Main Roshni Hoon Kaf E Dast Se Rukoon Gi KahanTamaam Umer Tere Taaq Per Jaloon Gi KahanBulaa Raha Hai Mujhe Kehkashan Ka DerwaazaWo Aa Bhi Jaaye Tou Ab Main Usey Miloon Gi KahanMain Apne Bichhrey Hue Pairr Ki Talash Main HoonZiada Dair Teri Shaakh Per Khiloon Gi KahanYe Chund Saanson Ka Bhi Aasraa Usi Se HaiK Jab Rahe Ga Nahin Wo Tou Main Rahoon Gi KahanMain Zakhm Hoon Ghani Raaton Main Jaagne WalaTumhare Taar E Muhabbat Se Ab Siloon Gi Kahan

Badan mai aag si chehara gulab jaisa haike zaharegam ka nasha bhi sharab jaisa haikahan wo qurb ke ab to ye hal hai jaisetere firaq ka aalam bhi khvab jaisa haimagar kabhi koi dekhe koi padhe to sahidil aaina hai to chehara kitab jaisa haiwo samane hai magar tishnagi nahi jatiye kya sitam hai ke dariya sarab jaisa hai‘faraz’ sangemalamat se zakhm zakhm sahihamen aziz hai khanakharab jaisa haiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz

Tere Paas Aane Ko Jee Chahta HaiNaye Zakhm Khaanay Ko Jee Chahta HaiIder Aaye Shayed Woh MojETarannumGhazal Gungunane Ko Jee Chahta HaiZamana Mera Aazmaya Hua HaiTujhe Aazmane Ko Jee Chahta HaiWohi Baat Reh Reh K Yaad Aa Rahi HaiJise Bhool Jane Ko Jee Chahta HaiLaboun Per Mere Khelta Hai TabassumJab Aansoo Bahane Ko Jee Chahta HaiKayi Martuba Dil Pe Bijli Giri HaiMagar Muskurane Ko Jee Chahta HaiRukhEZindagi Se Nikab Ulat KerHakeekat Dikhane Ko Jee Chahta Hai.

Dard Ke Phuul Bhii Khilate Hain Bikhar Jaate HainZakhm Kaise Bhii Hon Kuchh Roz Men Bhar Jaate HainRaastaa Roke Khadii Hai Yahii Uljhan Kab SeKo_Ii Puuchhe To Kahen Kyaa Ki Kidhar Jaate HainChhat Ki Khidakiyon Se Utarate Hain Mere Khvaab MagarMerii Diivaaron Se Takaraa Ke Bikhar Jaate HainNarm Aavaaz Bhalii Baaten Mohazzab LahajePahalii Baarish Men Hii Ye Rang Utar Jaate HainUs Dariiche Men Bhii Ab Ko_Ii Nahiin Aur Ham BhiiSar Jhukaaye Huye ChupChaap Guzar Jaate Hain

hum to chalte hain lo khuda hafizbutkada ka buton khuda hafizkar chuke tum nasihaten hum kojao bas naseho khuda hafizaj kuch aur tarah par un kesunate hain guftagu khuda hafizbar yahi hai hamesha zakhm pe zakhmdil ka charagaron khuda hafizaj hai kuch ziyada betabidilebetab ko khuda hafizkyon hifazat hum aur ke dhundhenhar nafas jab ki hai khuda hafizchahe rukhsat ho raheishq mein aqlae “zafar” jane do khuda hafizPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bahadur Shah Zafa

Phuulon Kii Aarazuu Men Bade Zakhm Khaaye HainLekin Chaman Ke Khaar Bhii Ab Tak Paraaye HainUs Par Haraam Hai GamEDauraan Kii TalkhiyaanJisake Nasiib Men Terii Zulfon Ke Saaye Hain[Haraam = Forbidden, Talkhiyaan = Bitterness] Mahashar Men Le Gaii Thii Tabiyat Kii SaadagiiLekin Bade Khuluus Se Ham Laut Aaye Hain[Mahashar = Day Of Judgement/Place Of Commotion] Aayaa Huun Yaad BaadEFanaa Unako Bhii ‘Adam’Kyaa Jald Mere Siikh Pe Imaan Laaye Hain[BaadEFanaa = After Death]

Nazar Main ZakhmETabbasum Chupa Chupa K MilaKhafa To Tha Wo Magar Mujh Se Muskera K MilaWo Humsafar Ke Mere Tanz Per Hansta Tha BohatSitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke MilaMere Mizaj Pe Hairaan Hai Zindagi Ka ShaoorMain Apni Moat Ko Aksar Gale Laga Ke MilaMain Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani KaKay Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke MilaMain Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste MainMujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka Ke MilaMain Zakham Zakham Badan Lay Ke Chal Dia KASHIWo Jab Bhi Apni Qaba Per Kanwal Saja Ke Mila

hum hain mataekuchaobazar ke tarahuthati hai har nigah kharidar ke tarahis kuetishnagi mein bahut hai ke ek jamhath aa gaya hai daulatebedar ke tarahwo to hain kaheen aur magar dil ke aas pasphirati hai koi shay nigaheyar ke tarahsidhi hai raheshauq pa yun hi kabhi kabhikham ho gai hai gesuediladar ke tarahab ja ke kuch khula hunarenakhunejununzakhmejigar hue laborukhsar ke tarah‘majrooh’ likh rahe hain wo ahalevafa ka naamhum bhi khade hue hain gunahagar ke tarahPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Majrooh Sultanpuri

