghar Nahi Jatay?Yaaron Uss Bewafa Se Milney KoDil To Chahey,Magar Nahi Jatay…!!