Yun hi besabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karowo gazal ke sachi kitab hai, use chupke chupke pada karokoi hath bhi na milayega, jo gale miloge tapak seye naye mizaj ka shahar hai, zara fasale se mila karoabhi reh mein kai mod hain, koi aayega koi jayegatumhen jisne dil se bhula diya use bhulane ke dua karomujhe ishtahar si lagti hain, ye mohabbaton ke kahaniyanjo kaha nahi wo suna karo, jo suna nahi wo kaha karokabhi husn-e-pardanashin bhi ho zara aashiqana libas meinjo main ban-sanvar ke kaheen chalun, mere sath tum bhi chala karoye khiza ke zard-si sham men, jo udas ped ke pas haiye tumhare ghar ke bahar hai, ise aansuon se hara karonahi behijab wo chand sa ki nazar ka koi asar nahiuse tani garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo

Your Comment Comment Head Icon

Login