Pardh Kai Mahzar, Jab Madine Sai Chalaa Oh KhafelaQasim O Abbas O Akbar Aur Sibt-e-MustafaSaath Main Zainab, Sakina Aur Ruhe-e-FatemaSayyed-e-Sajjad Asghar, Saath Sughra Ki DuaKhafela Tha Eik, Laykin Do Thay Ruh-e-KhafelaEk Ali Ki Ladli Thi, Ek Ali Ka Laal ThaHaaie Oh Kis Shaan Sai, Nikle Thay Sui-e-KarbalaSaath Abbas-e-Jari, Qabze Main Tegh-e-MurtazaMarkaz-e-Taazim Theen, Do Hastiyan Har Ek KaApne Batoon Ku Fida, Bhai Pe Zainab Ne KiyaBhai Mar Ke Bhi Na Zainab, Sai Huwa Ek Pal JudaSar Barehna Oh Chali, Oh Barsare Neza ChalaaSar Diya Bhai Nai Chaadar Di Bahen Nai Deen KuNa Bahen Aysi, Na Aysa Bhai Hoga MominoJis Nai Sar Unchaa Kiya Hai, Baani-e-Islaam KaSar Barehna Thi Bahen To Bhai Bhi Tha Bai KafanBhai Kai Baazu Juda, Bahnaa Kai Baazu Mai RasanSar Kiya Donoon Nai, Mil Kar Karbala Ka MaarkaBhai Nai Chae Maah Kai Bache Ki Mayyat Ghaar KarEk Nayi Tarikh Likhi Karbala Ke Khaak ParShukar Ka Sajda Jawan Baite Ke Mayyat Par KiyaThi Rasan Basta Bahen Laykin Jalalat Al-AmaanKhutba-e-Zainab Sai Larzan Thai Zameen-o-AasmaanRakh Diya Takhta Palat Kar, Jis Nai Mulk-e-Shaam KaBhai Khaak-o-Khoon Main Ghaltan Aur Zindaan Mai BehanAabrou-e-Mustafa Ek, Aabrou-e-PanjatanDourta Tha Jism Main Donoon Kai Sheer-e-SayyadaTashat Main Bhai Ka Sar, Zainab Bahr-e-Darbar MainKoie Bhi Insaan Nahi Tha Lashkar-e-Kuffar MainKhaak Madfan Main, Uratai Thai Nabi-e-Dosra

Your Comment Comment Head Icon

Login