MataaE Qalbo Jigar Hai, Hame Kaheen Se MileMagar Woh Zakhm Jo Us Daste Shabnamee Se MileNa Shaam Hai, Na Ghanee Raat Hai, Na Pichhla PaherAjeeb Rang Teree Chaashm Surmageen Se MileMain Us Wisaal Ke Lamhe Ka Naam Kiya RakhoonTere Libaas Ki Shikne Teree Jabeen Se MileShataaeShain Mere Ahbaab Ki Nawaazish HainMagar Sile To Mujhe Apne Nukta Cheen Se MileTamaam Umr Ki NaamoTabar Rifaaqat SeKaheen Bhala Ho Ke Pal Bhar Milain, Yaqeen Se MileYahee Raha Hai, Muqaddar Mere Kisaano KaKe Chaand Boei(N) Aur Unko Gahan Zameen Se MilePerween Shaki

hum ki magalubeguman the pahalephir waheen hain ki jahan the pahalekhvahishen jhurriyan ban kar ubharinzakhm sine mein nihan the pahaleab to har baat pe ro dete hainvaqifesudoziyan the pahaledil se jaise koi kanta nikalaashk aankhon se ravan the pahaleab faqat anjumanarai hainaitabaredilojan the pahaledosh pe sar hai ki hai barf jamihum to sholon ke zuban the pahaleab to har taza sitam hai taslimhadase dil pe garan the pahalemeri hamzad hai tanhai meriaise rishte bhi kahan the pahale Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kishwar Naheed 

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat PerDard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat PerShabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte HenChand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat PerUmar Kat Di Lakin Bachpana Nai JataHum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat PerTeri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti HaiHum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat PerAb Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata HaiKhwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat PerTere Hijr Me Hum Per Ik Aazab Taari HaiChonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat PerAb Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati HaiAshq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Pe

Zakhm Bhi Khana Tabassum Bhi Labo’n Par RakhnaKis Ki Taqleed Hai Aaiiney Pe Pathhar RakhnaPhir Parakhna Meri Masoom Talab Ko Ai DostChund Angaarey Bhi Pholo’n K Barabar RakhnaAasma’n Lakh Mujhey Sajda E Ta’azeem KareyMai Na Bhuloonga Magar Paoo’n Zamee’n Par RakhnaGoonj Sakti Hai Kisi Waqt Koi Tishna SadaApni Tehveel Mai Darya Na Samandar RakhnaBhigi Palko’n Se Saza Hijr Ki Dene WaleyMujhse Kab Hoga Ye Manzar Pas E Manzar RakhnaKal Bhi Rona Hai Tumhe Subho Ki Mayyat Pe FAHEEMKuchh Lahoo Dida E Garya’n Mai Bacha Kar Rakhna

Ussi Tarah Se Her Eik Zakhm Khushnuma DekhayWoh Aaye Tou Mujhe Abb Bhi Hara Bhara DekhayGuzar Gaye Hein Bohot Din Rafaqat E Shab MeinEik Umr Ho Gai Chehra Woh Chaand Sa DekhayMere Sukoot Se Jis Ko Gilay Rahe Kya KyaBicharte Waqt Unn Ankhon Ka Bolna DekhayTere Siwa Bhi Kai Rang Khushnuma Thay MagarJo Tujhko Dekh Chuka Ho Woh Aur Kya DekhayBus Eik Rait Ka Zarra Bacha Tha Aankhon MeinAbhi Talak Jo Musafir Ka Raasta DekhayUssi Se Poochay Koi Dasht Ki Rifaqat JoJub Aankh Kholay, Paharon Ka Silsila DekhayTujhe Aziz Tha Aur Mein Ne Uss Ko Jeet LyaMeri Taraf Bhi Tou Eik Pall Tera Khuda Dekhay

Jab Lage Zakhm To Qaatil Ko Duaa Dii JaayeHai Yahii Rasm To Ye Rasm Uthaa Dii JaayeTishnagii Kuchh To Bujhe TishnaalabEGam KiiIk Nadii Dard Ke Shaharon Men Bahaa Dii JaayeDil Kaa Vo Haal Huaa Ai GamEDauraan Ke TaleJaise Ik Laash Chattaanon Men Dabaa Dii JaayeHam Ne Insaanon Ke Dukh Dard Kaa Hal Dhuundh LiyaaKyaa Buraa Hai Jo Ye Afvaa Udaa Dii JaayeHam Ko Guzarii Hu_Ii Sadiyaan To Na PahachaanengiiAane Vaale Kisii Lamhe Ko Sadaa Dii JaayePhuul Ban Jaatii Hain Dahake Hue Sholon Kii LavenShart Ye Hai Ke Unhen Khuub Havaa Dii JaayeKam Nahiin Nashe Men Jaade Kii Gulaabii RaatenAur Agar Terii Javaanii Bhii Milaa Dii Jaaye

Har Yaad Ko Youn Zakham Banatay Nahin Dil Ka,Har Teer Ko Paivest RugEJaan Nahin Kertay,Yeh Masla Ab AhalEMohabbat Ka Hai Apna,Mertay Hain To Kuch Aap Pay Ahsaan Nahin Kertay,Khat Layain Na Layain Tera Hum Naama Bron Ko,Bus Daikhtay Rehtay Hain Paraishan Nahin Kartay,Aisay Bhi Tou Rakhtay Nahin Khanjar Pay Gulo Ko,Itna Bhi To Qatil Ko Pashaiman Nahin Kartay,Kub Shamain Jalata Hai ShabEMah Main Koi,Tu Ayai Tou Ham Ghar Main Charaghan Nahin Kartay,Logon Ko Guman Tuk Nahin Hota Hay Junoon Ka,Hum Dil Ki Tarah ChaakEGaraiban Nahin Kertay,Hum Tuj Kay Chalay Aatay Hain Yaaro DarEJanan,Ghalib Ki Tarah MinnatEDarban Nahin Kertay