hum ko junun kya sikhalate ho hum the pareshan tumase ziyadachak kiye hain hum ne azizon char gareban tumase ziyadachakejigar muhatajerafu hai aj to daman sirf lahu haiek mausam tha hum ko raha hai shauqebaharan tumase ziyadajao tum apni bam ke khatir sari laven shamon ke katar lozakhmon ke maharomah salamat jashnechiragan tumase ziyadahum bhi hamesha qatl hue and tum ne bhi dekha dur se lekinye na samajhe hamako hua hai jan ka nukasan tumase ziyadazanjirodivar hi dekhi tumane to “majrooh” magar humkuchakucha dekh rahe hain aalanmezindan tumase ziyadaPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Majrooh Sultanpuri 

Kuchh Aise Zakhm Bhi Ham Dil Pe Khaaye Baithe HainJo Chaarasaazon Kii Zid Se Chhupaaye Baithe HainNa Jaane Kaun Saa Aansoo Kisii Se Kyaa Kah DeHam Is Khayaal Se Nazrein Jhukaaye Baithe HainNa KhaufEBaadEMukhaalif, Na IntezaarESaharHam Apne Ghar Ke Diye Khud Bujhaaye Baithe HainHamaaraa Zauq Khudaa, Vaqt Kaa Mizaaj JadaaHam Ek Goshe Mein Khud Ko Chhupaaye Baithe HainHamare Dil Mein Hain Mahfooz Chand Taaj MahalJinhein Ham Apnaa Muqaddar Banaaye Baithe HainZamaanaa Dekhaa Hai Ham Ne Hamaari Qadr KaroHam Apnii Aankhon Mein Duniyaa Basaaye Baithe HainHam Apni Zaat Se Ik ‘Ahd Hain Magar IqbaalHam Apne Aap Ko Qisaa Bhulaaye Baithe Hain

Jo Zakhm Tu Nay Diye Thay Woh Bhertay Jatay HainCharhay Hoay Thay Jo Dariya Utartay Jatay HainYeh AheleShahreWafa Hain Ajab Bahar ParustSarooo Kay Phool Faseelo’n Pay Dhertay Jatay HainNahi Hai Aur Tu Kuch Bhi Hamaray Hatoo’n MainSiva Ye ArzeTamman Na So Kertay Jata HainAjeeb Loog Hain , Yeh AheleIntezaar Kay JoKhud Apni Aag Main Jul Kar Sa’nwertay Jatay HainNajanay Kaun Si Basti Kay Hain Yeh Bashindey!Nazar Uthatey Nahi Aur Guzertay Jatay HainYeh Aaj Shaher Pay Utri Hay Kis Bala Ki RaatCharaagh Apni Lawoo’n Say Mukertay Jatay HainDarakht Shaam Ko Lagtay Hain Shaher Say AmjadKay Shaakh Shaakh Parinday Utartay Jatay Hain

Dost gamkhvari mein meri sai farmayenge kyazakhm ke bharne talak nakhun na badh jayenge kyabeniyazi had se guzri banda paravar kab talakhum kahenge haledil aur aap farmayenge kyahazaratenaseh gar aayen didaodil farsherahkoi mujh ko ye to samajha do ki samajhayenge kyaaj van tegokafan bandhe hue jata hun mainuzr mera qatl karne mein wo ab layenge kyagar kiya naseh ne hum ko qaid acha yon sahiye jununeishq ke andaz chut jayenge kyakhana zadezulf hain zanjir se bhagenge kyahain giraftarevafa zindan se ghabarayenge kyahai ab is mamure mein qahategameulfat asadhum ne ye mana ki dilli mein rahe khayenge kya Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghali

iste hue zakhm kisko dikhane nikle haath me namak liye malham lagane nikle baroodi surangon se uda do chuppi ajnabi kaise tere gam se begane nikle hum se bedari ka sabab poochne wale aankhon se meri neend churane nikale sangshari ka ajab shouq wahan ya rabba unke har nishane pe meri sou jaanen nikle meri taqdeer ke sooraj ko jagane wale kam se kam jugnoo se to behtar nikale  Zakham Dene Ka Andaz Kuch Aisa Hai Zakham Dekar Kahte Hain Ab Hal Kaisa Hai Zehar Dekar Kahte Hai Ab Pina Hi Hoga Aur Jab Pi Liya To Kahte Hain Jina Hi Hoga Yehi Hai Dosto Pyar Ki Kahani Haste Haste Phir Rona Hi Hoga Share with us more Shayeri hanste zakham in Comments Section below

