Aasu Peene Ka Zikr Toh Woh Roz Karta HaiNa Peeh Sake Usse Zaraa Maikhane Se Toh Mil

Raasto Se Saamna Na Hua “Masroor”Kya Milte Apne Zaraa Musafir Ko Dekhiye

Saawan Ki Bauchhaar Kabhi Jayeshth Ki TapishGauri Se Ho Milan To Panghat Hai Zindagi

Khayaal Toh Uska Har Waqt Aata Raha KareebKhwaab Kya Dhundte Zaraa Haqiqat Ko Dekhiye

Sujhayi Kuch Nahi Deta Shiksta* Yaadon MeinKisi Ka Chehra Kisi Ke Badan Mein Jod Diya

Voh Ghazal Walon Ka Usloob Samajhate HongeChand Kehte Hain Kise Khoob Samajhate Honge

Faasle Yun Apno Se Kab Ke Toot Chuke TheThi Woh Mere Paas Hi Phir Woh Rishta Kaisa Tha

Main So Raha Tha Ki Ik Lamhe Ne Jhinjhod DiyaSalaakh Surkh Thi Jis Tarah Chaha Mod Diya

Bhale Hi Mar Raha Hai Katra Katra Reit Pe AbYe Aab Zinda Tha Dariya Ka Saath Chhor Diya

Ye Keh Ke Tum Durnayaab** Aur Duniya GareebMujhe Akela Sammandar Ki Teh Mein Chhor Diya

Dekh Kar Phoolon Ke Safhaat Pe Shabnam Kuch LogMera Ashko Bhara Maktoob Samajhate Honge

Kabr Tak Hum Pohach Bhi Na SakeRaastein Mein Itne Kaatein Ke Maut Bhi Sarak Gayi…

Shiddat – E – Dil Ka Aalam Toh DekhiyeKya Dikhe Sitaare Zaraa Chand Toh Dekhiye

Kabhi Yun Hi, Kabhi Bamushkil Milta Nahin SakunJiyo To Hass Ke Jiyo Varna Marghat Hai Zindagi

Mashroof Thi Mussarat Ke Woh Logon He KahaRoz Aati Thi Chandni Phir Mera Chand Kaisa Tha…