aakhiri tis aazamane kojee to chaha tha muskurane koyad itani bhi sakhtjan to nahiik gharaunda raha hai dahane kosangrezon mein dhal gaye aansulog hansate rahe dikhane kozakhmenagma bhi lau to deta haiik diya rah gaya jalne kojalne wale to jal bujhe aakhirkon deta khabar zamane kokitane majabur ho gaye hongeankahi bat munh pe lane kokhul ke hansana to sab ko aata hailog tarasate rahe ik bahane koreza reza bikhar gaya insandil ke viraniyan jatane kohasaraton ke panahgahon meinkya thikane hain sar chupane kohath kanton se kar liye zakhmiphul balon mein ik sajane koaas ke bat ho ki sans ‘ada’ye khilaune hain tut jane koPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :  Ada Jafri

Kabhi to khul ke baras abremeharaban ke tarahmera vajud hai jalate hue makan ke tarahbhari bahar ka sina hai zakhm zakhm magarsaba ne gaye hain lori shafiq man ke tarahwo kon tha jo barahana badan chattanon selipat gaya tha kabhi bahrebekaran ke tarahsakutedil to jazira hai barf ka lekintera khulus hai suraj ke sayeban ke tarahmain ik khwab sahi aap ke amanat hunmujhe sambhal ke rakhiyega jismojan ke tarahkabhi to soch ke wo shakhs kis qadar tha bulandjo bich gaya tere qadmon mein aasman ke tarahbula raha hai mujhe phir kisi badan ka basantguzar na jaye ye rut bhi kaheen khizan ke tarahlahu hai nisf sadi ka jis ke aabagine meinna dekh “prem” use chashmeargavan ke tarahPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Prem Warbartoni

Phhol Hota To Tere Dar Pe Saja Bhi DetaZakham Teri Dehleez Per Laon KaisePayamber Na Muyaser Hua To Kia Khoob HuaZabaan Gher Se Kia SherhEArzoo KertePaas Jab Tak Woh Rahe Dard Thama Rehta HaiPhelta Jata Hai Phir Aankh Ke Kajal Ki TarahAks Khushbo Hon Bikherne Se Na Roke KoiAur Bikher Jaon To Na Samete Koi.Jis Tarah Khuwab Ho Gae Gae Reza RezaIs Tarah Se Na Kabhi Tot Ker Bikhre Koi.A Mere GulEZameen Tujhe Chaah Thi Ik Kitaab KiAahlEKitaab Ne Mager Tera Kia Haal Ker Dia.Woh Jawab De Ker Bhi Der Tak Sochta RahaKoi Baat Sawal Mein Mere Aa AgaiToo Badlta Hai To Be Saakhta Meri AankhenApne Haathon Ki Lakeeron Se Ulajh Jaati Hein.Ek Se Musaafir Hein Ek Saa MuqaderMein Zameen Per Tanha Aur Woh Asmanon Per ChaandWoh Jawaz Dhoondh Rahi Thi Nai Muhabat KaKeh Rahi Thi Mein Us Ko Bhool Jaoon

Zukham Muskaratay Hain Ab Bhi Teri Aahat ParDard Bhool Jatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParShubnami Sitaroo Main Phool Khilnay Lagtay HainChand Muskaratay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParUmer Kaat Di Liken Buchpana Nahi Jata HainHum Diyay Jalatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParGhunteiya Si Bujti Hain Ruqs Honay Lagta HainDard Jugmagatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParTairi Yaad Aaein Tou Neend Jati Rehti HainKhawab Toot Jatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParJo Situm Karay Tou Sub Qubool Hain Dil KoHum Khushi Munatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParAb Bhi Tairi Aahat Par Chand Muskarata HainKhawab Gugnatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParTairay Hijjar Main Hum Par Ek Azab Tari HainChonk Chonk Jatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParDastakeen Sajanay Kay Manzar Nahi RahtayRastay Sajatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParAb Bhi Tairi Aahat Par Aas Lout Aati HainHum Diyay Jalatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Pa